Chapter 3

642 49 138
                                    

Vo awaazein kareeb aati hi rehti hai. Javin apne paas se ek lakdi uthata hai defense ke liye. Darwaza khulta hai aur police andar aa jati hai. Y/n ko dekhke inspector baki ke officers se kehta hai.

Inspector : Aree mil gayi! Vo mil gayi!

Aur bhi bohot sare police wale vaha aate hai.

Inspector : Raj-

Y/n inspector ko na bolne ka ishara karti hai aur inspector samajh jata hai ki Javin ke samne yeh nahi bolna hai.

Inspector : Matlab Y/n ji, aap thik toh hai na? Aapke pita ji aapko leke bohot pareshan ho rahe the.

Y/n : Ji, hum thik hai.

Inspector : Aur tum kaun ho?

Javin : Main Javin Patel. Main apne doston ke sath bet lagake yaha aaya tha.

Y/n : Inspector, inhone meri bohot madad ki hai. Agar yeh nahi hote toh main yaha tik hi nahi paati.

Inspector : Thik hai, thik hai. Tum jao apne ghar. Aur dobara aisi faltu bets mat lagana. Aaiye, Y/n ji.

Police wale Y/n ko vaha se le jate hai lekin jane se pehle vo Javin se kehti hai.

Y/n : Thank you. Agar tum nahi hote toh pata nahi main kya karti.

Javin : You're welcome.

Y/n : Bye.

Javin : Bye mat kaho. Kyuki yeh humari aakhri mulakat nahi hai.

Y/n : Kyu?

Javin : Kyuki hum hai raahi pyaar ke, phir milenge chalte chalte.

Y/n ko samajh nahi aata lekin isse pehle ki vo puche use inspector bulata hai.

Y/n : Mujhe chalna chahiye.

Vo dono apne apne raste chale jate hai.

Vo dono apne apne raste chale jate hai

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Tanmayi : Y/n! Humari bacchi!

Tanmayi bhaagke Y/n ko gale laga leti hai.

Y/n : Maa!

Tanmayi Y/n ke chehre ko pakadke bolti hai.

Tanmayi : Kya haalat ho gayi hai aapki?! Hum aapki fikar mein mare hi jaa rahe the. Aapne toh kitni der se kuch khaya bhi nahi!

Y/n : Hum thik hai, maa.

Tanmayi : Chaliye, hum aapko apne hatho se khana khilate hai.

Y/n : Aapne bhi humari tension mein kuch khaya nahi na? Aap bhi humare sath khayengi.

Shivnath : Hum bhi aapke liye pareshan ho rahe the!

Yuvrani Ke Saat Dewane || Completedजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें