EPILOGUE 2

518 47 6
                                    

Hey guys...

Enjoy this part...😊
......................................................................

Faizi, Koel and Nikhil were in Delhi as Faizi and Koel were posted there in the Army Headquarters. Faizi also called his Ammijaan there and formally again introduced Koel to his Ammijaan. She also met Nikhil and was very much delighted to meet him as a grandparent. Suddenly, she twisted Faizi's ear and asked...

Ammijaan (Angrily) - Humne tujhse kaha tha na ke meri Bahu ko jald se jald nikah karke le aa? Lekin nahi, tu to apna kaam hi dekhta hai bas. Dekh kitna waqt gawa diya tune aise me. Ab tak to mujhe dusra pota ya dusri poti mil chuki hoti, nalayak...!!!

Koel (Stopping her) - Ammi, ruk jayiye please. Faizi ki koi galti nahi hai. Vo to ek soldier hai aur ek soldier ke liye desh sabse pehle aata hai aur fir desh ke log, fir uska parivaar aur fir vo khud agar kabhi zaroorat pad gayi to. Varna aap to jaante hai, humare Sipahi apne baare me sochte hi kaha hai...!!! I think, jo hona tha, vo humari kismat me already likha ja chuka tha. Aap pareshaan na ho. Naa mujhe aur naa hi Nikhil ko is baat se koi shikayat hai.

Nikhil (Holding Ammijaan's hand) - Exactly Girlfriend, Dodo Abbu bas apna kaam kar rahe the aur ye main aur Koel samjhte hai.

Ammijaan (Hitting the back of his head lightly) - Badmaash, apni Ammi ko naam se kon bulata hai?

Nikhil (Hugging her sideways) - Ab kya karu, Girlfriend??? Main aur Mumma bahot ache dost hai aur main unhe pehle se hi aise bulate aa raha hu to kabhi kabaar bhul jaata hu ke ab main koi bacha nahi raha aur ab agar main publically apni Maa ko naam se bulata hu to usse meri Maa ki image hi kharab dikhegi... (To Koel) Sorry, Mumma.

Koel (Cupping his face) - Are mere Mendhak, tune hi to abhi kaha na ke main teri dost hu, to tu maafi kyu maang raha hai?

Faizi (Putting a hand over his head affectionately) - Kyuki in janaab ko pata hai ke inhe aapko naam se nahi bulana chahiye, Koel. Aur ye baat sahi bhi hai.

Koel (With a smile) - Koi baat nahi mere Mendhak. Maine kabhi bura maana hi nahi hai is baat ka... (Getting emotional) Tu hi to meri puri duniya hai, Nikhil. Tere bina mujhme itni himmat aati hi nahi ke main apne liye ladkar vaha se bahaar nikal pau aur ek Police Officer ban pau.

Nikhil just hugged his mother tightly and she kissed his forehead. Faizi's Ammi took Nikhil away with him and Faizi side hugged Koel while smiling at her. He asked...

Faizi (Mischievously) - Agar Nikhil aapki puri duniya hai, to fir hum kon hai, Koel?

Koel (Cupping his face) - Tum mere jeene ki wajah ho, Faizi. Tumhare meri zindagi me aane se, meri zindagi me stability aayi hai, security aayi hai. Ek dusre ke liye pyaar ka, ek dusre ke liye respect ka, apne partner ko ek much needed space aur freedom dene ka, apne partner ko secure feel karane ka, ek dusre ki care karne ka aur apne partner ko samjhkar uspe bharosa karne ka asli matlab maine tumse sikha hai. Thank you for coming into my life, Faizi.

Pehle jab itna sab jhelkar main vaha se bahar nikalkar aayi thi, to sab se pehle jis aadmi ko maine ek different light me dekha tha, vo tum the, Faizi. Jaane anjaane, main tumhari aur Abhay ki comparison karne lagi thi. Mujhe pata hi nahi chala ke main kab tum dono ki comparison karte karte, ye soch bethi ke agar mera koi life partner hona chahiye tha to tum jaisa hona chahiye tha... (Angrily) Abhay jaisa self centered, selfish, gira hua, gaddar aur deshdrohi insaan nahi.

Faizi (Taking a deep breathe) - Hume nahi pata tha ke aap humare baare me itna sochti thi. Hume to laga tha ke shayad aapke sath jo hua uske baad aap kisi ke bhi kareeb jaane se darne lagi hai aur fir Nikhil bhi to tha aapke sath, to itna aasan nahi hota aapke liye hume accept karna. Nikhil ki manzoori bhi humare liye zaroori thi.

Jab aapne hume mana kar diya tha to hume aisa laga tha ke kuch waqt ke liye humari duniya bas ek jagah ruk si gayi hai. Hume kuch waqt ke liye bura bhi laga tha par fir hume samjh aaya hai aapki zindagi kisi aam ladki ki tarah nahi hai. Kafi sare complications se hokar ke guzari hai aap, to hume us hisaab se aapko vo waqt dena zaroori tha, taaki aap is sab se jab thik se bahar nikal jay to kisi ke sath aage badhne ke baare me soch sake. Fir chahe vo humare sath ho ya kisi aur ke sath par shukra hai Allah Miyan ka ke aapne humare sath zindagi bitane ke liye ha keh diya.

Hum bata nahi sakte ke hum kitne khush the jab itni mashakkat ke baad aap finally maan gayi aur itna hi nahi, Nikhil ne bhi hume accept kar liya... (Sadly) Agar us mission me hum buri tarah se ghayal na hote aur apni yaadast na khote to humne ye panch saal yu, aise hi na ghavaye hote.

Koel (With a smile) - Shayad aisa hi hona zaroori tha. Dekho na, aaj main jaha hu, vaha pohoch ke behad khush hu. Apne liye, apne bete ke liye, apni family ke liye, apne doston ke liye, apne sathiyon ke liye, is society ke liye ke jisme hum rehte hai, sab ko main aaj bahot ache se protect bhi kar sakti hu aur Abhay jaise deshdrohi aur gaddar logo ko saza bhi dila sakti hu... (Mischievously) Bahar ke dushmano se to tum lad hi loge, mujhe tumpe pura bharosa hai. Andar ke dushmano ko sambhal ne ke liye to main hu hi, hai na?

Faizi laughed a little and kissed her forehead while she was just looking at him with a contented smile. He said...

Faizi (With an amused smile) - Hume nahi pata tha ke aap is tarah se bhi baat kar sakti hai, aise mazakiya laheze me...!!! Humne to bas aapko serious hi dekha hai.

Koel (With a smile) - Tab tum nahi the na meri zindagi me, mujhe is tarah hamesha khushiyan dene ke liye...!!!

Faizi (Kissing her forehead) - Aur abhi to sirf shuruaat hi hui hai humari khushiyon ki. Abhi to aur khushiyan aani baki hai humari zindagi me, Koel...!!!

Koel hugged him with a smile and he also smiled at her. Those struggles were worth their time together right now as they are finally together after so long and after so many uncertainties.
......................................................................
Here's the 2nd part of an Epilogue guys...

One more part to come...

Jab isme 40 votes ho jayege, to main next part de dugi varna you'll have to wait for the next part... So, agar ye story khatam karni hai aur aisi dusri bhi so that main nayi stories update kar saku to, complete the target...🤷‍♀️

How was it???

Silent readers, please stay away from my stories...😡😡😡

Please, vote and comment for my story and share your opinions and ideas...😊😊😊

Till the 2nd part of the Epilogue... Take care, be happy, be healthy & bye - bye, dear readers...❤❤❤

YEH ZID HAI DIL KI (COMPLETED)Where stories live. Discover now