At night batuk was standing near window thinking about binoy.......
He felt someone's hand on his shoulder.......
Batuk : Bondita.....!!!! Soyi nahi abhi tak......?
Bon : tum bhi toh nahi soye......
Batuk : neend nahi aa rahi hai bondita.....
Bon : kyu....?
Batuk : baba ke baare mein soch raha tha.....
Bon : batuk sasurji jald hi thik ho jayenge......
Batuk : Bondita yeh baat keh kar hum shashwati ko behla sakte hai khud ko nahi jab ki hum jaante hai ki ab shayad kuch nahi hoga......mere baba jo suit pehenkar khade rehte the toh kisi ki himmat nahi hoti thi unke saamne kuch kehne ki......aur kaha.....
Bon : sab thik ho jayega batuk dugga maa par bharosa rakho......
Batuk : wahi nahi hai bondita......
Bon : batuk aisa nahi kehte......
Batuk : toh aur main kya kahu Bondita......tum hi batao.....chalo humara chodo......tum toh unki sabse badi bhakt ho bachpan se.......humesha tumhare muh pe sirf unka naam raha hai....... shayad tulsipur mein tumse bada bhakt dugga maa ka koi nahin hoga phir bhi aaj tak unhone sirf tumse sabkuch chinna hai...... bachpan se lekar aaj tak tumhe kuch bhi aasani se nahi mila......har chiz ke liye tumhe ladna pada aur uska fayda kya hua......tum kehti ho woh jo karti hai sabki bhalai ke liye karti hai....... tum hi batao isme kiski bhalai hai....... sampurna maa ko dekha hai......pati saath hote hue bhi saath nahi hai.......main aur som dada toh phir bhi khud ko sambhal le par shashwati......baba hote hue bhi baba ka pyar nahi milta usse.......hum sab ka sar ka taaj chinn liya unhone humse......humare dada ko chinn liya humse......woh insaan jisne humesha dusro ka accha kiya......woh insaan jisne dushman se bhi insaniyat dikhayi.......woh insaan jisne humesha khud ke nahi dusro ke baare mein socha.......kya kiya tumhari dugga maa ne.......kya tumhe kabhi unpar gussa nahi aaya.....
Bondita felt that now he is not in state of understanding anything......
Bon : accha woh sab chodo batuk mere saath aao......
Batuk : kaha......?
Bon : chalo toh......!!!
She took him to the terrace.......
Batuk : Bondita yaha kyu aaye hai hum......?
Bon : aise hi......chalo beth te hai yaha.....
They sat on swing......
Batuk : sorry bondita woh main.....
Bon : koi baat nahi main samajh sakti hu tumhari paristiti.......accha batuk ek baat kahu......
He nodded......
Bon : bachpan ki baat hai......ek din patibabu apni study mein beth kar kaam kar rahe the...... main unki coffee lekar unke pass gayi......woh apne kisi case pe kaam kar rahe the......uss waqt mujhe unke cases mein bohot dilchaspi thi toh maine unse pucha ki patibabu iss baar case kya hai......toh unhone kaha case hai toh sahi par shayad woh yeh case haar jayenge......maine pucha jab unhe pata hai ki woh case haar sakte hai toh unhone case liya hi kyu.......unhone muskura kar jawab diya ki bhale hi 99% chances hai ki woh yeh case haar jayenge par 1% chances yeh bhi toh hai ki woh yeh case jeet jayenge.......aur ek barrister ke roop mein unka yeh farz hai ki woh nyay ke liye aakhri dum tak lade.......uss case mein unke saamne ek bohot bade aur naamchin barrister the jinke saamne tik paana kisi barrister ke liye aasan nahi tha.......phir bhi unhone case liya.......maine unse kaha ki patibabu agar aap case haar gaye toh aapka naam kharab hoga...... unhone kaha naam kharab hone ke darr se agar maine ladna chod diya toh phir barrister kaisa.......
Batuk : phir kya hua uss case ka.....?
Bon : haar gaye.....!!!
Batuk : dada case haar gaye.....?
Bon : haa......phir bhi muskura rahe the......maine pucha aap case haar gaye phir bhi muskura kyu rahe hai...... unhone kaha ki woh isiliye nahi haare kyuki woh galat the woh isiliye haar gaye kyuki saamne wale shayad sacche the...... isiliye jeet gaye......unhone humesha har chiz mein positive side dekhi hai.......unhone kabhi bhi haar ke liye dugga maa ko doshi nahi maana kyu woh maante the ki dugga maa hume sirf raasta dikha sakti hai uspar kab aur kaise chalna hai yeh hum insaano ko hi tay karna hai........hum jo raasta chunenge waisa hi hume parinaam bhi milega.......batuk sasurji ki jo haalat hai woh hum insaano ke ahankar ka natija hai do gaavo ke beech dushmani hui usme dugga maa ka kya dosh.......apni dushmani mein andhe hokar sab insaaniyat bhi bhul gaye isme dugga maa ka kya dosh.......aur rahi baat patibabu ki toh haa ek pal ke liye mujhe unpar gussa aaya tha ki kyu unhone mujhse mere patibabu ko chinn liya.......par phir patibabu ki hi ek baat yaad aa gayi humare jeevan mein kab kya hoga woh koi nahi jaanta chahe woh sukh ho ya dukh......aur jo hota hai usse dugga maa ki marzi samajhkar apne jeevan mein aage badho........kyuki yeh dono hi bhaav humari zindagi mein humesha ke liye nahi rehte......agar dukh aaya hai toh sukh bhi aayega aur sukh aaya hai toh dukh bhi zaroor aayega......... patibabu mere jeevan se chale gaye par piche mere liye ek aisa pariwar chod kar gaye hai jo mera saath kabhi nahi chodega iss baat ka vishwas hai mujhe........ tum bhi apni narazgi bhul jao batuk........
Batuk : kabhi kabhi lagta hai dada hi khade hai saamne.......wada toh nahi kar sakta par haa koshish karunga ki tumhari baat rakh saku ab chalo bohot ho gayi baate sona nahi hai.......
She nodded.......
YOU ARE READING
The true soulmate 💕💕
Romancethis story starts when anirudh died in accident....... batuk marries bondita to save her from society's evil clutches....... will they become eachother's soulmates......