Chapter 4.1

4 1 0
                                    

dur bench par baithi siyah faam ladki ko dekh kar, uske qadmo mein taizi aagai. woh tez raftari se chalti bench ke qareeb aayi.

"good morning !"

siyah faam larki ne chaunk kar sir uthaya aur phir zara sa muskarayi. "Good morning to you" woh usi tarah kitaab ke kinaro par mazbooti se haath jamaye baithi thi.

"mein darasal....." mehmil thodi confused si uske sath baithi. "mujhe..
mujhe kal ke rawayye pe bahut sharmindagi hai. mein kabhi bhi itni rude nahi hoti aur....."

"Jaane do. mujhe bura nahi laga."

"Nahi I am sorry really sorry mein kuch pareshan thi."

"maine toh tumhe tumhari har pareshani ka hal bataya tha. tum khud hi is taraf nahi aama chahti."

"nahi, wo..." usne be sakhta nigahe churayi. "mujhe is kitaab se koi dilchaspi nahi hai."

"magar is kitaab ko tum se hai. isne mujh se kaha hai ke mein isey tumhare
hawale kardu."

woh buri tarah chaunki thi. pehli guftagu mein bhi usne usey koi aisi hi baat batayi thi.

"Kya yeh kitaab mujhe janti hai?"

"100% janti hai. tumhari zindagi ki saari kahani is mein likhi hai. guzre waqiat aur aane wale halaat."

"waqai?" woh hairan si usey dekh rahi thi. ajeeb si be yakeeni thi .

"Haan, is mein sab likha hai."

"Tum ne.......tum ne meri zindagi ki kahani padhi hai?"

"nahi, mein woh nahi padh sakti."

"kyun? kya tum ne yeh kitaab puri nahi padhi?"

"maine puri padh rakhi hai. magar mujh pe sirf meri zindagi ki kahani khuli hai. tumhari zindagi ki kahani sirf tum pe hi khulegi."

"Tum kya keh rahi ho, meri kuch samajh mein nahi aa raha." ab ke woh waqai pareshan ho gayi thi.

"Aa jaye gi. har baat samajh mein aajay gi. bas Thoda waqt lagega." woh usey dekh kar reh gayi. woh ladki kaun thi, kaha se aayi thi aur yeh kitaab kis ne us ke liye sadiiyo pehle likhwa kar chodi thi, kuch samajh mein nah aa raha tha. buss ka horn baja toh woh chainki aur phir baghair kuch kahe tezi se uth khadi hui.

siyah faam ladki muskurate hue usey bus mein sawaar hote dekh rahi thi.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by Nimra Ahmed)Where stories live. Discover now