shaam mein woh kamray mein band padti rahi, phir maghrib dhal gayi toh kitcehn mein aagai jaha musarrat phurti se cutting board pe pyaaz tamatar kaat-ti raat ke khane ki tayyari kar rahi thi. kitchen mein aur koi nah tha aur saara phelawa yaqeenan unhi ko sametna tha."Amma! yeh taayi amma ya chachiyo mein se koi khand ki zimmedaari kyun nahi leta? Hamesha aap hi kyun banati hain?" woh yeh sab dekh kar boli.
"toh hamara ghar hai beta! mein yeh karungi toh kya ho jaye ga?"
"Aap thakti nahi hain in ki khidmat karte karte?"
"nahi thakan kaisi?" woh ab jhuk kar cholha jala rahi thi.
"acha batayein kya banana hai? mein kuch kar dun"
"biryani to banani hi hai, baaqi mehtaab bhabi se puchti hoon. aur usi pal mehtab taayi ne kitchen ke darwazay se jhaaka.
"khana banana ab shuru bhi kar do musarrat! roz der ho jati hai."
musarrat cholha jalate foran palti "jee bhabhi! bas shuru kar rahi hoon. aap bataye, biryani ka waseem beta keh gaya tha, sath kya banau?" woh dupatte se haath ponchhte unke samne ja kar puchne lagi.
"Sath mutter qeema bana do. kabaab bhi tal lena, aur dopehar wala arbi gosht bhi garam kar lena, aalo ka aik saalan bhi banalo, salad aur raita bhi na bhulna."
"Jii, aur meethd mein?"
"Dekh lo." woh be niyazi aur gurur se keh rahi thi. "pudding bana lo. ya double roti ki kheer." woh aik nazar us par daal kar palat gayi.
"aik time pe deghche bhar bhar ke aap teen, teen chaar chaar dishes banati hain, magar raat ke liye kuch bachta hi nahi hai." woh Kilasti bhi thi aur hairan bhi hoti.
"Tum khud hi toh kehti ho ke woh hamara maal haraam tareeqe se khaate hain, phir haram mein kaha barkat hoti hai beta?" un ke lehje mein barson ki thakan thi aur woh keh kar phir se cutting board pe jhuk gayi.
woh bilkul chup si hogayi. waqai kyun yahan deghche ke deghche aik waqt ke khane par khatam ho jate the? Usne toh kabhi is pehlu pe socha hi nah tha aur amma bhi un ke har zulm o zayad-ti se aagah thi, phir bhi chup chaap seh jati thi.
"hamara maal!" dil mein aik kaanta sa cubha. 11 saal penle abba ki death se pehle yeh factoryaa, yeh jayedaad, bank balance, yeh import export ki puri business empire, sab abba ka tha aur yeh agha kareem Khan , yeh Raja bazaar mein kapde ki aik dukaan chalate the. Ghufran chacha aik mamooli si company mein engineer ke taur pe the aur arzoo ke waalid Asad chacha, woh toh waseem ki tarah the. be rozgaar, nikhattu, sattebaaz aur nalaiq. phir kaise abba ke chohlam ke baad woh –apne –apne kiraye ke ghar khaali kar ke bari bari idhar aate Gaye.
yeh agha ibrahim ka ghar" agha house teen manzila aalishaan mehal numa kothi thi. nichli manzil par agha jaan ki family ne basera jamaya, bich Wale floor pe fiza chachi ne aur sab se upri manzil par Asad chacha ki family ka qabza tha. woh chand din ke liye aaye the, magar phir woh chand din kabhi khatam nah hue. baat be baat jagah ki kami ka rona roya jata na roya jata, yahan tak ke masterbed room se musarrat aur mehmil ko nikaal kar store mein shift kar diya gaya. woh us waqt choti thi, shayad 9,10 saal ki magar jaise jaise badi hui andar ek lawa pakta gaya.
ab to arsa hua,usne dabna chod diya tha.
ghar ke mardon ke samne toh khair woh zubaan band hi rakhti, magar taayi chachiyo se barabar ka muqaabla karti aur cousins toh kisi khaate mein nah the. lekin is zabaan chalane ke baais us par sakhtiya badhti gayi. woh mehez zabaan se jawab de sakti thi, magar taayi amma waghera dosre tareeqe bhi istemaal karte. jab se us ne –apne zaati jaib kharch ke liye aik dost ke waalid ki academy mein tutions deeni shuru ki thi, usko ghar wapsi mein der ho jati aur fir uske liye do pehar ka khana nah rakha jata.
YOU ARE READING
MUSHAF (by Nimra Ahmed)
SpiritualMushaf written by nimra ahmed. this novel about a helpless orphan girl (Mehmil) who discovers the real meaning of the holy Quran which helps her cope with the vagaries of her miserable life.