chapter 15

89 8 17
                                    

Debu hummed and went away from there.

Then uske baad devansh wahan se kaallok chale jaate hain tauba tauba or bhaymar ko pakadne ke liye.

Kaallok
Devansh andar aa gaye ab bas ye hi soch rahe the ki kaise bhaymar ko yahan bulaya jaaye.

Debu (telepathy) :- hero kya tum yahan aa sakte ho? Hume tumhari madad chahiye hogi.

Hero :- meri kya madad chahiye bvr?

Debu :- hero hum jab un dono ko pakdenge toh koi toh hona chahiye na Jo unko yahan se veerlok le jaayen.

Hero :- theek hai bvr, main aata hun.

(Telepathy end)
Vivi :- ab bhaiyya hum bhaymar or tauba tauba ko yahan kaise bulayenge?

Debu :- bulane ki zaroorat nahi hai, kyunki wo khud hi aa gaye dekho udhar zara.

Vivi phir uss taraf dekhta hai jahan debu keh raha tha or dekhta hai ki bhaymar or tauba tauba dono aa rahe hain.

Vivi :- shikar toh khud shikari ke pass chalta aa raha hai😏.

Bhaymar or tauba tauba wahan pohoch gaye.

Bhaymar :- bvr!! Tum yahan kyun aaye ho?

Debu :- tumne hamari biwiyon ko kahan rakha hai bhaymar?

Bhaymar :- hume kaise pata hoga ki tumhari biwiyan kahan hai, yahan se chale jaao nahi toh mujhse bura koi nahi hoga.

Tauba tauba (to himself) :- or aapse bura koi hai bhi nahi.
Bhaymar ne ye sunliya or tauba tauba ko ek chaata maara bohot tez. Tauba tauba gol gol ghumke gir gaya.

Vivi :- hum yahan par ladne nahi aaye hain, haath mila lo hamare saath.

Debu vivaan ko shock hokar dekta hai or phir telepathy mein bolta hai.

Debu (telepathy) :- ye tum kya keh rahe ho vivaan? Hum log isse haath milane thodi na aaye hain.

Vivi :- bhaiyya mujhpar yakeen kijiye, maine apne haath mein ek aisa jaadu chaalu kar rakha hai ki ye dono jaise hi hume chuyenge ye dono immediately veerlok ke kaid khaane pohoch jaayenge or kisiko pata bhi nahi chalega.

Debu :- tumhara plan kaam toh karega na?

Vivi :- haan bhaiyya, yakeen kijiye mujhpar.

Debu :- theek hai

(Telepathy end)
Bhaymar :- or kyun haath Milana hai tumhe hamare saath?

Vivi :- wo kyunki Hume pata chala hai ki shaurya ne hi hamare papa ko bambaal ke haathon mein diya tha or uss bambaal ne hamare papa ke saath itna kuch Kara hai. Bambaal se badla nahi lenge lekin shaurya se zaroor lenge hum.

Debu (in mind) :- ye kya bol raha hai, kahin bhaymar ko hum par shak na ho jaaye.

Peeche se dooba-dooba or hero (jo ki already gayab mode mein the) devansh ki baatein sun rahe hain.

Hero :- ye vivaan kya bola jaa raha hai or bvr isko rok kyun nahi raha?

DD :- hero bas hamare pass dekhne ke alawa kuch or raasta nahi hai, toh bas dekhte hain ki ye kya karne waale hain.

Hero :- haan dooba-dooba tum sahi keh rahe ho.
Then wo dono devansh or bhaymar ki baatein sunne lagte hain.

Bhaymar :- or hum tumpar yakeen kaise karen?

Debu :- tum yakeen Karo ya nahi karo, lekin ye hi sach hai. Hume shaurya se badla Lena hai.

At veerlok
Shaurya, pariyan, neeshi, Ray, sidneet, and Aditi devansh ki saari baatein sun rahe the.

Khushi :- ye debu bhaiyya or vivaan kya kar rahe hain?

Ray :- dono pagal ho gaye hain, kuch bhi bol rahe hain.
Then they saw ki bhaymar unki baaton mein aa gaya hai and unke saath haath milane ke liye haath badha Raha hai.

With devansh
Debu :- tauba tauba ji aap bhi haath mila lijiye, hamare haath mein kaaten nahi Lage hue hain.

TT :- theek hai mila leta hun.

Then bhaymar and tauba tauba dono devansh ka haath jaise hi pakadte hain seedhe veerlok ke kaid khaane mein pohoch jaate hain.

Bhaymar :- unhone dhoka Diya hai!!!! Main nahi chodunga unko, hume jald se jald timnasa ko batana hoga.

Bhaymar apna jaadu use karne ki koshish karta hai lekin uska jaadu kaam nahi aata.

Bhaymar :- ye kya hua? Mera jaadu kaam kyun nahi kar raha??

BP :- kyunki tum veerlok mein ho, or veerlok mein tumhara jaadu kaam nahi karega, tum veerlok ke kaid khaane mein ho.

TT :- lekin maine kya kara mujhe toh chhod do!!

Ray :- tum hi toh hamare liye important ho tauba tauba, tumhe yahan kaid karne se hume hamari biwiyan mil jayengi.

Aladin :- or tum ab yahan se nahi nikal paaoge jab tak dono bvr nahi chahte.

With devansh
Bhaymar or tauba tauba ko veerlok bhejte hi vivaan bhaymar ka roop leta hai or dooba-dooba ko bulakar usko tauba tauba bana deta hai.

Vivi :- bhaiyya aap or hero bhaiyya veerlok jayiye hum yahan sambhal lenge.

Devabhi :- pakka na?

Vivi :- ji bhaiyya, aap jayiye.
(Now I'll write as BHV for Vivi jab tak wo bhaymar ka role kar raha hai tab tak ke liye, and for dooba-dooba main TD use karungi)

BHV :- chale hum ab dooba-dooba?

TD :- haan chalo vivaan.
Then dono wahan chale jaate hain jahan timnasa teeno ladies ko lekar gayi hui thi.

Timnasa :- bhaymar koun aaya tha kaallok mein?

BHV :- koi nahi tha timnasa, maine chaaron taraf dekh liya shayad koi parinda hoga.

Akroor :- theek hai, timnasa tum prakriya shuru karo.

Timnasa jab anayal or aarohi ko kaal jal mein daalne hi waali thi vivaan ne chupke se unke upar ek shield lagadi, and ab wo teeno bilkul safe hain.

Paani mein jaate hi teeno hosh mein aa gayi thi or ye soch rahi thi ki unke saath ye ho kya Raha hai?

Glimpse :-
Girls safe!!

Life After Marriage (Virohi FF) Where stories live. Discover now