Chapter 1.3

5 1 0
                                    

Yeh thanda be lazzat Khana khakar woh thodi der hi Soo payi thi ke thaa ki awaaz ke Sath kamre ke darwaza se football takraya... Woh harbara Kar uth beithi... Bahar diwar mein football Maarne ki awaaz barabar aa Rahi thi...
Kacchii neend tooti thi.. woh bura sa Muh banaye Jamai rokhte uthi.... Slippers pehne aur hath se Baal lapette darwaza khola..

Uska aur Musarrat ka kamra darasal kitchen ke Sath juda hua store room tha..... Bohot chota na bohot bada...

Aarsaa pehle usey master bedroom
se Khali karwake... Un dono ko idhar shift Kardiya gaya tha... Uske Sath bathroom na tha.. iss liye unko lounge
paar Karke guest bathroom ki taraf janaa Parta tha...

Bahar lounge mein naima Chachi ke chote maaz aur moiz football idhar udhar marte dorthe phirr Rahe thay...

"Tameez nahi hain Tum logo ko... Dekh Kar khela karo... Mein Soo Rahi thi..." Kitchen Ke khule darwaze par khadi andaar Kisi sa baat Karti naima Chachi
foraan muri...

"Ab mere bacche khele bhi na.. Tumhara toh kaam hi Sona hain... Na din dekhna na Raat.. har waqt bistar hiii torti Rehti hoo..."

"Haan toh mere baap Ke paise se yeh bistar ayee the... Todu ya phodu meri marzii... Abba ki death se pehle Asad chacha toh gaaliban berozgar thay na..." Woh bhi Mehmal thi..... Saree hisab fauran Chuka Kar beniyazii se bathroom ki taraf Chali gayii. Udhar naima Chachi Badbadati reh gayi.... Muh hath dho Kar usne apne silky bhure Baal dono hatho mein samet kar unche kiye aur pony bandhi.

Bohot unchi sii bhuri ponytail uspar Bohot acchi lagti thi... Woh zara bhi sarr hilati toh unchi pony Sath hiii gardan ke upar jhoolti... Uski Aankhein kanch si sunehri thi aur halka sa Kajal bhi unko aur acha kar deta tha...

Woh ghar ki sabse haseen ladki thi.. issi liye toh khatakti hain yeh sab ko.. usey hasi aa gayii..

ek Nazar khud pe daali jeans ke upar khula sa kurta aur gardan kay gird lapettha dupatta muffler ki tarah ek palluu samne ko latakta aur dusra qamar par girta.... Woh waqai sabse alag thi...

Kitchen mein tayyii Mehtaab nuggets Nikal Kar Musarrat ke samne rakh rahi thi... Joh bohot tabeh Dari se ek taraf chaii ka Paani chada Kar dusri taraf karayi mein tel garam Kar rahi thi..

Uspe Nazar padhi toh nuggets rakhte hue zara laaparwai se boli...

"Yeh baccho ke liye fry kardo Musarrat.... Aab harkoyi toh Bahar se muh markar nahi aata"

"Sahi boli taayi amma! yahan toh log ghar ke andar hi doosro ke maal par muh maarre hai." woh itminan se keh kar water cooler se pani ka glass bhar ne lagi.

"Zabaan ko sambhalo ladki! taubah hai, hamari betiyan toh kabhi aise hamare agay nah bolein."

"aap bura mat mane bhabi begum! mein samjha dun gi." ghabra kar musarrat ne aik teekhi nigaah mehmil pay daali. woh kandhay uchakka kar kharray kharray pani peene lagi .

"Samjha dena, behtar ho ga." Us pe aik tanafur bhari nigah daal kar taayi mehtaab bahar chali gayi. Naima chachi pehle hi ja chuki thi. ab musarrat aur mehmil hi kitchen mein reh gaye the .

"ab yaqeenan bartan bhi aap ko hi dhone honge amma!"

"Dho bhi dun toh kya hai, inke ahsaan kam hain hum pe? woh masroof si aik aik karke nuggets karayi mein daal rahi thi.

mehmil ne aik gehri saans li aur aasteene morr kar sink ki taraf mutwajjah hui. usay ilm tha ke agar woh nah karegi toh musarrat ko hi karna hoga. aur abhi toh unhone raat ka khana bhi tayyar karna tha.

"rehne do beta! mein krlungi."

"mujhe pata hai aap kar lengi. magar mein bhi in logon pe zara ahsaan karna chahti hu." woh bartan dho kar farigh hui toh musarrat trolley bhar chuki thi.

MUSHAF (by Nimra Ahmed)Where stories live. Discover now