Ek Nazar

22 6 4
                                    

Dhoop bhut kadi thi, chaanv ka naam bhi nahi tha

Yun hi dosto ke saath idhar udhar ghoom raha tha, kuch khaas kaam nahi tha



Chalte chalte dekha ki shoe lace khul gaya

Usko baandhne ke liye neeche jhuk gya


Fir jaise hi upar uthkar dekha maano waqt tham sa gaya ho

Dhoop chubhni band ho gyi, maano dil toh dhadkana hi bhool gaya ho




Sooraj se bhi zyada chamakta chehra lekar woh meri taraf badh rahi thi

Uske meri ore badhte ek-ek kadam ke saath meri saansein kam ho rahi thi




Apni dost ki baaton mein woh poori tarah khoyi huyi thi

Masoomiyat toh uske chehre ke har hisse mein samayi huyi thi



Dekhte hi dekhte mere man ki khwahish poori ho gyi

Aur hum dono ki nazrein yun hi takra gayi



Ek pal ke liye na toh usne palkein jhapkayi thi na maine

Aas paas ki saare aawazein achanak bilkul shaant ho gyi thi jaise

Fizaon mein uski khoosboo chaa gyi

Itni garmi mein bhi uski maujoodgi thandak ka ehsaas kara gyi



Uski dost ke bulaane par uska dhyaan mujh se hat gaya

Uski ek jhalak mein mujhe apna saara jahan mil gya




Meri kismat bhi kya kamaal hai nhh jo-jo chaaha sab ho gya

Hawa ka ek jhonka aaya aur uska dupatta udkar mere paas aa gya




Usne meri taraf dekhkar "sorry" jaisa shayad kuch kaha

Honth toh uske fadfada rahe the par maine kahan kuch suna




Apna dupatta aur mera dil dono lekar woh chalne lagi

Uske aage badhte hi meri dhadkanein bhi badhne lagi




Kaun kambakht kehta hai ki pehli nazar mein pyaar nahi hota

Shayad unhe itne khoobsurat nazare ka deedar nahi hota



Sirf uski ek jhalak mujh par aisa jaadu kar gayi

Hosh-chain sab kho gya, dil ko bekaabu kar gyi




Na jaane kitne ghanto tak mai wahin khada raha

Dost bulaate rahe par mai toh usi ke khayalon mein khoya raha




Kismat saath rahi toh fir zaroor milenge apni kahani aage badhane k liye

Warna ishq mein toh mehboob ki ek jhalak hi kaafi hoti hai zindagi bitaane ke liye



Aankhein takrayi, dil dhadka aur yun hi mujhe us se pyaar ho gya

Ek hi pal mein uski muskurahat, uska chehra mera saara sansaar ho gya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Do you all believe in love at first sight?

Vote, comment and share

KALAM Se DIL TakWhere stories live. Discover now