Chapter 3.3

8 1 0
                                    


usey nahi ilm tha ke kyun. magar woh raat der tak baramde ki seedhioon par baithi roti rahi thi. andar sab so rahe the, musarrat bhi sone chali gayi thi. woh padhai ka bahana karke bahar aayi thi aur der se idhar baithi be aawaz ansu baha rahi thi.

kachi Umar ka pehla khawab tha, woh bhi aise chur chur hua tha ke rooh bilbala uthi thi. woh itni hurt hui thi ke dil phatt raha tha. koi itna bhi zalim ho sakta hai, jitni taayi thi? jitne yeh sab log the. uska dil chaah raha tha, woh be khabar sote un logon ke kamro ko aag laga de, ya chure se un ki gardane kaat phenke ya zeher de kar sab ko maar de. aur aakhir mein khud bhi mar jaye.

nafrat. .. bohat shadeed nafrat mehsoos hoti thi usey. Apne un rishte daaro se. Uska dil chahta tha, woh un ghatiya aur kamine logo se daur chali jaye, jahan usey unki shakal nah dekhni pade. aur waqai, ab woh chali bhi jaye gi. Usne soch liya tha, bas aik dafaa usay woh scholarship mil jaye, jis ke liye usne british high commission ke elaan ke baad apply Kiya tha ke bhale ghar ke jo halaat ho, usne fifth se FSC tak har board exam mein pooore board mein top Kiya tha. fSC ki pre engineer mein top karne ke bawajood uska engineer nug ki taraf dil nah tha, ya raha nah
Tha. so BSC maths mein admission le liya tha aur usey umeed thi ke ab bhi woh hi top kare gi. aur agar scholarship useymil jaye toh bahut aasani se usey us zindaan se chhutkara mil jaye ga .

woh ansoo hatheli ki pusht se ragadati is soch mein thi ke koi uske samne aa khada hua. woh joote dekh kar chaunki aur bhega hua chehra uthaya.

waseem uske bilkul samne khada tha .

"waseem bhai?" woh current kha kar uthi aur do qadam peeche hati .

woh taayi mehtaab ka teesre number ka beta tha. Fawad ka chhota aur nakara o aawara bhai. is waqt bhi woh apni surkh aankhon se usey ghoor raha tha. jaane kab achanak aa kar idhar khada hua tha. khula girebaan, tight jeans, gardan se lipti chain, bikhre baal aur surkh ankhein. woh nasha karta tha, ghar mein sab ko ilm tha. yahan tak ke Fiza chachi apni betiyo ko uske qareeb bhi nah jaane deti thi. khud hasan bhi ehtiyat karta tha.  Lekin aarzoo laa parwa aur nidar thi. waise bhi waseem ghar mein bohat kam hi nazar aata tha.

mehmil har mumkin ehtiyat karti ke akele mein uska saamna nah ho ke usey uski aankho se khauf aata tha. magar aaj jane kaise........

"kya kar rahi ho? " woh aik qadam upar step par chadha toh woh be ikhtiyar mazeed peeche hati.

"Kikk....... kuch bhi nahi....woh agha jaan aawaz de rahe hain." woh aik dam palat kar andar bhaag gayi.

"Hunhh....." waseem ne tamaskhrana sir jhatka, chand lamhe udhar khada sochta raha, phir bahar gate ki taraf chal diya.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by Nimra Ahmed)Where stories live. Discover now