Batuk came near river side.......he looked for bondita everywhere......atlast he saw her sitting under tree.......he rushed towards her........
Batuk : Bondita yaha kar rahi ho.......tumhe pata hai main kitna pareshan ho gaya tha......akal hai tum mein......itni raat ko akeli yaha kya kar rahi ho.......
She was not answering.......
Batuk : Bondita main kuch puch raha hoon tumse......
She was not answering......he got irritated.......
Batuk : Bondita main kuch puch raha hoon tumse jawab dogi......(loudly)
She looked at him teary eyed........as soon as he saw her eyes his whole anger got vanished and he got worried........
He sat beside her.......
Batuk : Bondita kya hua tum roh kyu rahi ho.......
Bon : batuk kyu kiya tumne aisa......
He got confused......
Batuk : kya kiya maine bondita......tum thik nahi ho tum pehle ghar chalo please......
Bon : kahi nahi jaana mujhe.....!!!
He got angry......
Batuk : Bondita yeh kya bachpana hai......ek toh tum itni raat ko kisi ko bhi bina bataye yaha aa gayi iss halat mein.......hum sab har jagah dhund kar pagal ho gaye aur tum ho ki........maa banne wali ho par bachpana ab tak gaya nahi......aur kya kiya maine.......saaf saaf bataogi......
Bon : saaf saaf sunna chahte ho.....
He nodded......
Bon : toh suno...... tumhari aur ksj ki saari baate sunn li thi maine......!!!!
He was shocked.......he closed his eyes tightly.......
Batuk : ky....kya....kya suna.....
Bon : sab kuch jo shayad mujhe pehle pata hone chahiye tha.......
Batuk : Bondita main tumhe batata hu......
Bon : kya bataoge batuk.......sab toh sunn liya maine......kyu kiya batuk aisa......kyu nahi bataya mujhe......
Batuk : Bondita main.....main....
Bon : meri wajah se kyu apni zindagi barbad ki.......
Batuk : Bondita aisa kuch nahi hai.......
Bon : aisa hi hai......jab tum aaradhya se pyar karte the toh kyu ki mujhse shaadi.......kyu diya apne pyar ka balidan.......bata dete mujhe.......main chali jaati kahi durr......... mujhse kitna bada paap ho gaya.......main tum dono ke beech mein aa gayi....... mujhe jeene ka koi haq hi nahi hai jiski bhi zindagi mein aayi hu aaj tak barbaadi ke alava aur kuch nahi mila hai usse........ek baar pehle bhi aisa ho chuka hai.......meri wajah se patibabu ko apna pyaar chodna pada tha......aur aaj phir wohi hua........ mujhe sachme mar jaana chahiye sabki saari musibate hi khatam ho jayegi.......
Batuk : bass......(loudly)
He pinned her to wall.......
Batuk : bass Bondita bohot bol liya....... khabardar agar yeh khyal bhi apne mann mein laya hai toh........aur kya bole jaa rahi ho kabse......kisi ki zindagi barbad nahi ki hai tumne.......
Bon : par.....
Batuk : nahi bondita ab tum meri baat suno........ Bondita tum jiski zindagi mein hoti ho na uski zindagi kabhi barbaad nahi ho sakti....... Bondita tumhe pata hai saalo pehle jab tum pehli baar apne nanhe kadmo ko lekar rc haweli aayi thi ussi din se tumne hum sabki zindagi mein khushiyan bhar di hai....... tumhare aane se pehle woh sirf ek patharo se bana hua mehel tha jisse tumne asal maayno mein ghar banaya.......maa ke jaane ke baad koi kisi se baat nahi karta tha tumne na sirf sabko ek saath laaya balki sabko jeena sikha diya........ Bondita main apne aap ko bohot khushnaseeb maanta hu ki tum jaisi saathi mujhe mili.......tum jaanti ho shuru mein jab iss dushmani ke chalte dada ne mujhe Italy bheja toh mujhe bohot gussa aaya......main kabhi apne pariwar se durr nahi hua......lekin phir yeh sochkar itne saal nikal liye ki tum bhi toh waha London mein reh rahi ho....... akele apne pariwar ko aur khaaskar apne patibabu ko chodkar......tumse hi toh mujhe humesha himmat mili hai........aisa soch bhi kaise sakti ho tum ki tum kisi ki zindagi barbad kar sakti ho.......
Bon : par tum aur aaradhya......meri wajah se hi alag hue na......
Batuk : nahi bondita.......hum alag hue par tumhari wajah se nahi....... kismat ki wajah se.......pata hai tum humesha kehti thi ki hum chahe kuch bhi karle hota wahi hai jo dugga maa chahti hai.......haa main pehle confused tha ki main kya karu par ab nahi.......aur bondita dada kabhi uss saudamini se pyar nahi karte the.......woh aur saudamini bachpan ke dost the isiliye kuch samay ke liye dada usse attract hue the bass......par phir jab tum unki zindagi mein aayi unhe samajh mein aa gaya ki unka saccha jeevan saathi tum hi ho....... Bondita main bohot khush hu.........
Bon : aur aaradhya.......woh toh mujhse nafrat karti hogi na......
Batuk : uske mann mein tumhare liye kya hai uska koi matlab nahi rahega kyuki woh kal jaa rahi hai humesha ke liye London.......aur tumhe guilty feel karne ki koi zarurat nahi hai........ tumhari wajah se kuch nahi hua........jo hua woh dugga maa ki iccha se......aur main bohot khush hu........ afterall main bhi baba banunga.......
She looked at her teary eyed........
Batuk : haa Bondita aaj se yeh baccha sirf tumhara nahi humara hoga......main iss bacche ko apna naam dena chahta hoon agar tum chaho......
Bon : batuk yeh tumhe kisi majboori mein karne ki zarurat nahi hai.......
Batuk : meri aankhon mein dekho......kya tumhe aisa lagta hai....... Bondita main sach keh raha hu pure dil se keh raha hu........kya tum mujhe apne bacche ke baba ke roop mein swikar karogi........
She nodded.......he hugged her tightly........ she too.......both were in hug for sometime........ Batuk broke the hug and wiped her tears......
Batuk : kabhi sapne mein bhi apni jaan lene ke baare mein socha na toh mujhse bura koi nahi hoga.......ab chalo ghar.......
Bon : sorry......
Batuk : chalo......
They left for home.......
PRECAP : AARADHYA WENT BACK TO LONDON FOREVER........
(GUYS AARADHYA'S CHARACTER WILL BE OVER IN NEXT CHAPTER)
YOU ARE READING
The true soulmate 💕💕
Romancethis story starts when anirudh died in accident....... batuk marries bondita to save her from society's evil clutches....... will they become eachother's soulmates......