Akash sets Bondita free

639 115 26
                                    

In afternoon......

Bondita came to staff room for lunch......

first she got nervous to see akash there but then remembered anirudh's words.......she breathed deeply and sat on her table.......

she can clearly feel his gaze on her.......

She had her lunch silently.......

After all classes......

akash was wrapping up his belongings for leaving.......he know bndita don't want to meet him......

voice : akash.....!!!!

his heart skipped a beat listening voice.....

he turned.....

bondita was very nervous but today she wanted to clear everything.......

bon : kuch baat karni hai tumse par yaha nahi main nadi kinare jaa rahi hu waha aa jaana saath mein jayenge toh sab baate karenge.....

he just nodded......

she left......

***************************
Bondita was waiting for him at riverside......

voice : bondita....!!!

she calmed her racing heartbeats and turned......

both were standing in total silence just looking at each other......

akash : kaisi ho....?

bon : thik hu.....kab wapas aaye.....

akash : 1 hafte pehle......tumse milna chahta tha par tumhare ghar nahi jaa sakta tha phir ek din tapur raaste mein mil gayi.....usse pucha toh pata chala tumhari shaadi ke baare mein.......

she looked at him with teary eyed......his eyes were depicting only pain......

bon : akash jo hua qoh sab bohot hi alag haalaton mein hua.......

akash : haa bataya mujhe tapur ne......tumhare baba ne tumhe majbur kiya......

she nodded....

akash : toh ab....

bon : akash main bass yaha yeh kehne aayi hu ki hume apni apni zindagi mein aage badh jaana chahiye main badh chuki hu pehle hi.......

akash : haa....dekha tha maine tumhe aur tumhare pati ko kal.........pehle mujhe lagta tha ki pyaar kaafi hoga ek acchi zindagi ke liye.....par ab pata chal gaya ki agar aapke paas paise nahi hai toh aap kisi kaabil nahi ho......

bon : aisa tumse kisne kaha......soch bhi kaise sakte ho tum aisa.......agar mujhe paiso ki fikar hoti toh kya kabhi tumse pyar karti......akash tum maano ya na maano ek waqt tha jab tum meri duniya the......

akash : haa....tha....ab nahi hu.....tumhe pata hai jab mujhe tapur se tumhari shaadi ke baare mein pata chala na toh main tumse milna bhi nahi chahta tha.......mujhe toh yeh bhi nahi pata tha ki tum ussi school mein kaam karti ho warna main nahi aata......

bon : akash tumhe pata hai itne mahino se tum yaha nhai the toh meri zindagi mein kya hua.......pehle tum mujhe yeh batao kaha the tum.....

akash : baba ki tabiyat bohot kharab ho gayi thi yaha ke doctor ne kaha ki unhe bade shehar le jayenge toh kuch ho sakta hai isiliye umke saath gaya tha......

bon : ab thik hai na kaka......

he nodded.....

bon : akash tum shayad mera yakin nahi karoge par jo sab hua woh mere liye bhi aasan nahi tha......aur main ladti toh kaise tum bhi yaha nahi the......mere result wale din hi baba ne meri shaadi tay kar di thi.......dil par patthar rakh kar shaadi ki thi maine.......mujhe laga sab khatam ho gaya........lekin main galat thi......patibabu jaise insaan meri zindagi mein aaye........tum jaante ho main puri tuti hui thi uss insaan ne na sirf mujhe joda balki aatmavishwas se jeena bhi sikhaya.......meri toh kabhi aawaz tak nahi nikalti thi baba ke saamne aaj dekho kya kabhi tumne mujhe iss tarah bolte hue dekha hai........pehle din se uss insaan ne mera dhyan rakha hai meri harr khushi ka.......unke liye woh kya chahte hai usse zyada main kya chahti hu yeh maayne rakhta hai.......pati hone ke bawajud bhi unhone meri iccha ke virrudh mujhe haath takh nahi lagaya.......jabki woh toh unka haq hai.......unki wajah se mujhe ek aisa pariwar mila jiske liye main humesha tarsi hu.......jitna mere apne maa baba ne mera dhyan nahi rakha hoga na utna unke pariwar ne mera rakha hai.......main aaj kaam kar rahi hu unki wajah se........ab tum hi batao kaise chod du main unhe jinhone khud se pehle rakha hai mujhe.......

akash : aur tumse kisne kaha ki tumhe unhe chodna hai......

she looked at him in confusion......

akash : kal jab tum dono ko saath mein dekha tha na ussi waqt samajh gaya tha ki tum pyar karti ho unse.......hum 8 saalo se dost hai 3 saalo se ek dusre se pyar karte hai........mujhse sabke saamne baat karne ke liye bhi tumhe do baar sochna padta tha aur unhe sabke saamne gale laga liya toh......

she downs her gaze.......

akash : bondita agar tum khush ho na toh main bhi khush hu........haa bhulna thoda mushkil hoga par dhire dhire bhul jaunga..........

bon : mujhe samajh nahi aa raha ki main tumhe shukriya kahu ya tumse maafi maangu......

akash : kuch bhi bolne ki zarurat nahi hai.......main dugga maa se prathna karunga ki tum humesha khush raho..........aur haa ek baat humesha yaad rakhna ki koi bhi problem ho tumhara yeh dost humesha tumhare saath khada rahega jab bhi meri koi bhi zarurat ho bass ek baar keh dena........

she smiled and nodded........

akash : waise ek tarah se accha hi hua bala tali......ab mujhe toh nahi sambhalna padega tumhe.....

she hits him......

they laughed........

bon : ek wada mujhe bhi chahiye tumse......

akash : kya......?

bon : ki tum apni zindagi mein aage badhoge........apne liye bhi kisi ko dhund lena.....

akash : haa thik hai dhund lunga bass wo tumhare jaisi na nikle warna mera toh pura samay uske nakhre uthane mein hi lag jayega.......main toh yeh soch raha hu ki tumhare bichare pati kaise jhelte honge tumhe........

bon : akash......!!!!!

he laughed.......

akash : chalo thik hai......tum ghar jao main bhi chalta hu......

she nodded......

they hugged each other and left for home......

Bondita was happy that everything got cleared........!!!!!!!

PRECAP : ANIRUDH'S BEAUTIFUL PROPOSAL.......!!!!!!

Anidita : one soul in two bodies Where stories live. Discover now