Y/n : Shukriya, Sooraj. Agar aaj aapne hume nahi manaya hota toh pata nahi hum kabh swadisht khane ka swad le pate. Humari dietician toh hume bhuka hi maar de.
Sooraj : *chuckle* Aapka jab bhi kuch karne ka mann kare jo aapko duniya wale nahi karne de rahe, toh aap humare paas aa jaiyega. *bows* Aapka yeh jinn "Kya hukum hai mere aaka?" Bolte hue aapki seva mein hazir hoga.
Y/n : *laughs*
Y/n aur Sooraj pet puja karne ke baad mele mein ghum rahe hai. Tabhi unhe ek jani pehchani insaan ke chillane ki awaaz aati hai.
Y/n : Yeh toh Harshad ki awaaz hai na?
Vo dono Harshad ki awaaz ka picha karne lagte hai aur unhe ek bheed dikhai deta hai. Y/n pehle bheed ke andar ghuss jati hai aur uske piche piche Sooraj bhi jata hai. Bheed ke bilkul samne jake Y/n ko Harshad milta hai. Jo bohot dara hua tha aur chilla raha tha.
Y/n : Harshad?
Y/n ko dekhke Harshad turant use zor se gale laga leta hai. Y/n ko thodi hairani hui lekin vo uske peeth ko sehlati hai. Bheed mein sab log use aur Harshad ko dekh rahe the.
Y/n : Kya hua, Harshad?
Harshad apni ungli se zameen ki taraf ishara karta hai. Y/n dekhti hai ki ek sapera saanp ka khel dikha raha tha. Aur Y/n samajh jati hai Harshad ko saanp se dar lag raha hai.
Y/n : Harshad, bas ek saanp hi toh hai. Vo kuch nahi karega. Saanp bewajah kisiko nahi daste.
Lekin Harshad ka dar phir bhi kam nahi hota. Toh Y/n sapere se kehti hai.
Y/n : Chacha, thodi der ke liye apne saanp ko tokri mein daal dijhiye na. Ise saanp se dar lagta hai.
Y/n ki pyaari baatein sunke sapera bin bajake apne saanp ko tokri mein wapas ghusa leta hai.
Y/n : Shukriya, chacha. *to Harshad* Harshad, abh saanp nahi hai.
Harshad piche mudke dekhta hai aur uska dar thoda kam hota hai. Harshad Y/n ko chhod deta hai. Tabh tak Sooraj, jo abh tak bheed mein logo ke dhakke kha raha tha, aakhir mein vaha pohochta hai.
Sooraj : Kya hua yaha pe?
Harshad : Sorry, Y/n. Uss saanp ko dekhke main bohot dar gaya tha. I hate snakeu!
Y/n : *cups his face* Koi baat nahi, Harshad. Darte hum sabhi hai kisi na kisi cheez se. Abh chalo yaha se.
Vo tino uss bheed se bahar nikalte hai. Bahar nikalte hi unhe dikhai dete hai Jaisudha aur Pankaj jo bohot hi pareshan dikh rahe the.
Jaisudha : Harshad! Aap thik toh haina? Aapko kuch hua toh nahi na? Humne aapke chillane ki awaaz suni.
Harshad : Maa, ek sapera saanp ka khel dikha raha tha toh mujhe dar lag gaya.
Jaisudha : *gasp* Aapka bohot bohot shukriya, Y/n. Harshad ko bachpan se hi saanpo ka bohot dar hai.
Y/n : Maharani, yeh toh humara farz tha. Abh hume chalna chahiye.
Jaisudha : Thik hai.
Sooraj : Y/n, hume bhi bauji ka phone aaya tha. Vo hume bula rahe hai toh hume bhi chalna chahiye.
Toh Y/n aur Sooraj vaha se chale jate hai apne apne raaste. Jaisudha Y/n ko dekhti rehti hai. Aur Y/n ko apni bahu banane ke sapne dekhti hai.
Y/n ko Yuvan dikhta hai ek kitabon ke stall par "Romeo Juliet" ki kitab padhte hue. Vo uske paas jake bolti hai.
Y/n : Aree waah! Hume pata nahi tha aapko aisi romantic stories acchi lagti hai.
Yuvan : Ek 13 aur 17 saal ke nibba nibbi ke 4 din ke pyaar ke chakkar mein kahi logo ki maut ho gayi. Iss mein itna romantic kya hai mujhe samajh nahi aata?
Y/n : Vaise baat toh sahi hai.
Yuvan : Main yeh kahani sirf cringe karne ke liye padhta hoon. Pata hai iss kahani se hume kya sikh milti hai?
Y/n : Kya?
Yuvan : Iss duniya mein pehle bhi nibba nibbi the, aaj bhi nibba nibbi hai aur aage bhi rahenge. Chutiye saale!
Ek yuvraj ke muh se gaali sunke Y/n ko thodi hairani hui lekin phir usne socha ki shayad kabhi kabhi gaali dena thik hai. Aur Y/n ki nikal jati hai hasi.
Y/n : Bade hi ucchya vichar hai aapke. You know, pehli baar hume koi aisa mila jiske vichar humare sath milte ho. Iss duniya mein har cheez ki kami hai chutiyo ke sivaye.
Yuvan : *widen eyes* Rajkumari aur gaali?
Y/n : Kyu? Rajkumariyan gali nahi de sakti?
Yuvan : Nahi, matlab, maine kabhi suna nahi kisi rajkumari ko gaali dete hue.
Y/n : Vo toh logo ko dikhane ke liye hota hai. Aur bakiyon ka pata nahi lekin hum kabhi kabhi de dete hai. Aap padhte rahiye, hum chalte hai. Bye.
Y/n chali jati hai. Yuvan Y/n ko jate hue dekhta rehta hai. Y/n ke muh gaali sunke use pata chal gaya, ki she is the one for him!
(I know, I'm amazing to come up with this crazy logic)
Y/n abh Nishant ke sath hai. Dono baatein kar rahe the, tabhi Y/n raaste pe ruk ke Nishant se kehti hai.
Y/n : Nishant! Hume buddhi ke baal khane hai.
Nishant : *confused* Buddhi ke baal?
Y/n : Haan. Hume toh buddhi ke baal bohot pasand hai.
Nishant : *in mind* Y/n ko budhi auraton ke baal khane pasand hai?
Y/n : *shakes his hand* Dekhiye! Vaha hai buddhi ke baal!
Y/n apni ungli se ek taraf ishara karti hai. Nishant uss taraf dekhta hai aur use dikhti hai ek budhi aurat.
Nishant : Are you sure?
Y/n : Of course! Aapne kabhi buddhi ke baal nahi khaye?
Nishant naa mein sar hilata hai.
Y/n : Phir toh aapko bhi khana chahiye!
Nishant : Lekin yeh toh galat haina?
__________________________________________A/n : I was thinking of making this ff a little longer than usual. Cause only then we'll be able to enjoy it perfectly. Hope you guys won't mind.
Aur agar accha lag raha hai, toh do comment karne mein kya tumhari jaan chali jayegi? Itni mehnat se yeh ffs likhti hoon. Thoda sa appreciate toh kar hi sakte ho.
आप पढ़ रहे हैं
Yuvrani Ke Saat Dewane || Completed
FanfictionA BTS OT7 Indian royal AU. The princess finds seven charming men who want her heart. Who will be the princess's choice in the end? Disclaimer : This is a work of pure fiction. So there might be a few unrealistic things. Do not take everything serio...