Chapter 6

501 53 111
                                        

Javin : Tujhe bhuk lagi hogi. Chal tujhe bahar khilata hoon aaj.

Vo tino jane hi wale hote hai ki tabhi ek aur awaaz aati hai.

...??? : Lavani!!!

Lavani : Kya hua, Riya?!

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Lavani : Kya hua, Riya?!

Riya bhaagke Lavani ke paas aati hai.

Riya : *panting* School ke dusre gate pe... Ek bohot handsome aadmi ki gadi ruki hai! Sab use hi dekh rahe hai! Bohot important aadmi lag raha hai. Chal use dekhne!

Riya Lavani ka hath pakadke use khichne lagti hai.

Lavani : Thik hai, aa rahi hoon! *to Javin* Bhai, main 2 minute mein aayi.

Javin : Thik hai, main ruka hoon yaha pe.

Lavani Riya ke sath chali jati hai.

Y/n : Javin, main bhi zara dekhke aau vaha kya ho raha hai?

Javin : *chuckle* Tumhe bhi uss aadmi ko dekhne hai kya?

Y/n : Nahi, mujhe bas curiosity ho rahi hai. Main yu gayi, aur yu aayi.

Y/n bhi vaha jati hai unke piche lekin kuch hi pal mein un dono ko kho deti hai. Phir use kisiki seeti bajane ki awaaz aati hai. Vo uss awaaz ki taraf dekhti hai aur use dikhte hai 3 chapri launde. Unhe dekhke hi vo bata sakti thi ki vo class chhodke chaprigiri kar rahe the.

Un chapriyon ka leader Y/n ke paas aate hue bolta hai.

Chapri : Oho! Janeman, kidhar chali?

Y/n : *crosses arms* Badi hoon main tumse. Umar mein bhi, aur knowledge mein bhi. Aur badi hone ke naate keh rahi hoon, yeh sab harkate chhodke padhai likhai karlo thoda! IAS YAS bano!

Chapri Y/n ki kalai pakad leta hai.

Chapri : Kya karu, janeman? Padhai mein mann hi nahi baithta. Lekin agar tu padhayegi toh IAS toh kya, main Steve Jobs hi ban jau! *laughs along with his chamchas*

Y/n apna hath chudane ki koshish karti hai lekin vo nahi chhodta. Lekin tabhi patt se headshot! Aur chapri zameen par!

Y/n aur chapri ke chamcho ka muh khulla ka khulla reh jata hai. Ek aadmi ne chapri ke sar pe apne suitcase se maar diya tha. Phir vo aadmi chapri ke chamcho ki taraf dekhta hai.

...??? : Abh tum logo ke sar pe alag se marna padega?

??? : Abh tum logo ke sar pe alag se marna padega?

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Yuvrani Ke Saat Dewane || Completedजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें