Bondita's jealousy

653 115 37
                                    

Car stopped in front of her home.......

bondita was still little upset........

ani : bondita please thoda hass do mere liye.......

she smiled a little.....

ani : ab chale.....?

she just nodded.....

they went inside holding hands.......

everybody welcomed them........everybody welcomed anirudh like he is god......no one bothered to ask her that she is fine or not......anirudh sensed it and held her hand......she smiled......

voice : namaste anirudh babu....!!!!

they saw a girl coming towards them.....

ani : aap kon.....

bon : patibabu yeh meri pishi ki beti hai......gitanjali.......

ani : accha.....maaf karna aapko kabhi dekha nahi isiliye.....

gitanjali : haa woh main aapki shaadi mein aa nahi paayi......mubarak ho bondita....

bon : shukriya.....

Everybody was sitting in hall chit chatting......

bondita was in kitchen when sumati came there......she ignored her......

sumati : bondita itne mahino baad aayi hai ek baar gale toh laga le......

bon : kyu....?

sumati : main jaanti hu tu mujhse naraz hai......

bon : nahi maa naraz nahi hu main aapse aur na hi baba se.........aapka patibabu se meri shaadi karane ka faisla bilkul sahi tha........bohot khush hu main......aap logo ne mere liye kuch aur kiya ho ya nahi par bhagwan daal diye hai meri jholi mein........jitna khush main abhi hu utna yaha bhi kabhi nahi thi........

sumati : toh phir tu naraz kyu hai humse......

bon : maa apni beti se bina puche ya bina uski marzi se shaadi karana galat hai.......main khush zarur hu bohot khush hu lekin agar yehi sab mujhse puch kar mujhe samay de kar kiya hota toh baat kuch aur hoti.........maa aapko pata hai main yaha kyu nahi aati kyuki mujhe yeh ghar hi nahi lagta.......ghar toh woh hai.....kehne ko mera sasural hai par mayke se kam nahi hai.......sukoon hai waha......ksj aur baba ne mujhe uss pita ke pyar ka ehsaas karaya jo pyar mujhe kabhi apne baba se nahi mila aur kabhi milega bhi nahi.......maa ne aapki jagah le li......shayad shaadi se pehle agar koi puchta toh main yehi kehti ki maa ki jagah kon le sakta hai par maa ne le li aapki jagah pata hai kyu......kyuki woh mere liye khadi rehti hai......aap jaanti hai kabhi agar mazak mein bhi mera aur patibabu ka jhagda hota hai toh bhi woh mera saath deti hai.........kabhi mujhe bahu nahi maana beti ki tarah rakha hai.......som batuk sab bohot dhyan rakhte hai mera........apne jeevan mein pehli baar maine apne pariwar ke saath baithkar khana khaaya tha.......apni marzi ke kapde pehen sakti hu.....apni marzi ka khana kha sakti hu......jo chahe kar sakti hu kisi baat par koi rok tok nahi hai......apne aap ko azaad mehsus karti hu.......swarg hai woh mere liye......aur yeh nark bhi isse behtar hoga.......

she left from there leaving a crying sumati........

Bondita comes out......anirudh was not there.......she asked her father who informed her that he is on terrace with gitanjali........she went on terrace..........her eyes got wide seeing anirudh and geetanjali laughing with each other......she burned in jealousy seeing the close.......

bon : dekho toh aise hass rahe hai jaise pichle janam ke bichde hue dost ho.......

ani : arey bondita aao na.....

Anidita : one soul in two bodies Where stories live. Discover now