They began to read forward to look for more clues about the whereabouts of Komolika.
P~Ruhi wo iklauti rakshasi thi, jisay sachi mohabbat hui. Jis ne Mahir naam ke farishtay ki mohabbat mein us ki khushi ki khaatir apni jaan di aur jahannum mein ja giri. Mahir ne us ki mrityu ka jashn manaya aur apni manpasand pari Bela se vivaah kiya. Kuchh samay baad Mahir ko apni galti ka ahsaas hua aur wo jahannum tak chala gaya us raksasi Ruhi ki talaash mein lekin tab tak bohat der ho chuki thi choonke us ka shareer agnikund mein jala diya gaya tha. Mahir wapis pari lok lauta aur apni zindagi mein aagay barhne ka faisla kiya, lekin dil mein wohi apraad bas gaya. Aur choonke Ruhi Vishakha ke liye ek behen jaisi thi aur Komolika ke liye ek sachi dost thi, Vishakha ne sarvada kaid khaane se aazad hone ki bohat koshish ki aur aakhir meij kaamyaab ho kar Mahir aur Bela dono ki jaan le li jis ke kaaran usay us nadi mein phenka gaya jahan us ka shareer jal kar raakh ho gaya aur phir wo kabhi wapis na aa saki, na Komolika ko us ki sachi dost ki mrityu ki khabar kar saki.
Aa~maa ne kabhi ye baat kiun nahi batai ke Vishakha mar chuki hai?
Pr~shayad isliye ke tumhe wo humare pari aur farishtay ki mrityu se dukhi nahi karna chahti thi
Aa~achha, lekin Paakhi, kya tum ne maa ko mere baare mein bataya?
P~haan bataya tha, aur wo tumhara besabri se intezaar kar rahi hain.
An~agay kis ki baat ho rahi hai is pustak mein? Aur koi bacha hai kya?
P~bohat bachay huay hain, Yamini wo rakshasi hai jo Komolika ke poori tarah khilaaf thi kiun ke us ke hisaab se Komolika ka kabhi achha hona toh kabhi bura hona doglapanti hai. Yamini ko ek insaan se mohabbat hui thi, lekin us insaan ne usay dhoka diya aur bas usay apni suraksha ke liye istemaal kar raha tha. Jab Yamini ko Komolika ki Karan naam ke farishtay ke saath ki gayi harkat ka maloom chala toh us ne usay jaan se maarne ki koshish ki, jis ke kaaran Komolika sab ki nazro'n se chhup gayi.
An~matlab Komolika isliye nahi chhupi ke usay Karan sr bachna tha, balkay wo Yamini se bachna chahti thi?
Pr~matlab agar hum Yamini ko khatam kar dein, toh Komolika apne aap saamne aa jaye gi?
YOU ARE READING
Le Ja Tu Mujhe Khulay Aasman Mein (Completed)
FantastikAnshuman, a shape shifting snowy owl Paakhi, a long lost fairy under captivation, twin sister of Preeta, presumed dead Karan/Aakesh, a demon, earlier angel, lives on earth, presumed dead Preeta, a fairy who misses Karan badly and sets out to find hi...