woh kitchen mein khadi sink ke samne do pehar ke jhute bartan dho rahi thi, jab samne badi ki khidki ke paar aasman pe grey baadal ikhatta hone lage. woh abhi tak brush plates par maarte hue us kaali rangat wali ladki ke baare me soche ja rahi thi, jis se woh pichle kuch dino se ehtiyat barat rahi thi. Bilkul buss ke time pe stop jaati aur bench par bethne ke bajaye zara faasle par khadi ho jati. nah toh indirectly us ladki ko dekhti aur nah hi qareeb jati.
maloom nahi kyun usey usse aur uski black cover wali kitaab se khauf mehsoos hone laga tha.
baadal zara garje toh woh chaunki. nili si sunehri shaam par zara si der mein chaaya ho gayi thi bijli chamki aur fir tap tap moti moti boonde girne lagi.
mehmil ne jaldi jaldi aakhri bartan dho kar reck mein sajaye, haath dhoe aur bahar lawn ki taraf bhaagi. barish dekh kar uska dil yuhi machal jaya karta tha.
"mehmil! jao musarrat se kaho, balke..." taayi mehtaab jo baramde mein kursi par baithi ladkiyo se gup shup mein masroof thi, usay aate dekh kar hukum sadir karte karte ruki. Uske chehre pe barish mein khailne ka shoq dikh Raha tha. taayi ne lamhe bhar ko socha aur phir hukum pura kara. "Balke jao, pakode bana kar lao. sath mein dhaniye ki chatni bhi ho. aur Maaz , moiz ke liye aalo ke chips fry kar lo."
Uske chehray pe pheli Khushi pheeki padh gayi. Usne bahut be basi se un ko kaha. "magar taayi! abhi kaise? woh barish......baad mein kardungi." Wo minminayi.
"haan toh barish ke liye hi toh keh rahi hu.....jao shabash! jaldi karo. aur nida! yeh suit phir tumhe kitne ka pada tha?" woh nida ke dupatte ko unglio mein masal kar sataishi andaaz mein pooch rahi thi.
"Sirf dhedh hazaar ka taayi! mein kal hi aap ko bhi le chalti hoon. wahan bahut ache prints aaye hue thd. aap ka complexion to waise bhi bohot fair hai, aap pe toh har rang hi khil jata hai."
woh aapas mein masroof ho gayi thi.
mehmil pair patakhti andar aayi. aalo chheel kar kaate, besan ghol kar rakha toh tab taayi mehtaab ne aawaz lagai.
"mix pakode banana, Fawad ko pyaaz wale pakode bohat pasand hain."
"bhaad mein gayi uski pasand." is ne zor se churi slab par pheki. "aalo qatloon mein kaate the. ab phir se in ko chhota karna pade ga. mirchain, pyaaz bhi katni padengi"
shiddat be basi se uski aankhon mein ansoo aagaye the. aaj amma bimaar thi, subah se bukhar tha, so agar woh nah karti toh musarrat ko bimari mein uth kar karna padta. woh naa bhi nah kar sakti thi.
pyaaz kaatte hue uski aankhon se ansoo nikalte gaalo par phisal rahe the. tab hi Fawad , maa ko pukaarta kitcehn ke khule darwaze pe thatak kar ruka.
khuli jeans pay lamba kurta aur gardan me muffler ki tarah dupatta lapete, bhuri unchi ponytail bandhe woh sir jukaye khadi cutting board pe thak thak pyaaz kaat rahi thi. ansoo galoon par
chamak rahe the."mehmil!" woh be chain sa qareeb chala aaya. "kya hua tum ro kyun rahi ho?"
"meri marzi. aap logon ko kya? aap logo ko toh apne khaano se fark hai." Fawad ke dil mein jagah banane ke saare irade bhula kar woh tadak kar boli.
"phir bhi kisi ne kuch kaha hai?"
"yahan kehta koi nahi hai, sab hukum chalate hain. " Usne churi wale haath ki piche ki side se gaal saaf kiya. "aur mujh se abhi koi baat nah kare, mein bahut ghusse me hu. ya toh churi maar dun gi, ya pakodo mein zeher mila dun gi."
"Acha!" woh pata nahi kyun hans diya tha.
woh ruk kar usay dekhnay lagi .
"aap kyun hase?"
"kuch nahi. khair, banao pakode, aur mix wale banana." woh apni pasand bata kar lambe lambe qadam bharta bahar nikal gaya.
Uski ansoo phir se behne lage. jane kis bhole pan mein woh yeh soch baithi thi ke agar woh uski muthi mein agaya toh.. usne nifi mein sir jhatka. woh sab aik jaise the. be hass, khud gharz, matlabi .
aur jab tak pakode band, barish halki ho chuki thi. woh sab ladke ladkiyan baramde mein baithe do minute mein hi pakode chat kar gaye the aur ab hasan sab ko long drive par le jane ka plan bana raha tha.
"Tum log bhi kya yaad karoge, kis sakhi se paala pada tha." woh taang par taang rakhe mazak me coller jhaad kar keh raha tha.
hasan, Fiza chachi ka beta aur nida, Samia ka bhai tha. shakal mein nida se milta tha, badi badi purkashish Aankhen aur sanwali rangat. Albata aadato mein woh bahut alag tha. Usne Fiza ki meethi zabaan toh le li thi, magar kadwa dil nahi liya tha woh ghar ka eklauta fard tha, jo dil ka bhi acha tha. naram go, saaf dil aur handsome .
abhi abhi woh office se aaya tha aur coat kursi ke peeche tikaye aasteene fold kiye betha woh thakan ke bawajud sab ko outing par le kar jaane ki dawat de raha tha.
"Kon kon chale ga?" Samia buland aawaz mein puchne lagi toh mehmil bhi dil mein machalti khwahish ki wajah se qareeb aagai.
"mein bhi chalungi."
sab ne ruk kar usey dekha tha.
kandhay baal latakaye, baalo ko aik style se rubber band mein bandhe arzoo ne, jo andar se bahar aa rahi thi, qadre nagwari se usey dekha. "In ko bhi yeh shoq satane lage hain." aur phir sab hi sath sath bolne lage.
"tumhari jagah nahi bane gi. Hum papa ki hiace le kar ja rahe hain, sab ki seate puri hain."
"Tum bahar ja kar kya karogi?" Sidra chichorepan me kaha nahi. mehtaab taayi ki photo copy.
"beta jaan! aap ke toh exams ho rahe hain." Fiza chachi bahut fikar mandi aur pyar se usey dekh rahi thi. "khoob dil laga kar padho. aap ne bahut achd marks laane hain. jao shabash! course kam az kam do dafaa zaroor revise karna, abhi shuru karogi toh raat tak pura hoga." taayi mehtaab ne fiza chachi ki baat khatam hone ka intzaar Kiya aur phir taizi se boli.
"nah tum ne bahar kya karna hai? raat ka khana kon banayega? maa allag drame kar ke bistar pe padi hai, koi poochne wala hai un ko? bas muft ki rotia tode jate hain."
Fawad ne lamhe bhar ko kuch kehna chaha, phir khamosh raha aur hasan jo khamoshi se saari kaarwai dekh raha tha, bil akhir keh utha.
"koi mehmil se bhi toh puche ke woh kya chahti hai?" Hasan ne kaha.
"haan, ab hum isse puchte rahe." taayi bigad kar boli. hasan lamhe bhar ko bilkul chup ho gaya. magar Fiza ne bete ke jhaade jane par bahut bura mana .
"jao, tum andar jao." woh bas itna hi keh saki. taayi mehtaab se muqabla karna un ke bass se bahar tha.
woh pair patakhti bhaag kar kitchen mein aayi aur sink par sir jukaye phoot phoot kar rone lagi.
kaafi der baad rote rote sir uthaya toh khidki ke paar drive way pay bahar nikalti hiace dikhayi di. Us mein aik do logo ki jagah to saaf taur pe badi asaani se ban jati thi.
be ikhtiyar us ka dil chaha tha ke woh raat ke khane mein zeher mila de. aur kaash woh aisa kar sakti.
___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by Nimra Ahmed)
SpiritualeMushaf written by nimra ahmed. this novel about a helpless orphan girl (Mehmil) who discovers the real meaning of the holy Quran which helps her cope with the vagaries of her miserable life.