After a while.
Haya comes to her and takes breath loudly.
Haya:Yeh lo number.
Meerab:Mil gaya?
Haya:Kuch time pehle bhi Us ladke ne Murtasim ko call kiya tha Aur message bhi.
Meerab:Really!
Haya:Ha really!
Meerab:Message pada tumne?
Haya:Haa bol raha tha please khan saab Mujhe aap ki cousin bohot pasand ayi is rishten ko mat tukdaiye.
Meerab:Koi reply kiya Murtasim ne?
Haya:Murtasim ne bola yeh shaadi hargiz nahi hogi.Humare ghar ki beti koi faltu chij nahi hai jo kisi bhi ade gede ko de do.Woh bohot kimti hai Aur usko haseel karna itna asan to nahi.Meerab looks with big eyes and said;
Meerab:Khan Murtasim ne mere bade mein aisa bola.Kya timing change kiya hai bande ne.
Haya:Pehle Number uthalo apni phone pe.
Meerab:Haa do.On the other hand.
In a dark room A man sitting on easy chair and touched Meerab's photo and said;
"Kitna ajeeb hai na Meerab Maine tumhe humesha bohot shiddat se chaha yeh jante hui bhi mein tumhe kabhi haseel nahi kar paonga.Aur koi Aur bina koi mehnet se hi tumhe paa lega.Kuch logo ke hathon mein Shayed mohabbat ki laakeer hi nahi hoti.Log khush rehne ke liye kisi ko chahte hai mohabbat karte hai.Lekin usko nahi pata mohabbat ke agle panne pe dukh bhi hota hai.Log mohabbat karte hai Lekin khush nahi reh pate.Kyun ki koi kisi se soch samaj ke mohabbat thodi na karte hai.Mohabbat to bas ho jati hai.Jisko sabse jyada nafrat karo usi se bhi ho jati hai.Is liye Shayed log bolte hai kisi se itna bhi nafrat nahi karni chahiye kya pata kab mohabbat ho jai.Maine bhi tumse mohabbat kiya Hai Lekin mohabbat karke sukoon se thodi na hu.Har paal tadap raha hu Aur muh se tumhe kuch bol bhi nahi paa raha.Is Duniya mein mohabbat karke chain se kon jita hai.Aise bohot kam log honge jisne mohabbat to kiya Lekin badle mein takleef nahi uthai.Is Duniya mein sab takleef denewale chij pata hai kya Meerab ek aise shaks ko dil mein jaga dena yeh jante hui bhi woh aap ke kabhi nahi ho sakte.Jo aab mere sath ho raha hai.Kaal ko tum kisi Aur ke ho jaoge Aur mein dekhta reh jaunga.Dil mein dard ko chupa ke tumhe kisi Aur ke sath khush dekhunga.Tumhe kabhi pata nahi chalega tumhare samne khada insaan ka dil kaise kaise tut kar reza reza ho raha hai.Kabhi tumhe pata nahi chalega ek shaks ne kaise tumhe tut kar chaha tha Aur na mein kabhi tumhe pata lagne dunga.Kuch mohabbat ke kismat mein adhora rehna likha hota hai Aur mere mohabbat bhi adhora hi reh jayega."
Some tears drop from his eyes.
In the terrace.
Meerab dialled that number and calls.
After a two rings,that boy received the call and Meerab talked with him.
After cut the call,Meerab said;
"Aab ayega Maza Aur kaal hoga asli tamasha"
When Meerab is about to turning,she sees Murtasim is coming here with holding cigarette.
Murtasim:Itni raat ko yaha kya kar rahi ho?
Meerab:Kuch bhi isme tumhe kya?
Murtasim:Mere ghar mein khade hoke Mujhe ulta jawab deti ho.
Meerab:Haa deti hu.To kya karoge?Hath pakad kar ghar se bahar kar doge.
Murtasim:Kash mein aisa kar pata.
Meerab:Ek bar kar do to dubara kabhi yaha aane ki zarorat hi nahi padegi.Tum bhi khush mein bhi khush.
Murtasim:Itni dheet Aur Baittamiz kyun ho tum?
Meerab:Kuch logo ka jaban band karna jaruri hai is liye.
Murtasim:Filhal jao niche Mujhe yaha kam hai.
Meerab:Aise gande chij pite rahe na to bohot jald bimar pad jaoge.
Murtasim:I'm surprised bohot khayal hai tumko mera.
Meerab:Insaniyat ki khatir keh rahi thi.
Murtasim:Nahi chahiye tumhari humdardi.Aab jao yaha se.
Meerab:Tumhe bolne ki zarorat nahi Mujhe kab kiya karni chahiye.Mein apni marzi ki malik hu.Then Meerab left from there and Murtasim looks at her departure.
In the next Morning.
Meerab is getting ready and Anila comes to her and asked;
Anila:Itna saj kyun rahe ho? Kaha jaana hai tumhe?
Meerab:Mehman aa rahe hai ghar pe.
Anila:Kon?
Meerab:Mujhe dekhne aa rahe hai.
Anila:Kon aa rahe hai?
Meerab:Kaal jo aa rahe the woh.
Anila:Tumhara dimag thik hai.Yeh kiya karne jaa rahe ho tum.Bhabi begum yaa Murtasim ko pata chale to pata hai kya hoga.Aise faisle ghar ki bade karte hai.Agar tumhara bap rishten se inkaar kar diya ho to kyun tumne yeh harqat ki.
Meerab:Mujhe laaga apni zindegi ka faisla karne ka haq shamil hai Mujhe.Aur Waise bhi Mama mein apni Zindagi apni terms Aur conditions mein jiti hu.Maine socha kisi ne ghar aakar Mujhe pasand karke gaya hai I should think about him.Burai kiya hai ladke mein?
Anila:Aaj tumhari wajah se ek toofan ayega ghar pe.Us ladke ko ghar bulane se pehle ek bar bhi nahi socha Baba se Baat karlu.Kyun humesha apni maan mani karte ho Meerab.Aab Mujhe bhi laag raha hai Waqas se mila beshumar mohabbat ne tumhe puri tarha se bigad diya hai.Koi chij ka lehaj hi nahi tumme.Meerab looks at her and smiling.
Then they heard a cars sound,Meerab said to mother.
Meerab:Jaiye Mama apki beti ko dekhne ladkewale aye hai.Unke istekbaal mein koi kami nahi honi chahiye.
Anila:Pata nahi aaj ghar mein kya hoga.
Meerab:Jo bhi hoga accha hoga.Anila left from there and Haya entered the room.
Haya:Mujhe bohot dar lag raha hai Meerab.
Meerab:Mein hu na Kuch nahi hota.
Haya:Agar sab tumhare plan ki according nahi gaya to.
Meerab:Jayega.Tumhe jo bola tum bas wohi karte reh na.Haya is in fear.
Meerab:Mein niche chalti hu Unke swagat karne.
Haya:All the best.
Meerab:Tumhe bhi.[Why I feel like it's storyline going to very boring?Should I continue it or not?]