" Bas ek hafta...."

238 52 13
                                    

" Mukhiji, kaise kahe aapse ki hum aapse pyaar karte hain...!!
Kuch keh bhi nahi sakte...kuch samjha bhi nahi sakte...uss din aapko takleef dekar hamein kitni takleef hui hai...ye aapko nahi pata...
Aapko uss dard mein dekhkar hamein kitna dard hua hai...ye aapko nahi pata...
Aapko uss din aspatal mein dekhkar hamein kaisa laga hai..ye aapko nahi pata...
Aapko sahi salamat dekhkar hamein kitni khushi hui hai...ye aapko nahi pata...

Mukhiji, kaise de aapke uss sawal ka jawab jo hamein khud takleef deta hai...
Hamare dil mein kya hai...ye aapko pata hai...hamein pata hai...aur hum dono ko pata hai ki hum bas use sweekar nahi kar rahe...

Aap sahi kehte hai Mukhiji,  aankhen jhoot nahi bolti hai..par hamein jhoot bolna pad raha Mukhiji...hamein apni aankhon ko dhoka dena pad raha....
Hamein darr hai ki kahin ye aankhen kisi din saara sach naa bol de...Bol naa de ki kitna pyaar karte hai hum aapse...bol naa de ki jo aap humse sunna chahte hain...wo bolne ke liye toh hum kabse bekaraar hai...!!

Kitne majboor hai hum..ki hum apne pyaar ko hi ye nahi bata sakte ki hum usse kitna pyaar karte hai....
Nahi bata sakte ki wo jawaab wo maang rahe hai humse...wo hum unhe nahi de sakte...Hum kya kren...

Jab aap hamein Mukhiyani kehte hai toh hamein apni kismat pe naaz hota hai..ki hum aapki patni hai...hum aapki ardhangni hai...aap hamare pati hai...Hamare humsafar hai...
Aapke naam se log hamein jaante hai...aapke naam se log hamein pehchaante hai...aapse hum hai Mukhiji...aur hum iss vishwaas ko kabhi tootne nahi denge...kabhi bhi nahi...

Aaj hum aapse ye wada karte hai...ki hum hamesha ye koshish krenge ki aapka sar hamesha ucha rahe...kabhi bhi hamari wajah se aapko takleef naa pahuche...aapki dhaal bankar har raaste mein aapka saath denge...

Hum bhale hi ye aapse kabhi keh naa paye..ki hum aapse kitni mohabbat karte hai...par Hamare kanhaji jaante hai...ki hamara pyaar....bhi radha jaisa hai...
Hamara pyaar bhi Mata Parvati jaisa hai...jaha aap hamare Bholenaath hai aur hum aapki patni...aapki ardhangani..aapki Parvati...aapki Purvi...Purvi Virendra Pratap Singh...."

Virendra was remembering each and every word of Purvi that she has written in her diary. He dozed off while hugging the diary only.

It was next morning when Purvi got up. She was feeling a little heavy in her head.
Ye hamara sar itna bhaari sa kyun lag raha hai...shayad thakaan ki wajah se...ek kaam karte hain...Mukhiji ko chai baad mein denge jaake...pehle naha lete hai..shayad aaram mil jaye jaldi...

Purvi goes downstairs and sees Virendra's study room closed. She knocks the door which makes Virendra get up with a jerk. He hurriedly kept the diary on the pile and opened the door.

Tu, tu yaha kaise...!!

Toh kya aapne aane se phele nagade bajwaun..ya fir 2 logo ko thaali ki saath bhejun ya fir....wo aapne kya kaha tha..Haan...kabootar...kabootaron ke haathon chithhi bhejun...bataiye...

Meri billi...mere te meawon...sahi hai...

Aa jaiye..nashta lagne wala hai..aur aapki chai bhi tayar hai...

Tu chal main aata hun...

Virendra smiles while seeing Purvi as she too turns back and smiles back at him.

Mol se jude rishte ki ek Kahani ~ Molkkiजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें