Daksh makes Priyal understands

124 35 7
                                    

It was next morning when Daksh came out for a morning walk. He opened the main door, kept the newspaper on the table and as we walked out, he found Priyal sleeping on the swing in the outer area before the main gate. He went closer.

Ye....yaha kyu so Rahi hai....aur kab aayi....he then saw the driver too..so he went towards him and asked.....Jayesh...jayesh....

Ji sir....Good Morning...

Good morning...ye madam kab aayi....

Wo Sir...kal zameen ke inspection ke liye gaye the wapas aane wale the ki shaam mein Mausam kharab hone ki wajah se wohi rukna pada....kafi raat ho chuki thi...aur raat mein hi Madam ne wapas aane ko bola...bas abhi 2 ghante pehle hi aaye hai....Sir main ghar chala jaun...

Haan haan tum jao....he looked at Priyal...went towards her and shook her.... priyal.... priyal....

Priyal slightly opened her eyes and looked at Daksh. She looked here and there and got up.

Yaha kyu so Rahi ho....ring kar deti...koi darwaza khol deta....chalo andar....

Hmm....Aaj office nahi jaungi.... Vikram aur Aashi ko bolna meetings cancel kar de....

Hmm....

And he saw her going inside. As he was about to go out, he saw Virendra's car entering into the premises and Virendra getting out from the car.

Mukhiji....

Aare Daksh...Good Morning....

Good morning Mukhiji...aap itni subah kaha se aa rhe....

Wo main ek mill ke project ke liye kal gaya tha...toh Mausam kharab ki wajah se manne ek dhaabe mein hi rukna pada....Aare haan... waha collector sahiba bhi thi ....

Priyal...

Haan...par fir manne dikhi hi naa...mere driver ne bataya ki wo raat mein hi wapas aa gayi thi... toh wo aa gayi naa...

Haan haan...wo aa gayi...andar so rahi hai...aap bhi jake Aram kar lijiye....

Haan... milte hai...

Ji....& Virendra went away leaving Daksh thinking...

Agar Mukhiji aur Priyal dono saath mein the...toh fir Priyal kyu nahi ruki waha...matlb kuch hua hai....pata karna padega....

It was almost mid afternoon when Daksh and Aayi were sitting. On inquiring about Priyal...Aayi told that she got up, had her tea and then went to her room, since then she hasn't showed up.

Just then they heard Vikram and Aashi coming in there.

Vikram Aashi...kya hua...kuch kaam tha kya....

Priyal madam kaha hai ....

Andar...kyu kya hua...

Priyal madam ne headquarters mein apne transfer ka application daala hai wo bhi urgent basis par ....

Kya.... Daksh and Aayi were left shocked.

Haan....ye dekhiye.... Headquarters se mail aur fax aaya hai...for the confirmation....

Daksh looked at the fax paper and the mail. He looked at them who were clueless. He became angry and said... Aashi...jaake Priyal ko bula kar la....jao...

Kisi ko bulane ki zaroorat nahi hai...yahin hun main... everyone turned and saw Priyal standing. She walked upto them and sat on the sofa. Her eyes were swollen and her face looked extremely tired.

Tum bataogi hua kya hai.... Ye sab chal kya raha hai.... Kal tum zameen ke inspection ke liye gayi thi naa...aur waha raat mein coincidentally...tum aur Mukhiji ek hi dhabe par the... mausam kharab tha...par fir bhi tum raat ko hi wapas aa gayi aur Mukhiji aaj subahh.... Raat mein travel karke risk ke saath wapas aane ki kya wajah thi.... subhah aa jaati.... Priyal àur ye Achanak se transfer request on urgent basis...ye pehle toh planned nahi tha naa... Tum jab tak bataogi ki kya khel khel rahi...kaise samjhenge...

Khel....as Priyal looked at Daksh making him silent....konsa khel...konsa khel Daksh.... Khel toh zindagi ne mere saath khela hai....
Ye Purvi...jo purvi thi wo abb nahi hai....Mere sapne the...kuch karne ke...kuch banne ke....

Ek din uthkar ek aadmi aata hai aur mujhe apni patni bana leta hai....
Aare....shaadi ke baad...mujhe ye ehsaas dilaya ki wo apni zindagi mein apni pehli patni ke alwa aur kisi ko jagah nahi denge... Apni pehli patni ki yaadon mein khoye hue wo kisi aur ki taraf dekhte nahi the.... Main sab kuch thi...iss gaon ki Mukhiyani...unke bacchon ki maa...uss haveli ki bahu..,.main nahi bann payi toh unki patni....
fir achanak se sab badal jaata hai....
Ek doosre se pyaar karte hai... vishwas karte hai....
Sab theek chal rhaa hota hai aur ek din...unki pehli patni aa jaati hai wapas....
Wo baatein jinhe insaan bhula kar aage badhna chahta hai wohi saari baatein jab uske saamne aa jaati hai...toh...

Jab chaha...tab bol diya ki meri zindagi mein Sakshi ki jagah koi naa le sakta...jab chaha ye bol diya ki meri zindagi Bawri mein basi hai...jab chaha vishwas kiya.... jab chaha nahi kiya.... Ek baar bhi unhone mujhse ye pucha ki Bawri tere kya sapne hai...teri kya khwahishen hai.... Tujhe kaisa lagta hoga jab sakshi mere paas aati hai...jab mujhe tujhse pehle sakshi ke baare mein sochna padta hai....

Main maanti hun...ki hamare saath khel zindagi ne khela...kismat ne khela...par humne ek doosre ke saath bhi khel khela.... Wo mujhse ek baar puch sakte the naa..ki kyu main jab darwaze par Atharva ki sachhai lekar aayi thi ki kya wajah thi.... Kyu mujhe haveli ki chaukhat se wapas bhijwa diya tha.... Kya mujhe bura nahi laga...

Unhone kaha ki jab unhone Priyal ko dekha pehli baar toh unhe laga ki unki Bawri aa gayi...par fir.....nahi...haan...ye Priyal unki Bawri nahi hai.... kyonki ye Priyal kisi ki parwaah nahi karti...ye ek insaan ke peeche... Mukhiji Mukhiji...chilaate nahi ghoomti...jiske liye uske sapne aur zimmedari pehle hai aur saari baatein baad mein...bas yahi farak hai....

Kya galti ki maine...jo maine ek saal sirf apne bare mein socha...maine sirf apne uper dhyaan diya...sirf apne liye jiya...agar isse unhe 'shikayat' hai toh mujhe unse 'shikayat' hai.... kyonki Mukhiji ne aaj tak sakshi ji ko hamesha pehle aur hamein baad mein rakha...par jis din unki sacchai aayegi naa unke saamne...uss din...

Uss din kya.... As Daksh interrupted in between the conversation... Priyal....sacchai chup rehne se bahar nahi...shor machane se bahar aati hai.... Sakshi ji ki sacchai tabhi bahar aayegi jab tum bahar jaogi.... Mahabharat mein bhi Krishna ko ranbhoomi mein samne aana hi pada tha.... Yun peeth peeche...khud ko takleef dekar..kya hoga... Naa unhe koi farak pad raha naa kisi ko.... Tum toh yaha se chali jaogi...par apne uper ye seal lagwa kar....ki tum kayar thi...jo tum apne haq ke liye lad nahi saki....

Priyal... zindagi mauke baar baar nahi deti.... tumhe mauka mila kuch karne ka...kuch banne ka...tum bani... Mukhiji ki ye shikayat... tumhe mauka de rahi ki tum apne aap ko prove kro...aur tum bhaag Rahi ho.... Ye sochkar...ki Mukhiji ne tumpar jo Ilzaam lagaye wo sach hai ya jhoot....

Priyal....sach aur jhoot ka faisla...hum insaan karte hai...par aache karm aur bure karm ka faisla...bhagwaan....aur tum bhagwaan nahi ho.... Apne haq ke liye sabko ladna padta hai....aur haq...jab diya naa jaye...toh use cheen lena chahiye....

Abb ye tumhare upper hai...tumhe peeth dikhakar...yaha se jana hai..tum chali jao...main nahi rokunga...par main nahi jaa paunga....jab tak project over nahi hota...aur ek baat .... Priyal.... Shikayatein...log apnon se hi karte hai....jo shikayaten kal Mukhiji ne tumse kahin hai .....i can bet....wo unhone Aaj Tak kisi se nahi kahin hongi .....aage marzi tumhari...ye raha letter of confirmation....ismein sign kar naa karna... tumhare upper hai .... Vikram...ye sign kare toh fax return kar dena....chalta hun....

And Daksh went out leaving priyal sitting there numb. She got up slowly, took the fax paper and went to her room and locked it from inside.

Precap

Priyal finds out about the project that Virendra is currently working on and finds out that's illegal. Priyal tells Daksh that if she has to expose sakshi, she needs to enter into the haveli. Later, Priyal, Daksh and Aayi are stuck in fire in their house.

Mol se jude rishte ki ek Kahani ~ Molkkiजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें