इश्क़ पर ज़ोर नहीं है ये वो आतिश 'ग़ालिब'
कि लगाए न लगे और बुझाए न बनेPassion is a fire over which no one has control. That is, neither is it within anyone's power to light that fire, nor is it possible to extinguish it once lit.
Meaning the poet cannot make his beloved love him, nor can he stop loving her
nukta-chin hai gham-e-dil us ko sunae na bane
kya bane baat jahan baat banae na banemain bulata to hun us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jae kuchh aisi ki bin aae na banekhel samjha hai kahin chhoD na de bhul na jae
kash yun bhi ho ki bin mere satae na baneghair phirta hai liye yun tere KHat ko ki agar
koi puchhe ki ye kya hai to chhupae na baneis nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya
hath aawen to unhen hath lagae na banekah sake kaun ki ye jalwagari kis ki hai
parda chhoDa hai wo us ne ki uThae na banemaut ki rah na dekhun ki bin aae na rahe
tum ko chahun ki na aao to bulae na banebojh wo sar se gira hai ki uThae na uThe
kaam wo aan paDa hai ki banae na baneishq par zor nahin hai ye wo aatish 'ghalib'
ki lagae na lage aur bujhae na bane#riyareviews #ghalibexplained #urdupoetry #ghalib #ishq #love #passion
BẠN ĐANG ĐỌC
Mirza Ghalib
Thơ caMirza Asadullah Baig Khan, who wrote under the pen name 'Ghalib' is one of the most quotable Urdu poets whose sher or couplets relate with almost all situations of life. His words on love, loss and life continue to enlighten us and calm our soul. Hi...