"unhone sidra ki jagah mera rishta manga. can ko believe it? mein toh itni Shocked ho gayi hoon. oh god! Butt itna acha proposal hai, woh aunty itni loving aur sweet thi ke mein tumhe kya batau. aur pata hai, un ka beta aero technical engineer hai aur......tum meri baat sun rahi ho ya nahi?" Usne file mein page tarteeb se lagati nadia ka kandha hilaya to woh."haan, haan batao na, phir kya hua?" keh kar phir se pago ko theek karne lagi.
"hona kya tha, taayi amma ki toh shakal dekhne wali ho gayi thi."
"acha!" nadia ab english ki kitaab ke pages ulat to kuch talaash kar rahi thi. woh dono college ke baramde ki seedhioon pe baithi thi, Mehmil usay kal ki saari kahani suna rahi thi.
"taayi ne mujhe fauran wahan se bhej diya. bechari har cheez sidra ki banai keh kar paish kar rahi thi magar woh aunty bhi bahut tez thi, aisay hosh udaaye ke taayi kayi din tak yaad.....tum meri baat nahi sun rahi nadia!" usne khafa si ho kar muh mourr liya.
"nahi nahi. sun rahi hu na." nadia ne bokhla kar file aik taraf seedhi pe rakhi, magar woh muh modenbaithi rahi.
"acha batao na toh woh sahib aero technical engineer hain."
"mein do ghante se bak bak karke thak gayi hoon ke woh aero technical engineer hai, tum agar sun leti toh yeh sawal nah karti. tum apni file jodo, mein ja rahi hon. woh bag utha kar khadi hui toh nadia bhi sath hi utthi.
"arrey, naraaz toh nah ho."
"nahi yaar! Seriously naraaz nahi hu. mujhe yaad aaya, mujhe abhi maidam Misbah se milna tha aik kaam ke liye. mein zara thori der tak aati hu." mehmil ne bazahir muskura kar kaha aur murr kar chal di. jab woh taiz taiz sir jukaye chalti thi toh unchi ponytaill sath hi idhar udhar jhulti bahut achi lagti thi.
chand qadam daur usme zara sa murr kar dekha, nadia bohat aaraam aur sukoon se baithi apni file mein kuch likh rahi thi. woh tasuf se wapas aage ko chalne lagi. kitni jaldi nadia, uss ki so called best friend ne, uski pheeki muskurahat ke sath kahe gaye aakhri jumle par yaqeen kar liya tha, jaise woh waqai naraaz nahi hai, halaanke woh thi. ghar mein amma thi toh college mein nadia, jin se woh dil ki baat share kar leti thi. magar dono be tawajju se sunti thi, kabhi kaam mein masroof hu haan keh diya toh kabhi to suna hi nahi.
is duniya mein koi bhi nahi hai. woh samne walay baramde ke aik tanha sutoon se take laga kar baith gayi aur udasi se samne lawn ki haryali ko dekha.
sunehri subah har taraf bhari thi. ghaas pe group ki soorat mein safaid uniform mein pehne ladkiyan baithi thi. koi khane peene mein toh koi gup shup mein masroof thi. sab ki apni apni duniya thi aur woh un mein magan thi.
'kya yahi zindagi hoti hai ya kya uski zindagi ki tarah mushkil zindagi kisi aur ki nah thi?' Usne dukh se socha tha .
'kya mujhe kabhi woh khusihya nahi milengi jo mein chahti hu? bad sa ghar, be thaasha doulat, taaqat, mohabbat karne wala life partners. .. kya yeh sab mere qadmo mein aik sath dhair ho sakta hai?" Usne sutoon se sir tika kar ankhein moond li. band palko pe sunahre khawab utarne lage the.
"Wo aero technical engineer ya Fawad.... mein in mein se kisi ki bhi biwi ban jau toh sab kuch mera ho sakta hai. sab kuch mere qadmo mein dhair ho sakta hai. buland. .. har cheez ki bulandi jo woh amliyaat kar leta hai, woh duniya par raaj karta hai.....kuch aisa ho ke tumhe tang karne wale log tumahre agay peeche phirne lage, maal o doulat tum par nichhawar ho, tumhara mehboob tumahre qadmon mein aa gire.....aur agar mein aisa kuch tumhe de du toh."
Usne jhatke se ankhen kholi. aik dam se hi woh saari baatein aur us siyah faam ladki ki siyah chamkeeli ankhen usay yaad aayi thi.
"Tum sab ko apni muthi mein kar ke duniya par raaj karo. kya tum yahi nahi chahtain?" usme ghabra kar idhar udhar dekha. yun lagta tha, woh ladki apni bhaid bhari aawaz mein uske paas se hi bol rahi hai.
"Pata nahi, kya karu?" Uska dil zor zor se dhadak raha tha. aik lamhe ko usne woh kitaab usse mangne ka socha magar dosre hi pal khauf ka uske andr utar gaya.
"nahi nahi maloom nahi kon sa safli ilm hai uske paas......mein in kamo mein nahi padungi...agha jaan ko ilm hua toh tange tod denge meri."
woh khud ko taalte file aur bag sambhale uth khadi hui. usey ab us siyah faam ladki se koi baat nahi karti thi, bas! Usne faisla kar liya tha.
Albata dil ke kisi chupe khaane mein us kitaab ko haasil karne ki khwahish ne bhi bohat khamoshi se sir uthana shuru kar diya tha.
___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by Nimra Ahmed)
SpiritualMushaf written by nimra ahmed. this novel about a helpless orphan girl (Mehmil) who discovers the real meaning of the holy Quran which helps her cope with the vagaries of her miserable life.