In Juneja Mansion
(Prem came downstairs and he saw his parents are looking at some photographs)
Prem: Good morning maa, good morning bauji!
(He touches their feet)
Lalit and Gayatri: Good morning beta!
Prem: Maa yeh kiski photographs dekh rahe hain ap log?
Gayatri: Arre beta yeh photographs kuch lardkon ki hai. Panditji deke gaye hain.
Prem (confusingly): Kyun?????
Lalit: Rishtey ke liye!
Prem: Rishtey ke liye? Lekin bauji humare ghar pe to koi lardki kuwari nahi hai. To phir????
Gayatri: Arre humare ghar mein nahi hai lekin Maan family mein to haina 'Heer'.
Prem (shocked): Kya Heer! Ap log Heer ke liye rishta dhond rahe hain?
Lalit (smirked): Han Teji bhabi ne hum pe yeh zimedari saunpi hai ki hum Heer ke liye lardka dhonden. Lekin tu itna heran kyun ho raha hai.
Prem: umm'mmm nahi bauji, mae to bus aise hi''.
Gayatri: Oh acha. Acha yeh dekh, muje or tere bauji ko to yeh lardka pasand hai Heer ke liye. Tub hi dekh ke bata ki kaisa hai.
(Prem took that pic in his hand)
Prem: Maa yeh lardka???
Gayatri: Han acha haina?
Prem: Maa, iski naak thordi si tedi nahi hai?
Gayatri: Kya! Dekhon to!
(Gayatri took that pic back from him)
Gayatri: Nahi Prem! Iski naak to bilkul thik hai.
Prem: Nahi maa, is lardke ki Jodi Heer ke saath nahi jachegi.
Lalit: Thik hai, phir tu hi in lardko mein se Heer ke liye ek lardka pasand kar. Afterall teri or Heer ki pasand bhi to same hi hai.
(Prem unknowingly becomes uncomfortable and he took all the pictures and starts comparing each guy with himself)
Prem (frustratedly): Nahi! In mein se koi bhi lardka acha nahi hai.
Gayatri: Lekin beta''
Prem: Maa muje office ke liye der ho rahi hai, mae office ja raha hun.
Gayatri: Arre lekin beta nashta?
Prem: Nahi maa ab muje bhook nahi hai.
(Then Prem left from there and both Lalit and Gayatri start laughing)
Lalit: Gayatri kahin se jalne ki bo arahi hai!
Gayatri: Ab aag lagi hai to jalne ki bo to ayegi hi na!
(Then again both started laughing)
(Here our jealous Prem is in big confusion, driving to office)
Prem (to himself): Yeh muje kya ho raha hai. Heer ki shadi ki baat sun ke mujhe itni takleef kyun ho rahi hai. Balki muje to khush hona chahiye ki meri best friend ki shadi ho rahi hai. Phir muje itna bura kyun lag raha hai.
(Prem reached office. Everyone was greeting him good morning. After having a warm welcome by hi staff, he quietly went to his cabin and sat on his chair. He took his phone in his hand and starts staring at Heer's pic and starts talking with her pic)
Prem (to Heer's pic): Heer tum chinta mat karo. Tumhare liye lardka mae dhondunga. Ek aisa lardka jo tumhe apni palkon pe bitha ke rakhe, jo duniya ki sari khushiyan tumhare kadmo mein lake rakh de, jo tumhari ankhon mein kabhi ansoon na ane de, jo tumhe bohot pyar kare.
"TUJHSE ZYADA PYAR HEER KO AUR KOI NAHI KAR SAKTA PREM"
(Prem turned and saw Kunal at the door)
Prem: Kunal, tu kab aya?
Kunal: Tab jab tu Heer ki pic se baatien kar raha tha. Yeh tu kya kar raha hai Prem?
Prem: Maine kya kiya?
Kunal: Tu khud hi apni Heer kisi or ko saunp dega.
Prem: Kunal tu kya keh raha hai muje kuch samaj nahi araha.
Kunal: Tujhe kuch samaj nahi araha ya tu kuch samajhna hi nahi chahta ki tu Heer se pyar karta hai.
(Prem become shocked)
Prem: Kunal, yeh tu kya bakwas kar raha hai?
Kunal: Bakwas nahi kar raha hun, sach bol raha hun. Ek aisa sach jo sab jante hain siwaye tere or Heer ke.
Prem: Kunal tu pagal ho gaya hai kya. Mae Heer se pyar nahi karta.
Kunal: Acha tu Heer se pyar nahi karta? To phir tujhe kyun itni takleef hoti hai agar Heer ko chot lagti hai? Heer ki ankhon mein ansoon kyun nahi bardash hota tujhse? Kyun????
Prem (angrily): Kunal! Muje Heer ki chinta hai kyun Heer meri bachpan ki dost hai. Bachpan se janta hun use. Dam it! I care for her.
Kunal: Yeh sirf dil ko tasalli dene wali baat hai Prem. Sach to yehi hai ki tum dono ek dosre se bohot pyar karte ho. You guys are meant for each other. Aur yeh baat tu jitni jaldi samaj jayena utna hi acha hai, kahin aisa na ho ki bohot der ho jaye. Anyways mae tujhe yahan apni birthday party mein invite karne aya tha.
Prem: I am sorry Kunal, mae tujh pe chilana nahi chahta tha. But jaisa tu soch raha haina, waisa kuch bhi nahi hai bhai.
Kunal: Its ok Prem. Mae chahe tujhe jitna bhi samjha lun, par tu nahi samjhega. Sahi waqt ane pe samjhega. Khair chord, kal time pe party pe pohonch jayiyo Heer ko leke. Samjha Late mat kariyo.
Prem (smilingly): Han han hum time pe pohoch jayege.
Kunal: Chal thik hai, ab mae chalta hun baki logo ko bhi invitation dena hai. Mae Heer ke ghar gaya tha but wo ghar pe nahi thi lekin maine Teji aunty ko bol diya tha. Ok ab mae chalta hun Bye!
Prem: Bye!
(Kunal left from there and Prem starts thinking about what Kunal said while staring at Heer's pic confusingly)
[Guys this was the 8th chapter. Please do comment how was it. Thank you]
YOU ARE READING
Pyar Ka Asar
FanficI wrote this fanfiction during 2012-2013. It's based on the characters of the Star Plus Show "Kis Desh Mein Hai Meraa Dil. One of my favorite shows. Back then I was obsessed with the Main Leads of the show Prem Juneja (Harshad Chopda) and Heer Mann...