Chapter 5

1K 124 25
                                    

Next week

Sid and Rahul went to Sid's parent's home.

(In Sid's family, there were his father, Ramveer Nigam and mother, Vibha Nigam. Sid was their only child.)

Ram: To aur sab kaisa chal raha hai? Job wagera?

Sid: Sab badiya hai dad. Aap sunao. Aap aur mom?

Ram: Bass hum dono bhi theek hai

Vibha came with some snacks and sat beside Rahul.

Vibha: Mera beta kaisa hai?

Rah: Bass theek hu dadi

Vibha: Ye gadha tera achhe se khyaal to rakhta hai na?

Rah: Hnn achhe se hi rakhte hai

Vibha: Hnn aur kuch kahe tujhe, daante to pata hai na kya karna hai

Rah: Hnji. Aapko kardoo

Vibha: Hnn bass uske baad mein isko khud dekh loongi

Sid: Maa aap kya sab sikha rahe ho isse

Vibha: Tu chup kar. Mein apne pote se baat kar rhi hu na. Beech matt bol

Sid raised his hands up in surrender.

Rah: Mein aaya washroom jaake

Vibha: Hnn ja

Rahul left.

Vibha: Saari zindagi tune barbaar kardi apni Siddharth

Sid: Mom please not again

Vibha: Kya not again hnn? Kab tak chup rahoo? Tune hamari baat na maanke shaadi ki. Chal kuch samey baad humne maaf bhi kar dia. Uske baad tujhe kitna samjaya ki abhi bhi waqt hai. Abhi bhi kuch nhi bigda. Itni ladkio se milwaya tujhe par tune shayad kasam hi khali hai ki hamari koi baat sunni hi nhi hai aur apni zindagi kharab karte jana hai bass

Sid: Mom enough please

He said irritatedly.

Ram: Teri maa theek keh rhi hai

Vibha: Aur apna nhi to Rahul ka hi soch leta. Itni chhoti si umar mein uss bechare bache ki kya galati thi?

Sid: Mom kitni baar aapko bola hai mein uss sab ke baare mein baat nhi karna chahta. Mujhe nhi yaad karna wo sab. Please mom mujhe iss baare mein koi bhi baat nhi karni. Let's just leave it. Hume thodi der mein lunch karke nikalna hai

Vibha sighed sadly. Rahul came and they acted normal in front of him. They had their lunch after sometime and left.

After few days

Avu: Didn't I tell you to pack your bags early? Lekin nhi koi sunta thoda hai meri. Hamesha mujhe hi krna pdta hai

Avu was packing Sana's belongings and shouting at her while she was lying on sofa scrolling her phone.

Avu: Maharani jii aapne phone dekh lia ho to aake meri madad hi kar dijie. Tera samaan pack kar rhi hu jo tune itne din se chillane ke bawjood nhi kia. Kam se kam madad to kar meri

Sana sighed getting up. She put her phone on side.

Sana: Kya hua ma?

Avu glared at her.

Sana: Mein krti hu na aapki help. Ruko

Avu: Aese kaise rhegi tu akeli. Mujhe tujhpe bilkul bharosa nhi hai. Aur waha tu akeli nhi hogi. Aur mein bhi nhi houngi tera har kaam karne ke lie. Aur tu apne room mein itna gand macha ke rakhti hai. Mujhe nhi samaj aa rha tu kaise rahegi waha

Sana: Ma aap chhodo na. Mein reh loongi. Aap faltu tension matt lo

Avu: Tension na loo? Kaise na loo tension hnn? Dekh Sana wo tera apna ghar nhi hai. Yha tu jaise marzi reh. Mein thida sa daant kar chup kr jati. Mein tera behavior bardasht kar leti hu. 11 bje uthti hai tab bhi khana de deti hu. Gand machake rakhti hai chal koi ni mein saaf kar deti hu. Par wo tera ghar nhi hai. Pg mein rehna hai. Wo bhi roommate hoga waha. Aese to tu un logo ko bhi pareshaan kregi. Kon karega tere bags pack hnn? Aur khane ka kya hoga tere? Itne din se bol rhi hu khana bnana seekhle lekin nhi baat to sunni nhi. Meri ek baat kaan kholke sunle. Agar waha jaake nakhre kie. Ye theek nhi wo theek nhi. I swear usse moment wapis bula loongi

Sana shooked her head and hugged her from back wrapping her arms around Avu's neck.

Sana: Mumma aap meri itni tension matt lia karo. Aur mein promise krti hu. Waha jaake achhe se rhoongi. Aapko koi shikayat ka mauka nhi doongi. Aur hnn aapko koi tantrums show nhi kroongi. Room bhi saaf rkhoongi. Aur achhe se behave kroongi. Aur khana zyada nhi thoda bohot to banana aata hu hai. Aur mein akeli thoda houngi. Jo bhi roommate hoga milke dekh lenge

Avu: Tera kuch nhi ho skta. Par chalo kya kar skte hai. Bass apna dhyaan rakhna. Theek hai?

She said putting her hand on her cheek.

Sana: Aap bhi

Sana kissed her cheeks. They finished the packing.

Next morning

Alarm rang but Sana switched it off with closed eyes without waking up. She covered herself with quilt and slept peacefully.

After 15 minutes

Avu came in room and frowned. She slapped her forhead with her hand.

Avu: Oho iss ldki ka kuch nhi ho skta

She pulled the quilt from her and shooked her.

Avu: Sana. Sana uthja. Hume nikalna bhi hai beta uth

Sana: Mmmm

Avu: Sana abhi ke abhi uthja warna maar khaegi. Jana hai ya nhi?

After lots of tantrums, she finally woke and got ready. Avu was serving breakfast when she came. They had it quickly.

Avu: Apna dhyaan rkhna waha. Theek hai?

Sana: Yes mom

They had already put her luggage in car. So they left after light breakfast.

To be continued

Stay tuned for next chapter

UNREQUITED FEELINGS {COMPLETED} ✔️✔️Where stories live. Discover now