Part 09

2.4K 97 6
                                    

In the Next Morning.

Meerab comes out from the room and finds Murtasim sitting on the sofa with sleepy eyes.

Murtasim wakes up after hearing the door sound.

Meerab:Yaha beithe kya kar rahe the?Meri chokidari to nahi kar rahe kahin Meerab kahin bhagke na chali jaye.
Murtasim:(In Mind) Allah ka shukar hai woh thik hai.Mere zehen mein use leke kitna bura bura khayal aa raha tha.
Meerab:Kiya hua jawab kyun nahi de raho?
Murtasim:Mein to abhi abhi bas tumse baat karne aaya tha yaha Aur pata nahi aankh kaise laag gayi.
Meerab:Kya baat karna chahte ho?
Murtasim:Jo Kuch bhi hua sahi nahi hua.Yeh sacchai aise samne nahi aana chahiye.Maa ke taraf se mein mafi mangta hu.
Meerab:Jo bhi hua accha hua mujhse mera aukad yaad dila di.Aur aab samaj gaya mein is Duniya mera koi apna nahi hai.
Murtasim:Aise na bolo Ma bap hai tumhara abhi bhi zinda hai.
Meerab:Wohi maa bap jisne Mujhe ek paal mein paraya kar diya.Itni saal ek jhoth ki zindegi jiya hai maine Murtasim.Aur Filhal jo mujh par bit raha hai na woh na tum samaj sakte ho Aur nahi mehsos kar sakte ho.Waise tumhare ghar ki sab bade kaha hai?
Murtasim:Kiya hua?
Meerab:Kuch baat karni hai Mujhe sabse.
Murtasim:Sab niche hai.Meerab,Kaal raat se Kuch nahi khaya please Kuch khalo.
Meerab:Mere zindegi mein toofan khada kar ke aab meri fiqr kar rahe ho.Kamal hai!
Murtasim:Mein nahi chahta yeh sacchai kabhi samne aye.
Meerab:Aur woh aa bhi gayi tumhari ba daulat.Khair chodo us baat ko mein aati hu sab se milke.

In the lounge area.

Everyone shocked to see Meerab there.Murtasim also comes there;

Waqas:Beta tum thik to ho?
Meerab:Pehle se aab bohot behtar hu.
Waqas:Tum chaho to hum Karachi laut sakte hai beta.
Meerab:Paraya ghar pe mera kya kaam?
Anila:Aise na bolo beta tum pali badi ho us ghar mein.Humari beti ho tum.
Meerab:Lekin mein to Anwar khan ki beti hu na.Pehle aap decide karle mera pehchan kya hai.Mein khud ko kya bolu Meerab Waqas Ahmed yaa Meerab Anwar Khan.Mein khud is uljhan mein hu khud ko kya samjhu.Kash mein koi lawaris yaa yatim hoti tab Shayed aise takleef na hoti jaise aab ho rahi hai.Khair aap logo ko meri takleef se kya lena dena.Mein yaha aap logo ko Kuch batane aaya tha.
Bhabi begum:Bolo kya bolna hai.
Meerab:Aap ko sunkar bohot khushi hogi ki mein Murtasim se niqah ke liye razi hu.Mujhe is rishten se koi aitraaz nahi.
Waqas:Beta tum to kaal tak razi nahi thi to aaj kya ho gaya.Tum nahi chahti to niqah nahi hoga.
Meerab:Yeh baat bolne se kafi der kar di.Kash aap pehle bolte.Aab mein faisla lee chuki ho.Niqah karwana hai to khushi se kare kyun ki aab Meerab koi tamasha nahi karegi.
Bhabi begum:Alhamdulillah.Der aye durust aye.Bohot jald aqal aa gaya tumme.
Meerab:Aqal ke sath sath hosh bhi aa gaya hai.

Then Meerab about to go to her room and sees how Murtasim look at her.

In Meerab's room.

Meerab takes the knife and recalled about her mother what's her mother once told about marriage.

"Agar is rishten ke liye tum haa kardo to tum yaha rani banke rahoge.Jo bhi faisla lo ge sab sad jhukaye sunenge.Murtasim ke sath niqah se tumhara faida hoga beta."

Right then Murtasim entered the room and snatched the knife from her and asked;

Murtasim:Kiya karne jaa rahe the tum?
Meerab:Fruit kat rahi thi.Tumhe kya laga Meerab khud khushi ka soch rahi hai.
Murtasim:Nahi woh..
Meerab:Tumhare liye mein apna jaan de du aisa kabhi nahi hoga.
Murtasim:Achanak aise haa karne ki zarorat kiya thi.
Meerab:Tum shaadi ruk nahi paa rahe the to maine socha mein haa karke sara masla hi khatam kar deta hu.
Murtasim:Kuch waqt do Mujhe mein maa se Baat karta hu.Koi tumhe majbur nahi karega Meerab.
Meerab:Aur kitne din chahiye tumhe?Jab stand lena tha tab to liya nahi aab aye ho hum dardi jatane.Khair Maine soch samaj ke haa bola hai.
Murtasim:Kya soch ke haa kaha tumne?Wajah kya hai akhir?
Meerab:Ek wajah hoti to batati Lekin bohot si wajah hai.Us mein se sabse important wala bata deti hu yatem ho gayi hu mein
Aur be ghar bhi.Dar badar nahi bhatak sakti.

Some tears drop off her eyes.

Meerab:Rehne ke liye sad ke upar chad chahiye.
Murtasim:Tumhara bap ka ghar hai pura Izzat se Aur haq se raho yaha.
Meerab:Konsa baap wohi baap na jisne paidaish ke baad mera shakal tak nahi dekhna chaha.Mujhe mere hi maa ki maut ka zimmedar thehraya.Jis admi ko mein apna bap nahi manti uske ghar kis haq se rahu batau Mujhe.Agar tum abhi bhi mujhse niqah nahi karna chahte ho to thik hai.Apne liye dusra thikana dhund lungi mein.

Murtasim left from the room.

Meerab wipes her tears and said;

"Jiske wajah se mere ankhon mein ansu hai Aur mere zindegi mein yeh tabahi aayi usko maf karna mushkil hai.Bohot roo liya hai Maine aab rulane ki badi hai."

In Murtasim's room.

Anwar hugs Murtasim and said;

Anwar:Bohot shukriya beta haa bolne ke liye.
Murtasim:Beti ki bohot fiqr hai na aap ko?
Anwar:Yeh bhi koi kehne ki baat hai.
Murtasim:To chachasaab us waqt maa ko kyun nahi ruka jaab unhone Waqas chacha ko yeh dhamki diye the ki agar Meerab shaadi se inkaar kare to woh unhe sacchai bol dengi.
Anwar:Mujhe nahi pata Bhabi begum aisa kar dengi.
Murtasim:Kash chachasab aap paida hote use apne se dur nahi kiya hota to aaj woh aise takleef mein nahi hoti.Sirf paida karne se hi koi maa yaa bap nahi ban jata.Aap ne bhalei use paida kiya Lekin har roop mein Waqas Ahmed Meerab ki baap bane.
Anwar:Bohot sharminda hu aap ne harqat par.
Murtasim:Mein bhi ruswa huya hu uske aage.Uske sath jo kuch bhi hua uske zimmedar mein hu.Yeh saab shaadi ki baat se hi shuru hua hai.Pata nahi kaha jaake yeh khatam hoga.

Anwar Khan looks at Murtasim.

Pret Ki Dori Uljhi Thare SangWhere stories live. Discover now