Hey guys...
Enjoy this part...😊
.............................................................
Knowing about MoRan's and SidSa's past, Faizi said....
Faizi (A little mischievously) - Yr tum logo ki stories to kuch zyada hi filmy hai. Hume to lag raha hai ke ab hum bhi nikah kar lete hai, varna pata chala ke hum Chachu aur Mamu, dono sath hi ban gaye.
Koel hit him playfully and Sid, Karan and Monami glared at him. Monami said....
Monami - Hum itne bhi fast nahi hai.
Karan looked at Monami in a surprise that she answered Faizi like this. Sid said...
Sid - Aur mere case me to ye possible hi nahi hai as Sanju mujhe khudko hath bhi nahi lagane degi.
Karan (Glaring at Sid) - Aur jab tak vo maan na jay, usse dur hi rehna.
Monami (Glaring at Karan) - Agar vo usse dur rahega, to manaega kaise use?
Karan was going to answer her but she said....
Monami (In a warning tone) - Tum to chup hi raho, varna tum mujhe manate hue dikhai doge yaha sabko...!!!
Karan gulped in fear and said....
Karan - Nai.... Thik hai, main kuch ni boluga but vo fir bhi meri behen hai, to uske itna bhi karib jaane ki zaroorat nahi hai. Ek to main yahi digest nahi kar pa raha hu ke meri behen ne ise chuna hai aur upar se ye dono married hai.
Koel - Haa, vo to hai. Lekin mere khyal se ye sabse achi baat hai.
MoRan, Sid and Faizi looked at her in confusion. She explained...
Koel - Are vaise bhi Karan aur Monami ke ek sath hone ki khabar felani thi na hume...!!!
Monami - Nahi Koel, hum abhi aisa nahi kar sakte as humari shaadi legally nahi hui hai abhi. Sirf gaav ke logo ke samne shaadi hui thi tab.
Karan (Hugging her from behind) - To vaise bhi hume register marriage to karni hi hai kal. Tab bol denge lekin abhi kuch nahi guys, varna waqt aane par problem ho sakti hai. (To KoZi) Tum dono kab shaadi kar rahe ho?
Koel - Vaise to hum ek week baad shaadi karnewale the, Ammi ke aa jaane ke baad but vo to official shaadi hogi ke jo sabke samne hoga.
Faizi (To Koel) - To agar aapko koi problem na ho to hum bhi kal hi nikah kar lete hai. Witnesses ki bhi koi problem nahi hogi, kyu???
Sid (Whining a little) - Yr tum log bahot hi bure ho. Meri yaha problems chal rahi hai aur tum logo ko apni - apni Shaadi ki padi hai? Had hai yr...!!!
Koel (Twisting his ear) - Haa, to ye problem bhi tune hi create kar rakhi hai. Agar tu uski baat Shanti se ek baar sun leta to aisa hota hi nahi. Gadha kahi ka...!!!
Monami - Aur ni to kya...!!! Aise to bada muh chalta hai tera, lekin jab sabse zyada important baat karni aayi to tune use khudse dur push kar diya. Tum ladke kya jaano ke hum ladkiya shaadiyon ke mamle me kitni serious hoti hai...!!!
Karan (Slowly turning her towards himself) - Yr tum iski class lene ke chakkar me, duniya bhar ke sare mardo ki class kyu le rahi ho???
Faizi - Aur nahi to kya...!!! Humari to koi galti bhi nahi thi. Ab hume goli lag gai aur hum sab bhul gaye, usme humari kya khata...???!!!
Monami (Sadly) - Baat to sahi hai but tum ladko ko ye baat ab bhi samjhne ki zaroorat hai ke apni shaadiyon ko lekar hum ladkiyon ke teenage se hi bahot sare sapne hote hai aur jis tarah se humari shaadi hui aur fir us shaadi ko nakara gya.... Kya lagta hai? Kya chal raha hoga humare dimaag me tab???
Karan turned her towards himself. Monami was looking downwards and He made her look at him. He said....
Karan (Cupping her face) - Mujhe pata hai Monami ke tumhare bahot se sapne hoge apni shaadi ko lekar and I'm sorry, maine jis tarah se tumhare sath behave kiya tha, vaisa to koi dushman bhi na kare, main to fir bhi tumhara dost tha.
Monami (Holding his hand) - I know Karan but main to bas bata rahi thi. Tum serious kyu ho rahe ho itna???..... Vaise tumhe achanak se kya ho gya tha, jo tumne mujhse is tarah se baat ki thi???
Sid - Exactly, Karan bro. Itna to hum tumhe jante hai ke tum ek ladki ke character ke baare me aise baat nahi karoge. Hua kya tha???
Faizi and Koel nodded in agreement and Karan answered them...
Karan - Tumhe yaad hai.... Vo Sarpanch ka beta, Rajeev???
Monami nodded in agreement and Karan continued...
Karan - Tumhari aur uski kafi achi dosti ho gai thi... Tab mujhe nahi pata tha ke main tum dono ko sath dekhkar itna kyu gussa ho jata hu but aaj pata hai ke aisa kyu hua tha.... Mujhe tum dono ko ek sath dekhkar kafi gussa bhi aata tha aur jealousy bhi feel hoti thi, to maine is tarah se....
All laughed listening Karan and seeing his stupidity. Monami just hugged him, still laughing and Faizi said...
Faizi (To Karan) - Humne aapko pehle bhi kaha tha na Karan ke Monami ko apne dil ki baat bol dijiye but aap to aap hai.... Nahi bataya. Khud bhi roye aur inhe bhi rulaya.
Monami glared at Faizi and Karan looked at Monami. He said...
Karan (Cupping her face lovingly) - Monami, vo galat nahi bol raha hai. Usne mujhse kai baar kaha tha ke main tumse apna pyaar confess karlu but maine bahot hi stubbornly behave kiya aur at the end, jealousy ki vajah se maine ye sab kiya.
Monami - Okey fine. Jo hua vo humare past ka hissa tha aur ab ye aaj aur aanewala Kal, sirf of sirf humara hai.
(With a mysterious smile) Aur ab ye sab baatein chhodo.... Mere pas ek idea hai jisse ki, kal hum charo ki shaadi ke sath - sath, Sid aur Sanju ki bhi legally marriage ho jayegi.
Sid was way too much happy after listening this. He asked....
Sid - Magar aisa kaise hoga??? Vo to meri shakal bhi nahi dekhna chahti.
Monami (With a smile) - Tu bas vo kar, jo main keh rahi hu bro.
Monami was smiling while thinking something and all the four were looking at her in confusion...
.............................................................
Here's the next part guys...
How was it???🤔🤔🤔
Vaise to aaj main update nahi denewali thi as aaj mera 25th birthday hai. Manti hu din almost khatam ho chuka hai but mujhe abhi waqt mila, to socha likhke de du... Kaisa tha? Agar na pasand aaye fir bhi aap mujhe keh sakte hai...
Please like and comment and share your opinions and ideas...😊😊😊
Till the next part... Take care, be happy & bye - bye dear readers...❤️❤️❤️
YOU ARE READING
YEH ZID HAI DIL KI (COMPLETED)
FanfictionIt's a story of six people who although knows eachother from somewhere or somehow but some of them are trying to avoid the other and some of them are trying to amend... It's an Army background and Police background story. You guys will get to know a...