Part 26

2.2K 114 9
                                    

Meerab:Maa begum please nahi khana.
Bhabi begum:Kuch khalo beta aise haal mein bhuke nahi rehna chahiye.
Meerab:Meri tabiyet kharab ho rahi hai yeh sab khana dekke.
Bhabi begum:Aab to yeh sab hota hi rahega beta to kya tum khana chod doge.

Then Bhabi begum try to feed her but Meerab doesn't want to eat.

Murtasim comes to them and said;

Murtasim:Maa yeh Mujhe de de aap.Mein khila deta hu.
Bhabi begum:Thik hai beta tum hi khila do.

Bhabi Begum gives food to Murtasim's hand  go from there.

Murtasim:Yeh lo yeh sab khalo aise haal mein tumhe bhuka nahi rehna chahiye Warna humare bacche ko takleef hogi.

Meerab rolling eyes and Murtasim sarcastically smiles on her.

Meerab:Yeh sab kab tak chalega?
Murtasim:9 mahine tak.
Meerab:Murtasim mazak bilkul maat karo mein zara bhi mazak ke mood mein nahi hu.Pehle to tabiyet kharab hai upar se yeh nayi pareshaani.Mujhse majid yeh sab jhela nahi jayega.
Murtasim:Bas kuch paal sabr karo mein handle karta hu yeh matter.Maa ko bata dunga ki yeh sab Filhal unke Galatfehmi hai Lekin bohot jald yeh sach ho jayega don't worry.

Meerab hits on him and said;

Meerab:Mazak nahi karo.
Murtasim:Yeh mazak thodi hai.Tum pehle thik ho jau Phir mein ek minute bhi tumse duri nahi rakhunga.
Meerab:Tumhari sui ek hi jaga pe tiki hui hai.Mujhe pehle iss problem se bahar nikalna hai.Socho us bade mein.
Murtasim:Soch lunga don't worry.Khair doctor ne tumhe dawai diya hai woh khana hoga Lekin isse pehle Kuch khalo.
Meerab:Kitni baar bolu khaya nahi jayega.
Murtasim:Khana to padega.

Murtasim forcefully feed her then gives her medicine.

He puts her on sleep and he softly patting her head.

Murtasim:Bilkul fiqr nahi karo mein Maa ko samjha dunga.Tum aram karo.

Meerab falls asleep.

In the lounge area.

Bhabi begum sipping on tea with Anwar khan then Murtasim and Meerab entered there.

Anwar Khan touched her head and said;

Anwar:Bohot bohot badhai ho beta.Tum dono ne hume bohot badi khushi di hai.Mein ek accha baap to kiya mein to tumhara baap hi nahi baan paya Lekin mein mere nawasa ya nawasi ke acche nana banne ki koshish jarur karunga.Jo khubsurat paal Maine tumhare kho diye the woh paal jarur jayunga Insha Allah.

Meerab feels guilty about how they deceived them and they dreaming in their mind.

Murtasim and Meerab sat on the sofa and said Murtasim said to his mother.

Murtasim:Maa hum thodi der mein doctor ke chamber jayenge Meerab ki thik se check up ke liye.
Bhabi begum:Khair se jao.Dekhna doctor ne bhi waisa hi bolega jo Maine bola tha.
Murtasim:Insha Allah waisa hi bolega.
Bhabi begum:(looking at Anwar) Meri to bhai sabr nahi ho raha kab yeh waqt guzrega Aur kab mein apna pota Aur poti ko apne god mein uthaunga.
Anwar:Woh paal bhi hume jaldi naseeb hoga Insha Allah.
Murtasim:Maa hum nikal te hai.
Bhabi begum:Jao Aur Meerab ka dyan rakhna beta.
Murtasim:Ji Maa.Chale Meerab?

Then they left for Doctors chamber.

In the car.

Murtasim finds Meerab mood is not good that's why he asked;

Murtasim:Mood off hai?
Meerab:Mujhe bohot bura laag raha hai Murtasim.Sab kitne khush hai Aur aab hum jab lautke inhe yeh bolenge sab jhoth tha to inka dil bohot tutega.
Murtasim:Lekin hume to inke Galatfehmi dur karni hogi na.Aur jhothe asre mein to nahi rakh sakte. Meerab jhoth bolke khushi dene se accha hai na hum sach bolke dukh de de.Woh jyada sahi hoga.Dil to tutega Lekin thik bhi ho jayenge.Aur Waise bhi hum bohot jald unhe khush khabri de hi denge,Kyun?

Meerab feels shy.

Few hours later.

Meerab and Murtasim returned home.Bhabi begum asked;

Bhabi begum:Kya kaha doctor ne beta?
Murtasim:Maa jaisa hum sabko laga waisa kuch nahi hai.
Bhabi begum:Kehna kya chahte ho?
Murtasim:Woh actually Meerab pregnant nahi thi use food poison ho gayi thi.
Bhabi begum:Doctor ne thik se check up to kiya tha na?
Murtasim:Bilkul kiya tha.Aur test ke result mein hi pata chala yeh pregnancy nahi tha.

Bhabi begum feels broken heart and Murtasim holds her hand and said;

Murtasim:Koi Baat nahi Maa.Aap apna dil mat dukhaiye.Aaj sach nahi hua to kya hua bohot jald  sach ho jayega Insha Allah.
Bhabi begum:Nahi beta mein thik hu bas aise hi dil bhar aaya.

Bhabi begum comes closer to Meerab and touched her hair and said;

Bhabi begum:Maf kardo beta bina sach jane bas apni andaz se hi sab ko jhotha ummed de diya.Tum logo ki bhi diya.Pehle Mujhe doctor bulana chahiye tha.Tumhari tabiyet Kuch Aur wajese kharab thi Aur mein Kuch Aur soch rahi thi.Lekin fiqr maat karo Allah jald se jald tum dono ko yeh khushi bhi dikhaye ga Insha Allah.

Then hugs her.

In the Next Day.

Murtasim is getting ready in front of the mirror then Meerab comes there and try to showing up her bracelet what's Murtasim gives to her in her birthday.

Meerab:Mera bracelet Kaisa hai Murtasim?
Murtasim:Accha hai.
Meerab:Puchoge nahi kisne diya hai?
Murtasim:Tumne kharidi hogi.
Meerab:Bilkul nahi.Mujhe kisi ne diya hai.
Murtasim:Kisne?
Meerab:Meri ek secret admire ne.
Murtasim:Really?Woh kon hai?
Meerab:Hai koi bohot khas.
Murtasim:Mujhse bhi jyada?
Meerab:Haa.
Murtasim:Bina jane hi woh khas ho gaya.
Meerab:Bin jane is liye to khas hai agar jaan gayi to khas nahi rahega.Accha hai na kuch chij raaz mein rahe.

Murtasim holds her waist and said;

Murtasim:Tumhari zindegi mein mere ilawa koi khas nahi hona chahiye.Meerab pe haq sirf Murtasim ka hai Aur use ishq karne ki izazat bhi.

Meerab looks at his eyes;

Meerab:Barso se mujhse mohabbat kiya.Mujhe chupke chupke dekhte gaya.Meri birthday pe gift bhi diya chup ke se Lekin samne humesha nafrat jataiya woh kyun?Mujhe pata chal gaya Sab Kuch Murtasim.

Pret Ki Dori Uljhi Thare SangWhere stories live. Discover now