Chapter 21

337 38 55
                                        

Jaisudha ki baat sunke Javin aur Veer haste hai

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Jaisudha ki baat sunke Javin aur Veer haste hai.

Veer : Maine kal raat Kriti ko Manjulika ke kamre mein nachte hue dekha tha. Main fauran gaya Javin ke paas use yeh sab batane. Phir aaj subah hum nikle Kriti ke bare mein pata lagane. Aur do ghante tak uske jaan pehchan walo se puchne ke baad pata chala, Kriti mentally suffer kar rahi thi.

Shivnath : Lekin kyu?

Veer : Bachpan se hi Kriti Y/n ke sath pali badi hai. Uske maa baap bhi yahi kaam karte the. Y/n ko sab zyada attention aur pyaar dete the. Isse Kriti ke jazbaaton ko thes pohochti thi. Aur iss hi liye vo thi insecure aur socially anxious. Aur jab Manjulika Kriti ke andar ghusi aur use Manjulika, Shashidhar aur Komolika ke bare mein pata chala, use Manjulika ki kahani apni kahani lagne lagi. Aur Y/n ban gayi uske liye Komolika. Usne shayad Nishant ko Y/n ke sath kabhi haste khelte dekh liya hoga ya phir Nishant mein use Shashidhar wale gun dikhne lage honge. Isliye Nishant yani Shashidhar tha uske liye vo pyaar jo use kabhi nahi mila.

Y/n : Hume maaf kardo, Kriti. Humari wajah se tumhe aisa lagega humne kabhi socha bhi nahi tha.

Kriti : Nahi, Yuvrani. Iss mein aapki koi galti nahi hai.

Javin : Vo sahi keh rahi hai. Iss mein rajkumari ji ki koi galti nahi hai. Kriti Y/n se nafrat nahi karti thi, Y/n ko jo pyaar milta tha vo usse jalti thi.

Tanmayi : Kriti, tumhari iss haalat ke bare mein hume bilkul pata nahi tha. Tum bhi humari beti jaisi hi ho. Hum agli baar se kuch aisa nahi karenge jisse tumhe chot pohoche.

Jaishankar : Lekin aapko yeh kaise pata chala ki Nishant ko hi Kriti Shashidhar samajhti hai.

Javin : Maine Kriti ko Rajkumar Nishant ko doodh dete hue dekha tha. Aur tabhi se baat mujhe hazam nahi ho rahi thi. Toh maine uspe thoda nazar rakha aur dekha ki vo aksar bahane banake unke paas jati hai. Toh jab Veer ne confirm kar diya ki Kriti hi Manjulika hai toh mujhe samajh aa gaya Rajkumar Nishant ko hi vo Shashidhar manti hai.

Shivnath un dono ke aage hath jodke kehta hai.

Shivnath : Thank you, agar aap dono nahi hote toh shayad hum akele Manjulika se lad nahi paate. Aur mata aap bhi. Aapne bhi humpe bohot ehsaan kiya hai.

Dakshika : *smile* Abhi hum chalte hai. Aap sab par Bholenath apni kripa banaye rakhe. Radhe radhe!

Mata prasthan karti hai.

Javin Shivnath ka hath pakadke bolta hai.

Javin : Aree nahi nahi, Maharaj. Aap bade hai. Aap hath mat jodiye.

Shivnath : Aapko jo chahiye aap vo mang lijhiye. Ise humari taraf se ek chota sa tofa samajhna.

Javin Y/n ki taraf dekhta hai. Y/n ko uske irado pe shak hota hai aur use lagta hai dar.

Yuvrani Ke Saat Dewane || Completedजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें