Chapter 14

2.5K 101 8
                                    

Month 9

"Aise prove hota hai Pythagoras Theorem, theek hai? Sabko samajh aaya?" Shiva asked the kids, who looked like they'd burst out crying.

"Samjha, par ye prove kyu karna? Itne zamane pehle kisine prove kar diya na, toh hum kyu kare?" An exasperated Satish asked.

"Baat toh sahi hai." Shiva sighed, "But 5 marks chahiye na boards mein, ki ande se kaam chalega? Nahi na? Toh bas, last ke kuch mahine hai, daat kaat ke karlo, phir koi nahi kahega Theorem prove karne ko, okay?"

Just then Raavi tapped his shoulder, holding a cup in her hand.

"Ye le chai!"

Shiva smiled at her. She was glowing a little extra today. "Thanks jaan."

Raavi just smiled and proceeded to walk to her room, when one of the kids chirped, "Ohoooo sir, jaaaaannnnn!"

Everyone started snickering and laughing, while Shiva's face was stuck in half surprise and half blushing state. These kids were way too naughty.

He looked over at Raavi, and she was snickering herself. He looked at her with a "Stop laughing, you're not helping" look and she tried to control her laughter.

"Ae..Tu-Tum... Y-ye.. Padhai wadhai chodke pyaar pe focus kar rahe ho. Padhai pe focus karo, boards hai na!" A flustered Shiva said, making his batch laugh more.

.....

"Mai nikal raha hoon, by- Tu kya kar rahi hai?" Shiva asked as Raavi counted something on her fingers and absent mindedly nodded, looking at her laptop screen.

"Haa?" She asked, pulling her eyes away from the screen.

"Maine pucha tu kya kar rahi hai? Aur ye Mami apne saath kya leke aa rahi hai itna bhaari, jo uski kamar akad gayi?" He asked, looking at the message she just dropped.

"Padhai. Waise bhi ghar pe akeli rehti hoon, logon se kitna baat karungi jaa jaa ke? Toh socha semester join karne se pehle catch up kar loon. Laptop pe books ke pdf hai. Aur," Raavi said, pushing the laptop aside, rubbing her eyes, "Maasi meri college ki textbooks laa rahi hai. Ye laptop se dekh dekh ke aankh mein paani aa jata hai, ek point ke baad."

"Acchi baat hai. Very good!" Shiva smiled, grabbing his lunch that he forgot, "Par mujhse keh deti na, main kitaabe laane ke liye mana nahi karta."

"Arre," She smiled and clapped her hands, "Maasi ko apni khushi manane de. Unke kisi dost ka beta 3rd semester mein drop out kar diya, aur apni girlfriend ke saath bhaag gaya, toh uske 1st year ke books aise chakachak, naye jaise hai. Woh log toh fekne waale the, Maasi ne mauke pe chauka maarke unse woh kitaabe le li. Ek paisa bhi nahi diya unhone." Raavi chuckled, still not believing her Maasi when she narrated this story.

"Waah! Mami ki kanjoosi kahi toh kaam aayi." He shook his head at his unbelievable but somewhat believable Mami. "Okay, late ho raha hoon, shaam ko aa jaunga." Shiva picked up his bag and left.

"Arre sun-!"

Click.

"Okay, bye."

....

The door clicked open, and Raavi opened her eyes slowly. She fell asleep on the sofa waiting for him, and it was 9:30 now.

"Kaha tha tu? Humari 9:00 waali show miss ho gayi!" Raavi complained as he kept his bags near the dining table.

"Sorry, sorry, aaj bohot back log tha, kaise bhi karke khatam karna tha." Shiva apologised, keeping his shoes in the rack.

"Humari date night thi, Shiva! Itne zamaano baad, mujhe nahi lagta anniversary ke baad hum kahi bahar gaye!" She whined, but checked the time again. "Abhi bhi time hai, hum 10:30 ka show dekhne jaa sakte hai. Tu fatafat fresh ho jaa."

O Saathi Rey Where stories live. Discover now