Unexpected turns of events

44 1 0
                                    

Vivaan went to search for Ishani and Yash and all other came downstairs So that the guests will not find anything suspicious but unknown to them that whatever happened inside the room was heard by someone who fisted his palm and clashed his jaws...

Sadhna was coming from kitchen when she heard some guests whispering...

Guest 1:- Sunena behen ka dil bahat bada hai isliye toh apni beti ka haath ese apahij insaan ke haath mein de rahi hain..

Guest 2:- hn sachme esi kya mazboori aa gayi thi ki apni beti ki shaadi ese insaan se kar rahi hain jo chal Tak nahi sakta, dekho toh ushe har ek kaam ke liye dusre ki madat Leni pad Rahi hai, Pani ka glass tak ushe Dena pad Raha hai

Guest 3(sighs):- hn pata nahi Ishani bitiya kese apni zindagi kategi..

Guest 1:- Aur kese ushke saare kaam karke, mein Sunena bhabi ki jagah par hoti toh apni phool jesi beti ese insaan ko kabhi nahi deti...

Sadhna:- Yahi toh difference hai aapme aur Badi maa mein aunty ji

The three women turns back hearing Sadhna's word..

Guest 1:- tumhare kehne ka kya matlab hai beta. ?

Sadhna looks at them and smiles extra sweetly:- Badi maa ne Viren ji ka man dekhkar unko pasand Kiya hai Ishu Di ke liye, aap logo mein aur bade papa, badi maa mein yahi toh farak hai... Aap log bahari sundarta ko dekhar apni raye bana deti hain par mere bade papa, badi maa  insaan ke andar ki khubi dekhte  hain.. Viren ji ek bahat ache pote hain, bete hain, bhai hain aur future mein bahat ache husband benege kyunki unka man saaf hai... Kya ho gaya agar woh chal nahi sakte, kya sirf ek Kami ko dekhkar aap ek insaan ke pure charitra pe sawaal uthayengi... Kaamini Aunty aap batayiye, aapne toh aapki beti ki shaadi ek bahat ache gharane mein ki thi, ladke mein koi Kami nahi thi na toh phir aaj aapki beti aapko ro ro kar call kyun karti hai ki woh khush nahi hai waha... Ek ladki ko ushka pati kese rakhta hai yeh uski bahari sundarta par nahi balki man ki sundarta pe depend karta hai.. agar ladka acha hai toh woh jese bhi situation mein ho apni patni ko khush rakhega... Isliye plz aap yaha guest bankar aayi hain, shaadi enjoy kijiye, khana khayiye aur chale jayiye, aapke vishesh tipdiya Dene ki koi jarurat nahi..

After giving them a lesson Sadhna goes from there, the three ladies also murmurs something and goes towards the hall where wedding will take place..

Vaani (comes out from her hidden place):- Aaj pehli baar bhaiyu ke defence mein kisine itna kuch kaha hai.. Sandhna didi toh bahat achi hain warna mene toh dekha hai ki bhaiyu ko ladkiyan kese tane dekar chali jaati hain.... (Smiles and goes from there)

Other side

Kaushal:- Yuvraj ji yeh lijiye na

Sunena:- hn dadisa yeh lijiye..mein aapko dadisa kehe sakti hun na

Shanti Devi (smiles):- jarur ab toh rishta judh chuka hai aap logo se

Kaushal and Sunena smiles hearing her but also felt guilty because of their daughter's act...

Viraj (comes from behind):- papa, dadi aapse kuch baat karni thi, important hai jara aayiye...

Shanti Devi:- kya baat hai Viraj

Viraj:- Aapko kuch batana hai Dadi

Yuvraj:- chalo.. hum abhi aate hain kaushal ji

Kaushal (smiles):- ji ji jarur

In Vivaan's side

Kuhu(in call):- Vivaan aapko weh log mile

Vivaan:- nahi Kuhu.. jis jagah unka phone trash hua tha waha woh log nahi hain.. waha ka kya haal hai

Lost And Found Love 💘(Discontinued) Where stories live. Discover now