Sunehri subah bheeg rahi thi jaab woh sust rawi se chalti bus stop pauchi.
kandhey pe bag latkay, hath mein paani ki choti bottle pakhrey, chehre pe dheiro bezaari liye woh bench ke kaarib ayi. jahaan beth Kar woh Roz 10 minute bus ka inteezar Karti thi. Usne bag ek taraf rakha aur bench par baith gayi. Phir ek hath se Jamai (yawn) rokte huwe dusre se bottle khol Kar lab o se lagayi. Gharmi aajkal barthi hee ja rahi thi. Subah hi subah use pasina ane lagah tha....jaane aghe kya hoga. Woh ghoont barti bezaari se soch rahi thi...chehre par bhi wahi ukthaye huwe tasoorat thay jaise duniya bhar se khafa ho... sunehri peshani [forehead] mein mustakil pare Baal aur kanch se khubsurat bhuuri sunehri aankhon mein chayi khafgii Kuch tha usme Jo use saare mein yakta banata tha....Lambe kurte aur jeans mein malboos rassi ke manen dupatta muffler Kay andaaz mein gardan se lapetey, tang pe tang rakhe woh pain jhulati, Tanqeedi nigahoon se idhar idhar dekh Rahi thi... Aur tabhi use ahsaas Huwa ke woh siyahfaam larki aaj bhi bench par uske saath beithi hain..Un dono ke darmiyaann uska bag rakha tha. Aur us waqt woh siyahfaam larki sar jhukaye nigah tirchhii kiye uske bag ko dekh rahi thi....Jahaan jagah jagah chalk aur wipener se usne apna naam likh rakha tha Mehmil ibraheem aara tircha chote baare har andaaz mein yahi likha
tha..Woh larki kabhi kabhi hee uske bag ko dekhti.
thi magar Mehmal ke to Roz ke 10 minute us siyahfaam larki ka jaiza lete hiii guzarte that.. Woh bhi aazab pur-israar kirdar thi. Yahan
Islamabad mein sirf Siyahfaam Nazar aahi jate thay... Magar woh apne jaiso say mukhtalif thi Sarpar roomal band Kar gardan kay Pichey girah laga thi aur niche overcoat, mote haut, siyaah rangat. Magar chamkili aankhen... Koyi aisi chamak thi unme ke Mehmal kabhi un aankhon mein dekh na payi thi.. aur in der mah mein uska aandaz hamesha yaksa rakha tha. Qamar sidhi rakhe alert si bench par beithi khamoshi se samne seed mein dekhti woh bohot chup si larki maloom nahi Kaun thi. Aur phir uski woh pur-israar kitab, siyaah-jild wali bhaari si kitab.. jiska siyah sarvar bilkul Khali tha, uski gaud mein dhaari hoti. Aur kitaab ke kinaro par uska siyaah hath mazbooti se jamee hothe.Uske aandaaz se kuch khaas jhalakta tha, kitab ki hifazat ka ahsas ya shayad uske besh kimaat hone ka.. Kitab baalisht bhat moti thi, saafo ke jhalakte kinaare piiley aur khasta lagte thay. Jaisay koyi bohot qadeem kitab ho, Seekro baraas Purana koyi nuskah ho. Kuch tha usme koyi qa'adeem raaz, koyi pur-israar katha. Woh jab bhi us kitab ko dekhti yahi sochti thi. Aur aaj Jaane kya huwa woh us khaamosh si larki se Mukhaatiff ho hi gayi... shayad tazas-sus aaj irz kar Raha tha.. Excuse me, ek baat Puch sakhti hoon? Puchoo.. siyahfaam larki ne apni chamkili aankhen uthayi....
Yeh kitab kiski hain?
Meri....
Mera Matlab hain isme likha Kya hain? Woh chand lamhe Mehmal ka chehra dekh thay rahi, aur phir ahisti-ghi se boli... Meri Zindagi ki kahani..
Accha! Woh hairat chupa nah saki.. Mein samjhi ye koyi qa'adeem kitab hain.. Qa'adeem hi hain.. sadhiyoon pehle likhi gayi thi..
Toh apko kahaan se mili? Misr'h ki ek purane dukhan say... Ye Kuch kitaboo ke bich parhi thi, jab mene isko nikala to ispar zamano ki gardh thi... Woh mohabbat say siyaah-jild pay hath
pherte huwe keh rahi thi.. uske lab o pe maddham si muskhurahat thi..meine wohgardh jhaarii aur isse apne Sath rakh
liya..phir jaab para to maloom huwa isse to Kisi ne mere liye likhwa kar udhar rakha tha.. Mehmal muuh kholee usse dekh rahi thi..Tumhe Kya dilchaspii hain isme?
Mein iske baare main mazeed janna chahti hoon.. Kya mein isse parh sakhthi hoon? Woh halka sa muskhurayii.. Tum naye dour ki nayi larki hoo..is qa'adeem zabhan mein likhe huwe nuske ko kahaan Samajho gi.... Magar ye hain Kya isme Kya likha hain? Woh tajas-sus abh use beychain Kar Raha tha... Mera maazi....
Usi paal horn bajha to Mehmal ne Chowk Kar samne sarak par aathi bus ko dekha.. Mera haal..woh siyahfaam larki keh rahi thi... Mehmal bag ka strap pakhrey khari huyi usse zaldi college pohonch na tha.... Aur Mera mustaqbil bhi, mujhe Kya peish ane Wala hain yeh kitab sab bata deti
hain... Mein chalti hoon..woh bus ki taraf dekhte huwe
mazraat khuwaieana andaaz mein aaghe barh
gayi...Isme tumhara zikr bhi hain Mehmal..
Woh ulte pairon murii... Mera zikr, mein re baree mein Kya likha hain? Woh sashtar hiii toh reh gayi thi...Yahi ki mein Tumhe yeh kitab de doon.. Lekin mein to Tumhe isse tab hi doongi jab Tum thakkar khud mujhse mangne aawo gi... Kyunki isme tumhari Zindagi ki Kahani bhi hain.. Jo ho Chuka hain aur Jo hone waala hain sab likha hain..
Bus ka teez horn bajha to wo Kuch kahe binaa tezi se uss taraf lapki, rod pakar Kar upar charte huwe usne pal bhar ko palat kar dekha tha... Woh siyah larki is tarah muskhura Rahi thi pur-israar, mana-khaiz muskhurahat.. Mehmal ko ekdam usse bohot darr lagah tha.....___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by Nimra Ahmed)
SpiritualMushaf written by nimra ahmed. this novel about a helpless orphan girl (Mehmil) who discovers the real meaning of the holy Quran which helps her cope with the vagaries of her miserable life.