Then aarohi went or more like ran towards her mother and brother and hugged them tightly. While vivaan was standing there only looking at the love of his life being all happy with her mother and brother with a small smile on his face.
Ray :- aarohi kitni khush lag rahi hai na vivaan?
Vivaan came out of his trance and looked at Ray while the smile still plastered on his face.Vivi :- haan bhaiyya, bas mera toh maksad hi ek hai ki aarohi ko kisi bhi tarah khush rakhun.
Ray :- aarohi is so lucky to have you in her life, jo apni khushi se zyada uski Khushi ke baare mein sochta hai.
Vivi :- haan sahi kaha aapne.
Then aarohi came and dragged vivaan with her towards sheetal and aarav.Vivi :- arre aaru, kya kar rahi ho?
Aaru :- tum wahan akele kyun khade the Vivi aao na hamare saath khade ho.
Vivi :- arre main akela kahan tha mere saath Ray bhaiyya bhi toh the.
Aaru :- mujhe kuch nahi sunna, tum or mom kab tak aise hi rahoge, ab toh hamari shaadi bhi ho gayi hai.
Vivi :- *stopped* nahi aarohi, agar unko mujhe accept karna hota toh wo kar leti, lekin she don't even like me.
Aaru :- *stopped too* vivaan please na, dekho tumne mere liye inse baat Kari or inki yahan lekar aaye, toh ek or baar mere liye unse baat karlo.
Vivi :- *sigh* aish!! Theek hai, lekin sirf tumhare liye, ab aisi aankhen mat banao or chado upar.
Aarav :- kya khusur-phusur kar rahe the meri behen or jiju🤭?
Virohi :- kuch nahi.
Aaru :- mummy meri ek request hai, kya aap puri karengi?
Sheetal :- haan beta batao kya hai, mujhe toh lagta hai ki ye ladka tumhari koi bhi wish puri nahi karta hoga.
Vivi was just controlling his anger and just looking at sheetal with his famous cold eyes.
Aaru :- aisa kuch nahi hai mom, ye toh meri har baat maanta hai or meri har wish bhi puri karta hai. Ab aap y sab chhodo or batao aap meri request puri karengi ya nahi?
Sheetal :- haan haan theek hai batao kya hai request?
Aaru :- aap or vivaan ek dusre se baat Karen, and ab no more disapproval and all. Main aao dono ko ek dusre se aise ladte ladate hue or nahi dekh sakti.
Vivi :- aarohi --
Aaru :- you should keep your mouth shut Mr. Vivaan Joshi.
Vivaan immediately keep his mouth shut after seeing Aarohi's anger.
Sheetal :- beta lekin tum kyun chahti ho ki main isse achche se baat karun?
Aaru :- aap pehle ye batayiye ki aap Vivaan se kyun nafrat karti hain?
Sheetal :- kyunki tumhe pata hai ki mujhe shaitan bachche ya bade pasand nahi hain jo dusron ko pareshan karke rakhte hain.
Vivi :- sorry to say Sheetal aunty lekin bachche toh shaitani karte the lekin jabse maine acting karna shuru ki hai tabse main bohot hi mature ho gaya hun ki bade-bade actors, directors, actresses, producers, singers mere saath kaam karna chahte hain. And top of that mujhe pata hai ki kab bachchon ki tarah masti karni hai or kab badon ki tarah mature behave karna hai.
Aaru :- haan mom, vivaan jaisa pehle tha ab usse kaafi badal gaya hai
Vivi (in mind) :- badal toh main tab hi gaya tha jab mujhe partner ne baalveer banaya or mere upar duniya ko bachane ki zimmedari aa gayi thi.
Aarav :- bhai kya sochne lag gaya tu?
Vivi :- kuch nahi, or ab aap batayiye aunty ki aap mujhse bas itni si baat se nafrat karti thi or hain?
Sheetal :- haan, or mujhe abhi bhi tumpar yakeen nahi hai.
Aaru :- mom bas bhi, and aap ispar yakeen Karo ya nahi lekin main or aarav ispar blindly trust karte hain.
Aarav :- haan kyunki ye aarohi ka husband or mera jiju hone se pehle hamara dost hai.
Vivi :- dekh liya aunty, aapke bachche hi aapka saath nahi de rahe.
Sheetal :- theek ha, theek hai, isko ek chance dekar dekhti hun. Mujhe disappoint mat karna bas.
Ye subkar aarohi ke chehre par ek badi si smile aa jaati hai or or vivaan ko hug kar leti hai. Vivaan bhi aarohi ko khush dekh kar khush ho jaata hai.
Aaru (whispering to vivi) :- dekha maine kaha tha na Vivi ki mummy tumse nafrat nahi karti. Tumhe hi galat fehmi thi.
Vivi :- *patting her head* hmm ab ghar chalen? Ghar jaake maa ko mujhe ek news bhi batani hai or papa ke aane ki party ki tayyari bhi toh karni hai.
Aaru :- hmm chalo, bas ek or baar mummy se milke chalte hain.
Vivi :- hmm theek hai.
Then they both broke the hug and aarohi looked at her mother.Aaru :- mom achcha ab hum chalte hain wo kya hai na Karuna aunty ko hamari help chahiye.
Sheetal :- tum abhi bhi Karuna ji ki aunty bulati ho?
Aaru :- wo kya hai na hume aadat hi aisi hai isliye payal bhabhi, ananya bhabhi or main hum teeno unki aunty hi kehte hain.
Sheetal :- theek hai, lekin hume chodega koun?
Aarav :- aapka damad hai na maa, wo banega hamara personal driver.
Vivi :- tu zyada nahi bol raha?
Aarav :- naa😝😝 (ran away)
Vivaan also ran behind him in order to catch him. But he was running so fast that vivaan can't able to catch him.Aarohi and sheetal both laughed seeing them and then aarohi said.
Aaru :- mummy abhi mat jayiye na, ghar chaliye Karuna aunty or jaikas uncle se bhi mil lijiye.
Sheetal :- jaikas? Wo koun hain?
Aaru :- wo neeshi, devrayvan ke papa hain or hamare father-in-law.
Sheetal :- achcha, theek hai Chalke milte hain jaikas ji se bhi.
Glimpse :-
Party planning, and promotion party
YOU ARE READING
Life After Marriage (Virohi FF)
FanfictionBook 2 of Childhood Love I am back with the season 2 of childhood love!!!!!! First read the season 1 then come and read it. It is the continuation of childhood love 1st published :- 27 January 2023 Republish :- 20 September 2024 Disclaimer :- If...