Dost k bhes me chupy dushman.
Kiran. Mard ka name ha Azaad aur orat ka name ha saima. Azad ny dad ko aur saima ny mom ko control kia ha.
Ab ye donu kon hain in ka tum sy kya relation ha tumhari family sy kya relation ha ye mujhe nahi pta. Aur unhu ny ye bhi bola ha k................
Ali. Ye mujhe pta ha k kya relation ha.
Thank you kiran.
Ali ny fone bnd kr dia.
Ye donu aisa kesy kr skty hain. Inko bhi iska badla chukana pry ga.
Raat ko mera dimagh bht khrab raha me azad aur saima k bary me sochta raha k unhu ny aisa kyu kia. Subha utha aur center chla gya.
Center me meera ko sari detail btana pari aur mera ki baatun sy shayed me thora convince ho gya tha k naina ko stand lena chahiye tha. Me ny puro koshish ki lakin naina ny stand nahi liya.
Lakin mujhe sb sy zyada gussa azad aur saima py tha.
Hm din bhar kam me busy rhy. Aur sham ko ghr aa gaey.
Raat ko papa ko call kia.
Papa. Ali kesa ha
Me. Thek hun papa.
Papa. Thank God tu thek ha me aur teri mummy bht preshan rehty hain teri wajah sy.
Me. Papa preshan na hon me bilkul thek hun. Papa ak baat batao.
Papa. Haan puch.
Me. Papa ye azad aur saima ka ap k sath koi problem ha kya.
Papa. Kya mtlb koi problem nai ha.
Aur tu unka name ly kr kyu baat kr rha ha.
Me. Vo hain he issi kabil k un sy koi rishta na rakha jaey.
Papa. Kya matlab ha tera. Saima aunty ha teri aur azad uncle
(Intro.
Saima papa ki czn ha yani papa k chacha ki beti ha. Aur azad saima ka husband ha. Vo bhi hmara rishty dar he lgta ha)
Me. Papa yhi log hain jinhu ny naina k mom dad k kaan bhary hain mery aur ap k khilaf.
Papa. Kya mtlb.
Me. Mtlb papa g k yhi log hain jin ki wjah sy naina k dad ny rishty sy inkar kia ha.
Papa. Tujhe kesy pta.
Me. Naina ki sister ny khud mujhe btaya ha.
Papa. Naina ki sister
Me. Haan. Vo ye rishta krvany k liye try kr rhi thi. Lakin uss k baap ny uski b nahi suni.
Papa. Aur kya bataya uss ny.
Me. Azaad ny bola ha k bht jaldi hmari company default krny vali ha. Hmara business flop ho jaey ga aur hm road py aa jaen gy.
Saima ny naina ki maa ko bola ha k Ali drug addict ha. Vo ak bigra ameerzada ha aur usko just nashy aur larkiun ka shok ha. Aur agr unhu ny ye rishta kia tou uski beti ki zindagi barbaad ho jaey gi.
Papa. Lakin naina ka baap azad ko kesy janta ha.
Me. Kiran ny btaya k naina ka baap aur azad donu government job krty hain aur wahin sy koi link banaya ha uss ny.
Papa. Mujhe yakeen nahi hota k azad aur saima aisa kr skty hain.
Me. Papa mujhe bhi yakeen nahi aaya tha.
Papa. Azad ka tou pta nahi lakin mujhe saima sy iss chez ki umeed nahi thi.
Me ny usko hmesa apni saggi behn ki trah rakha aur uss ny he mery bety k sath aisa kia.
![](https://img.wattpad.com/cover/368317556-288-k780413.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
Business man to Playboy
FantasyMera name Ali ha. Me ak big city me rehta hun aur ak business family sy belong krta hun. Meri family me me mery papa meri didi jo k married ha aur mery papa ki dusri wife Meri mother ki death ho chuki ha due to cancer iss liye papa apni dusri wife k...