Explaining

54 7 2
                                    

Jai: Woh alag college mein thi par uske zyada tar dost mere college mein the

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jai: Woh alag college mein thi par uske zyada tar dost mere college mein the. Dono college kaafi paas the, chalkar ja sakte the ek se dusre mein toh hum dusre college ke bacho ko bhi ache se jante the. Woh ek playgirl thi, bahut so ke emotions ke saath khela usne. Is wajah se mujhe woh bilkul nahi pasand thi par woh dusre kisi anjaan ki tarah thi. Lekin mujhe usse nafrat hone lagi jab kisine aatma hatya kar li, woh chaar mahino tak saath the aur phir usne usko chod diya sabke saamne uski insult karke aur kaha ki use usse kayi guna behtar koyi mil gaya. Woh usse bahut pyaar karta tha, itni insult ke baad bhi use manane ki koshish karta raha... Mai wahi tha jab usne aatma hatya ki, bas 4-5 kadam dur woh jaha gira waha se. Suicide karna uska decision tha, woh uspar nahi daal sakte, lekin jo usne us ladke ke saath kiya maafi ke layak bhi nahi. She was in a different college but most of her friends were in my college. Both the colleges were at a walkable distance only so we all knew the students of the other college as well. She was a playgirl there, played with emotions of many. I didn't like her at all because of this but she was like any other stranger. But I started hating her when a person suicided, they had been together for four months and she suddenly left him after insulting him in front of everyone and saying she found someone way better than him. He loved her very much, the fact that he kept pleading to her to not leave him despite the insult... I was standing there when he suicided, just 4-5 steps away from where he fell. Suiciding was his decision, that wasn't on her, but what she did to him was not forgivable. 

Sid: That's horrible. Usko kal dekh kar mai soch bhi nahi sakta tha woh aisi thi, itni berehem aur patthar dil. Seeing her yesterday I can't even imagine she was like this, so merciless and stone hearted.

Jai: Woh bahut badal gayi hai, par kuch cheeze na bhulayi ja sakti hai na maaf ki ja sakti hai, chahe insaan khudko kitna bhi badal le. She did change a lot, but few things can never be forgotten and forgiven, no matter how much you change.  

Sid: Use kaise pata aap usse nafrat karte ho? How did she know you hate her?

Jai: Ek baar uske dosto ne use prank karne ki sochi use yeh vishwaas dila kar ki woh mere saath soyi thi par use yaad nahi kyunki woh hosh mein nahi thi. Yeh toh sach hai ki usne pi rakhi thi, par pata nahi mujhe kyu kheech liya un sabne isme. Usne mujhe manane ki koshish kari ki mai uska boyfriend ban jau aur mujhe ghussa aa gaya, jisse humare beech jhagda ho gaya. Mujhe nahi pata tha usne uski dosto ki baato ka vishwaas nahi kiya uske kal batane se pehle. Uske baad maine use seedha 11 din pehle dekha tha. Once her friends thought of pranking her by making her believe she slept with me but couldn't remember as she wasn't in senses. It is true she was drunk, but I don't know why they pulled me in this. She tried convincing me to be her boyfriend and I lost my temper, which led to a fight. I never knew she didn't believe her friends until yesterday. After that I never saw her again until around 11 days back.

He said everything that happened after that.

Sid: Woh aapko usko accept karne ke liye majboor kyu kar rahe hai jab aap usse pyaar hi nahi karte? Uska aapko pyaar karna toh kaafi nahi. Why are they forcing you to accept her when you don't feel anything for her? Her loving you is not enough.

Mixed feelingsWhere stories live. Discover now