Two days later,
Sethji called Dhruv in his office. He came like an obedient child and sat beside his brother with an arrogant face, ready to deny everything his father says.
"Dhruv beta... tere rhiste ki baat ho rahi hai..." said Sethji
"Ji?? Mujhse na poochke hi..."
"To ab keya teri shadi ke mandap mai baithaya hai tujhe??""R a Sethji naraz na hoyiye... baccha hai..." said Rajrani, "Dhruv beta... yeh dekho... kuch tasveere hai... uche khandan se rhiste aye hai...."
Dhruv saw Tara pass by the door while adjusting her hair. His mind started doing whirls.
"Maine apne liye larki pasand kar li hai babuji..."
"Keya?! Kaun??"
"Masterji ki beti.... Tara..."
All were shocked as hell.
"Yeh tu keya bol raha tu... Tara... " Rishi was shocked.
"Haa bhayiya... Tara..."
"Dhruv... sehte sehte teri jid bohat yada ho rahi hai... humare bete ki shadi master ki beti se kabhi nehi hoga....."
"Per mujhe Tara se hi shadi karni hai...."
"Dhruv beta.... tum jante jo Tara anath hai?" Asked Rajrani, "Uske jaat kul ka pata nehi..."
"Malum hai..."
"Wahh... jaat kul ka pata nehi... ise byas kisi tarah apne baap aur parivar ki bezati karni hai byas..." exclaimed Sethji
"Maine apna bol diya babuji... aur Tara mai kamti hi keya hai... samachdar hai parilikhi hai, sundar bhi hai... problem keya hai? Aur jaat kul se mujhe farak nehi parta..."
"Per humain parta hai...." said Sethji, "Aur kis bichar se keh raha woh sundar hai??"
"Uske akhon ke bichar se.... aplogo ki tarah neech soch nehi hai meri to uske rang se bichar kare...."
"DHRUVVVV.... tameez se baat karo..."
"Maine jo keh diya so keh diya.... shadi karni hai to mai Tara se hi kaunga aur agar kisi aur se shadi fix ki meri to shadi ke baad use chodke chala jaunga....."
Sethji fell from hell after hearing to his son's wierd threat.
"Kaha jayega tu ha??"
"Kahi bhi...."
"Apne baap ko baadnam karke keya sukh milta tujhe??"
"Baadnaam to apne khud ko kar hi rakha hai... maine keya kiya...."
"Dhruvvv" Sethji raise his hand, Rajrani hold his hand to stop him.
"Shant ho jayiye......" said Rajrani, "Dhruv... tum sachmai Tara ko pasand karte ho na?? Sirf jid se to nehi keh rahe na??"
"Rajrani ji?! Aap raji ho rahi ho geya iske jid pe??" Asked Sethji.
"Ji ha mai pasand karta hu use ...." Dhruv replied straight and left the room."Rajrani ji... yeh hargis nehi hoga...."
"Suniye na... usne keya kaha dekha na apne... kisi aur se shadi hui to chod dega use woh... badnaami aur badhegi....."
"To woh aise ji payega keya??"
"Yeh to woh soch bhi nehi raha... aise hi woh humse dur hai... is waje se aur dur na chala jaye... mai jitna janti hu shadi ke baad larkiyo ka gotra badalta hai... to jaat kul hin shadi ke baad nehi rahegi......"
"Par jaat kul hin se shadi to ho jayegi na uski...."
"Dekhiye... maan to mera bhi nehi hai... larki ka rang bhi.... per gun hai jarur... pari likhi hai... kavita likhti, tasveer banati, aur usdin mera to tel malish bhi kar diya tha... bohat aram aya... to larki buri nehi hai agar dekhe to...."
"Mujhe kuch samach nehi ay raha... sachmai payar karta hai ya byas... pareshan karne ko... jaat kul ho ya na ho par masterji ki peyari hai woh... aur kisiki beti ka jivan mere bete ke jid ki waje se nast ho yeh mai nehi chahata...."
---
Family discussion was going on in the living room. Dhruv slowly came and stood by the door.
"Mai ek baat kahu babuji...." said Rishi
"Ha bolo Rishi...."
"Dhruv sayed use pasand karta hai... humko pehle avas hua tha par kuch kahe nehi usse... woh pehle se hi Tara ke prati akarshit hai... woh dur chali geyi to dhruv ko gussa ay geya aur chidane laga... sayed yeh sab pasand karne ka hi lakshan hai... upar se kaal to use woh gulab..... mithi... sweet bol raha tha... uski kavita ka prasangsa kiya usdin apko yaad hai?"
"Haaa.... haa... to keya kare... "
"Babuji...." said Urvasi, "Choti mu bari baat par larki ka rang bhi.. thoda... kala hai... jaat kul hin anath larki hai... humare parivar ke liye thick hoga keya woh??"
"Is baat pe charcha hui hai Urvasi..." said Rajrani, "Agar Dhruv ki jid hai to rang ke upar gun hi dekhna parega humain... jaise parivar mai koi aach na aye...."
"Ab ma ji... jaat kul hin kali larki se shadi hogi to samaj mai to baat uthega hi... usse to parivar ko hani pauchega... hai ki nehi nah... upar se suna hai woh afsaguni bhi hai.. jaha jati hai kuch na kuch afsagun hota hi hai.. baki aap... bare sab hai..." said Urvasi
Dhruv was going uncomfortable hearing those adjectives used about Tara.
"Baat to sab sahi hai bahu... par kare keya... kisi tarah se rokke to nehi.........."
Dhruv got fustrated and left.
---
Rishi went to Dhruv's room. Dhruv was going restless loitering around his room.
"Dhruv...."
"Bhayiya... aap... mujhe bula lete....." Dhruv went to support Rishi.
"Dhruv tu sach sach bol.... Tara ko pareshan karne ya babuji ka badnaam karne tune yeh shadi ka prastab to nehi rakha na? Mujhe chuke bol" Rishi kept Dhruv's hand on his head.
Dhruv made his brother sit on the sofa and kelt down before him, holding his hands, "Bhayiya... mai apse kabhi jhuth nehi bola... age bhi kabhi nehi bolunga... sach to yeh hai bhayiya ki... ghar lautte waqt... jab maine Tara ko pehli bar dekha tha.... mujhe tab se hi woh pasand hai... jab woh yaha ayi... tab usse dosti karne ki kosis ki... woh thodi raji bhi hui.... fer dur jane lagi... use pareshan karna to byas usse baat karne ka bahana hai.... uski akho mai kuch jadu hai bhaiya...." Dhruv got totally lost and smiled while speaking the words. Rishi understood his feelings and patted on his head.
"Uska dheyan rakhega na tu??"
"Ji... ji bhayiya... jarur rakhunga... dheyan rakhne ko hi to yeh prastab diya maine..."
"Matlab??"
"Matlab... bhayiya... masterji to usse bohat payar karte... but baki sab usko hamesha apaman karte hai... uske behen ke pas jo sundar gehne kapre hai uske pas aisa kuch nehi hai... bohat acchi larki hai woh... Kanha ji ki bohat bari bhakt bhi... fer bhi uske jivan mai woh sukh nehi jo woh deserve karti hai... mujhe byas use wahi sukh dena hai... jaise use chup chup ke rona na pare...."
Rishi thought for a moment, then asked Dhruv, "Tune Tara ke upar jasusi ki hai??"
"Ji.... mujhe pata hai yeh galat hai... but curiosity hui.... to....."
"Thick hai..." Rishi smiled and patted on his head, "hota hai..."
"Aap please kisiko bolna mat nehi to ferse sab mere upar attack karenge...."
"Tujhe keu lagta hai ki log tujhe attack karte hai?? Bare hai, shashan to karenge hi na... tu hai bhi to bandar..." Rishi lightly slapped on his head.
"Aap jo bhi bolo bhayiya... mujhe kisipe biswas nehi... mai to khud ja raha hu rhista lekar... babuji kuch ulta fulta karke mamla bigare isse pehle mai hi set kar dunga.....""Keya karega tu??" Sethji asked from behind in a deep voice. Dhruv stood up and gulped.
"Mai... mai apna rhista khud lekar jaunga... mujhe biswas nehi aaplogo pe.."
"Rishi.. jara idhar ayo..." called Sethji
"Ji babuji..." Rishi went to his father near the door.
"Ha to tu jayega kaise?" Asked Sethji
"Chalke... chalke jaunga..."
"Accha... to itni himmat ay geyi hai tujhmai... ki tu baro ko amanya kar ke apna shadi ka rhista lekar jayega? Rhista bujurg lekar jate hai.. bacche nehi..."
"Aap humain rok bhi nehi payenge..." Dhruv was going to flee when Sethji hold his hand tightly. Rishi was hell confused about what's going on.
"Aap mujhe jane dijiye babuji..."
"Tujhe humpe bharosa nehi aur humko tujhpe bharosa nehi..." Sethji made his son sit on the chair and before Dhruv could comprehend anything, his father took his scarf and tied up his hands behind his back with the chair.
"Babuji... babuji... yeh aap keya kar...."
"CHUP.... akdam chup..."
Dhruv went quiet and looked at his father like an angry kid.
"Hum tera rhista lekar jayenge... tabtak tu yaha bandh rahega... jaise teri batamizi ki waje se gao mai badnami na ho humari..."
Dhruv stooped his head. He knows he's doing back to back scandals, his mind knows it but his mouth tells him to deny his odds.
Sethji closed the door and locked it.
"Babuji... maaf kijiye par...apko nehi lagta yeh kuch yada ho geya" said Rishi.
"Kuch yada nehi hua hai... jaisa kaam karega waisa saja milega... 25 saal ka ho geya hai abhi bhi use agar aise saja dekar sudharna pare to... mai keya karu bolo... kis baap ki ladli ke shir mai yeh bhoj dalu... khud ko hi aparadhi lagta hai... sachmai samhal payega na yeh apni shadi... do din baad yeh to nehi kahega na ki ab Tara aur pasand nehi ay rahi....."
"Babuji... aapko lagta hai Dhruv itna nalayak hai?"
"Nalayak to hai hi... par sach kahu... to mujhe nehi lagta itna nalayak hai... fer bhi daar lagta... waise larka bandar hai... par dil accha hai... byas uska dimag shant karwa se koi... humara sashan to manta nehi..."
"Aap sachmai rhista lekar ja rahe ho babuji?"
"Ha beta... ja rahe hai... aur kuch upay bhi to nehi choda tumhare bhai ne..."
---
YOU ARE READING
DhruvTara: The Imperfectly Perfect Marriage
Hayran KurguThe story is an imaginary progression of Dhruv and Tara's alternative love story in 19th century. Keeping the base of the backstory of Dhruv and Tara same. Tara, the baby girl Masterji (Hari om Math) saved from the storms and brought her home. Dadi...