B~Ranav, dekho aise nahi rote, kya hua? Batao na?
R~Devlekha...
Some fleeting images triggered her mind.
B~aap ko un ki yaad aa rahi hai?
R~haan, (he released the hug) waqt se maine us se kaha nahi ke mujhe us se pyaar hai aur ab mujhe afsos khaaye ja raha hai
B~lekin main tum se ek baat zaroor kehna chahoon gi waqt se Ranav, ke main tum se bohat pyaar karti hoon, aur main nahi chahti ke mujhe bhi ek din wohi afsos kha jaaye jo aaj tumhe kha raha hai
R~Bela...
B~Ranav
They shared a hug again and after sometime, Bela released the hug recalling Indravadan's words.
"Dekhiye hum aap se keh rahay hain, aap nahi jayengi udhar ab se, samjhi aap? Aap ko hum dono ziada pyaare hain ya phir wo rakshas?"
R~kya hua Bela? (she shook her head) achha Bela, tum... mera matlab hai ke aap mere mehel mein aayengi mere saath? Mujhe aap ke saath samay guzaarne ka bohat mann hai
B~ayengay Ranav, zaroor ayengay, (he smiled) lekin hum us mehel mein ab jab bhi kadam rakhengay na, toh bas sirf aap ki dharam patni ban kar rakhengay, (he was shocked) karo gay hum se shahdi? Bano gay pati humare? Maango gay humare maa baba se humara haath?
R~magar... magar main toh ek rakshas hoon, (she sighed) mera chehra dekh rahi ho? Kaise jaun is chehre ke saath aap ke maa baba se rishta maangne? Wo toh mujhe dekh kar he dar jayengay, aap ka haath mere haath mein dene ki toh bohat door ki baat hai
B~matlab wo parwah, wo pyaar, wo samay jo hum ne saath mein guzara, un sab ka koi matlab nahi hai tumhare liye? Hai na? Hai na Ranav? Rajkumari Devlekha ke bhi pyaar ko, un ke saath bitaaye gaye samay ko, un ki parwah ko aap ne koi mahattv nahi di thi, koi maan nahi diya tha aur ant mein hua kya? Bechari ko apni jaan se haath dho baithi, aur tum? Tum shaapit ho gaye aur na jee rahay no na mar rahay ho, dukh mein ho us ki maut ke lekin usay wapis la nahi saktay, usay ateet ke pano'n mein ja kar galay laga nahi saktay, aur ab? Ab jo tumhe doosri pyaar karne wali mili hai, usay bhi thukra rahay ho? Is shraapt se mukt hone ke ek aakhri zariye ko kho rahay ho? Pachhtao gay Ranav. Kabhi socha hai ke agar hum in pedo'n ko yoon he katne dein aur sabhi pedo'n ko murjha jaane dein, toh tumhara kya ho ga? Tumhari toh zindagi juri hai na in pedo'n se? Ye ped he tumhe jeevit rakh rahay hain, kal agar hum mar gaye... (he palmed her mouth and shook his head, she moved away his hand) sachaai ka saamna karo Ranav, agar kal hum mar gaye na, toh na toh tumhe koi yaad karne wala ho ga, na in pedo'n ka koi rakhwala ho ga, murjha jaye ga ye jungle, aur tum... tumhe... maut...
YOU ARE READING
Paas Aa Ke Na Tu Door Ja
Hayran KurguVillagers decides to slay Ranav the demon before he begins to harm everyone but his lover Devlekha comes in between getting killed herself. Ranav didn't ever love her much although they are good friends, she expresses her love while dying and Ranav...