This book is coming to an end.
Only last two parts left.No more stories....
Here are some of my shayaris....
I hope you all like them....
Mera humsafar koi aisa ho jo mere shabdon ko nahi meri khaamoshi ko pehchaan de sake
Jo meri dhadkanon ko nahi meri saanson ko aawaz de sake
Mohabbat ke liye toh koi bhi jaan de sakta hai
Mujhe toh koi aisa chahiye jo meri nafrat ke liye bhi jaan de sake
Uski pyaar bhari aankhein humein kaayal kar jaati hai
Uski payal ki khan-khan humein pagal kar jaati hai
Yun toh hum uski har adaa ke deewane hain
Par uske hothon pe aanewaali muskurahat humein ghaayal kar jaati hai
Maana ke teri aankhon se girte aansu ek kitaab hai
Aur tera har ek deewana inhe pochne ko betaab hai
Par itna toh tujhe bhi manna hoga ki
Inhe padh paane ka mera yeh hunar bhi utna hi lajawab hai
Ehsaas tha tera jin yaadon mein woh yaadein gum raah ho gyi hain
Zikr tha tera jin baaton mein woh baatein afwah ho gyi hain
Zyada kuch nahi badla tere chale jaane se
Bas jinka raasta tujh tak jaata tha woh manzilein laapta ho gyi hain
Un sooni sooni raahon mein tera intezaar karenge
Aansoon bhari nigaahon mein tera deedar karenge
Dard bhari yaadon mein har pal tujhe yaad karenge
Vaada hai tujhse aakhiri saans tak bhi tujhe yun hi pyaar karenge
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Vote, comment and share.

YOU ARE READING
KALAM Se DIL Tak
Puisichhoti chhoti kahaniya kavitaon ke roop mein Any kind of similarity with any person or incident is a mere coincidence. Please support my efforts and vote for my story.