Chapter 4.2

13 2 0
                                    

"fawad ko chaii kamre mein de aao, aur mehmil! tum trolley bahar le aao." taayi mehtaab apne is hi attitude se hukum chala kar ke palat gayi toh trolley set karti mehmil kisi khayaal se chaunki.

"Fawad ki tray allag set kar do mehmil! me ds aaugi tum trolley bahar le jao."

"mein nahi le kar ja rahi trolley. tang aagayi hoon mein in zaleel logon ke samne"

"acha, acha. chup karo." musarrat bokhla kar aage badhi aur trolley ka kinara thaam liya. "mein le jati hu, tum Fawad ko chaii dd aao."

Aur yahi toh woh chahti thi, so shane uchakka kar laa parwahi se Fawad ki tray set ki aur phir usey utha kar dhap dhap seedhiyan chadhti gayi.

"Fawad bhai!" darwaze pe halka sa knock kiya.

"Hnn, aajao."

Usne darwaaza dhakela toh woh khulta chala gaya. Fawad hath aankhon par rakhe bed par aaram kar raha tha.

"Fawad bhai! aap ki chaii."

"haan rakh do." woh Kilaste hue utha. andaaz se thaka thaka lag raha tha.

"kya baat hai Fawad bhai! aap kuch pareshan lag rahe hain." Usne tray mezz par rakhi aur cupp utha kar uske qareeb aayi.

"haan, kuch nahi. office ka masla hai." Usne chaii ke liye haath badhaya toh usey cupp pakdate mehmil ki ungelia uske haath se zara si touch hui. Usne foran haath khech liya toh woh be sakhta muskura diya, phir chaii ka ghoont bhara. "Hmm, chaii toh tum achi banati ho."

"Amma ne banai hai" woh uske samne khadi thi. Unchi bhuri ponytail wali unchi height ki mehmil thi.

"laayi toh tum ho. zaika hai tumahre haath mein."

"acha." woh muskura di.

"aur yeh England jane ka kya scene hai?"

"woh mein.....mein aage padhna chahti hu." woh sir jukaye khadi ungelia maror rahi thi.

"Magar tum job karne ka keh rahi thi, mujhe yeh baat achi nahi lagi thi." woh chaii ka cupp side par rakhe bahut sanjeedgi se usey dekh raha tha.

"mein sirf apne kharcho ke liye job karna chahti hu."

"aur yeh itni business empire.... yeh kon sambhale ga?" mehmil ne jhatke se gardan uthai. usay laga, usne ghalat suna hai.

"business empire?"

"haan. tum iski owners mein se ho. kya tumhara farz nahi hai ke tum -apne abba ke business par bhi tawajah do. aakhir kabhi nah kabhi toh tumhe yeh sab sambhalna hai."

"Jii?" woh be yakeeni se usey dekh rahi thi.

"Itni hairan kyun ho mehmil?" woh uth kar uske samne aa khada hua mehmil ne dekha, woh usse bahut lamba tha.

"mein.........mein par nahi."

"kya tum yeh sab nahi sambhalna chahti?"

"mein sambhalna chahti hu. magar kaise?"

"Tum waqai sambhalna chahti ho?" Fawad ke chehre par Khushgawar herat utri. "Yaani agar mein tumhe apne sath office mein lagana chahu toh tum mere sath kaam karo gi? "

" bilkul" uska dil ekdum bahut tez tez dhadakne laga tha, haath larazne lage the.

"Theek hai, phir mein shaam mein agha jaan se baat kar leta hu."

"woh ijazat de denge?" Uske andar waswaso ne sir uthaya tha.

"sure kyun nahi denge?" woh muskura kar usey tasalli de raha tha aur usay samajh mein nahi araha tha ke woh apni khushi ka izhaar kaise kare. Ekdam hi sab kuch usay apni muthi mein aata dikhayi dene laga tha.

(doulat nichhawar, mehboob qadmon mein....)

ab usay us siyah faam ladki ki kitaab ki bilkul zaroorat nah thi.

woh hawaon mein urti wapas apne kamre mein aayi thi. aur phir raat mein jab Fawad ne usay apne sath business mein haath batane ki tajweez agha jaan ko di toh sab se pehle hasan ne be chaini se pehlu badla tha. "Iski kya zarurat hai Fawad! mehmil ko abhi apni padhai par tawajah deni chahiye." woh nagwari se bola toh mehmil ko bahut bura laga. shukar tha, khandan ki aurte wahan nah thi, warna toh tufaan hi ajata .

"Tum beech mein mat bolo hasan! mein agha jaan se baat kar raha hu."

"aur mein tumhari baato ke matlab achi tarah samjhta hu." hasan ne aik kaat kha lene wali nigah mehmil par daali.
"mujhe achi tarah pata hai ke yahan kya chakkar chal raha hai."

"Shut up!" Fawad bhadak utha toh agha jaan ne dono ko hi jhadak diya. "shut up you both. hasan! tum jao apne kamre mein." aur woh foran uth kar taiz taiz chalta waha se nikal gaya.

"aur faadi! husn theek keh raha hai. mehmil ka office se koi talluq nahi hai. nahi woh kabhi office nah jaye gi."

"magar agha jaan !"

"aagha bhai theek keh rahe hain mehmil ka office mein kya kaam?"

"bilkul. ladkiyo ko udhar dhakke khane ki kya zaroorat hai?" Ghufran chacha aur Asad chacha ne bhi foran agha jaan ki taid kar di toh mehmil ne be basi se madad paane wali nigah se Fawad ko
Dekha.

"Okk, jaise aap ki marzi." woh shaane uchakka kar ab jhuk kar apne boot ke lace band kar raha tha .

Uska dil jaise kisi gehri khaayi mein ja gira. woh tezi se bhaagti hui kitchen mein aayi aur sink pe jhuk kar phoot phoot kar rone lagi. Uske aansuon ke sath saare khawab girte, behte chale ja rahe the. woh itna roi ke hichki band hone lagi toh bilakhir nal khol

Usne soch liya tha ke aaj woh aakhri dafaa ro rahi hai. woh aaj ke baad hargiz nahi royegi. Usne toh seedhe tareeqe se sab kuch wapas haasil karne ka socha tha, lekin un sab logo ko seedha tareeqa raas nahi aaya tha.

theek hai, ab agar usey un se intiqam lens ko Jadu ya safli ilm ka sahara bhi lena pada toh woh zaroor le gi. usey ab subah ka intzaar tha. subah usey buss stop pe ja kar us siyah faam ladki se kitaab leni thi.

waise nahi to aise hi! chehre pe thanda paani daalte hue usne nafrat se socha tha.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by Nimra Ahmed)Where stories live. Discover now