Chapter 13 (Hide & Seek)

4 0 0
                                    

In Maan Villa

The next morning Heer came downstairs and greeted her parents and sister.

Heer: Good morning maa, papa, meher!

Teji,Balraj,Meher: Good morning!!!

Teji: Ab teri tabiyat kaisi hai puttar?

Heer: Ab mae thik hun maa.

Meher: Di apko pata hai, kal party mein apke jaane ke baad kisika bhi mann nahi laga, especially Prem bhaiya ka. Isiliye to wo kal raat ghar jane se pehle apse milne aye the.

Heer (confused): Kya Prem kal raat yahan aya tha?

Meher: Di ap to aise pooch rahe ho jaise apko kuch pata hi nahi.

Heer: Nahi Meher muje sach mein nahi pata ki kal raat Prem aya tha.

Balraj: Jab Prem kal aya hoga, shayad us time tak tu so gai hogi.

Teji: Haan aisa hi hoga. Chal koi baat nahi Heer, tu Prem se phone pe baat karliyo baad mein, abhi aa or nashta karle.

Heer nodded and joined her family at the breakfast table.

---------------------------------------------

In Juneja mansion

Meher entered the house when the entire Juneja family was having breakfast except Prem, who had already left for the office.

Gayatri: Arre Meher, tu yahan, ana baith nashta kar. Tere favourite aloo ke paranthe bane hai, aja!!!

Meher: Nahi aunty mae nashta karke aai hun, actually wo muje Preet se kuch kam tha.

Lalit: Meher is nalayak se tujhe kya kam.

Preet glared at his dad and all laughed at Lalit's joke.

Preet: hahahahaha very funny dad, or ap sab log hasna band karo. Or Meher kya hua?

Meher: Preet wo muje na tumhari project file dekhni hai, actually muje mere project mae kuch doubt hai.

Preet came to Meher.

Preet (confused): Project file? Konsi project file? Hume konsa project mila hai?

Meher: ummm arre Preet tum bhul gaye, wohi project jiske bare mein Kunal bhaiya ne hume bataya tha.

Meher glared at Preet.

Preet: oh han han yad aya wo Project? Han chalo wo file mere room mae hai. Thik hai chalo. Hum ate hain mom.

Preet and Meher both went upstairs.

Lalit: Yeh Preet nalayak ka nalayak hi rahega. Pardai ki baatien to yad hi nahi rehti isse. Pata nahi kya hoga iska?

Gayatri: Ap bhi na humesha mere Preet ke piche parde rehte hain.

Lalit: Arre lekin mae to bus'

Gayatri: ap chup-chap nashta ki jiye bus.

All started laughing seeing Lalit's expression.

-------------------------------------------------------

In Preet's Room

Meher: Preet ke bache tune to aj marwa hi diya tha.

Preet: Acha sorry na Meher. Acha bolo kya khabar hai.

Meher: Kya bataon Preet bohot hi buri kharbar hai.

Preet (confused): Kyun kya hua??

Meher: Pata hai aj humare ghar ke phone pe Prem bhaiya ka ka Phone aya, Heer di se baat karne ke liye.

Preet: Han phir?

Meher: to phone ramu kaka ne uthaya, or Heer di bhi wahi thi. Jab ramu kaka ne Heer di se kaha ki Prem baba apse baat karna chahate hai, to Heer di ne ramu kaka se Prem bhaiya ko bolne ke liye kaha ki wo ghar pe nahi hai. Or aisa ek baar nahi balki bohot baar hua aj.

Preet: hmm to iska matlab Heer di PB se naraz hai. Now that's sound interesting. Meher hume yeh kharbar jaldi se Kunal bhai ko batani chahiye taki hum age apne plan par kam kar sake.

Meher: Han chalo abhi chalte hai.

Preet: han chalo, shubh kam mein deri kaisi'.

-----------------------------------------------------

In Juneja Office

Prem was sitting in his cabin, checking some files but his mind was lost in the thoughts of yesterday's event. He is getting the flashback of that scene when Sanjana confesses her love for him. He remembered how he got restless for Heer when he heard that Heer was not feeling well. He remembered how he got worried when Heer brunt her hand. He remembered how he got jealous when his parents were talking about Heer's marriage with SOMEONE ELSE!!! He remembered Kunal's word " Tujhse zyada pyar Heer ko or koi nahi kar sakta Prem".

Prem (to himself): Kya jo kuch bhi us din Kunal ne kaha, kya wo sach hai. Kya mae sach mein Heer se pya'.. nahi nahi, yeh mae kya soch raha hun. Aisa nahi ho sakta. Heer meri best friend hai, mae uske bare mein aisa kaisa soch sakta hun.

Soon he was interrupted by his office phone. Prem picked the phone.

Prem: Yes Miss Anita

(Anita is Prem's PS)

Anita: Sir Miss Sanjana Rampal is here to see you.

Prem: What Sanjana Rampal'..ummm ok send her in.

He disconnects the call.

Prem (thinks): sanju yahan. Kahin wo kal wali baat'

Knock! Knock!

Prem: Come in!!!

Sanjana entered and passed a weak smile to him.

Sanjana: Hi Prem.

Prem (nervously): Hi Sanju, pls take a seat.

Sanjana took her seat and looked at Prem.

Sanjana: Prem mae yahan tumse baat karne aai hun. Kal raat jo kuch bhi hua wo'.

Prem: Sanju pls mae tumse pehle bhi keh chukka hun, ki mae tumse pyar nahi karta.

Sanjana: I know, mae yeh baat achi tarha se samaj chuki hun, or mae aj yehi kehne aai hun ki kal maine jo kuch bhi kaha, pls tum wo sab bhul jao. Galti meri hai, ki maine humari dosti ko pyar samaj liya. I am really sorry Prem. Pls muje maaf kardo. Tum mujhse dosti to nahi tordo ge na? huh?

Prem: nahi Sanju. Yeh tum kya keh rahi ho. Tum meri dost ho or Prem Juneja apne doston ka picha itni asani se nahi chordta. Infact to tumhe thanks kehna chahata hun. Tumne aj yeh sab kehke mere liye situation or bhi comfortable kardi. Thank you so much Sanju.

Sanjana: Pls Prem, tum mujhe thanks keh ke muje sharminda mat karo. Anyways ab muje chalna chahiye. Bye!

Prem: Ok Bye, take care!!!

Sanjana left and Prem took a deep breath.

Prem (to himself): Thank God, yeh problem to solve hui. Ab Heer bachi hai, use kaise manao. Kal se to wo mera phone hi kate ja rahi hai or mere message ka reply bhi nahi kar rahi. Heeerrr! Tum aisa kyun kar rahi ho mere sath.

-------------------------------------------------

[So here is the 13th chapter. Please do give me your suggestions about this chapter. Thank you for waiting patiently]

Pyar Ka AsarWhere stories live. Discover now