un dinon musarrat bohat khush rehne lagi thi aur woh un ko dekh dekh kar khush hoti. "pata hai mehmil! bohat acha log hain yeh. Noman bhai bade bhalle insaan hain aur unka beta toh bahut hi khubsurat hai. Allah ne hamari sun li hai, woh zarur hum pe reham kerega" woh kabhi kabhi baith kar usko batane lag jati toh woh khamoshi se muskurahat dabaye, sir jukaye sunti chali jati. ab toh ghar ke kaam bhi aaraam se kar deti. kuch din se taayi ko jawab dene bhi chod diye the. pehli dafaa is zindaan se niklne ki koi umeed jo bandhi thi.Lekin Sidra usey uthte baithte bahut ajeeb nazro se dekhti thi. mehmil parwa nah karti magar us roz toh had hi ho gayi. woh shaam ki chaii ki trolley dhakelti bahar lawn mein layi toh sidra ne aik dam usey dekhte hi muh phair liya.
'shayad abhi tak naraz hain.' Usne socha aur phir jaise madawa karne ke liye sab se pehle sidra ka cupp banaya.
"Sidra aapi! chaii." bahut shaistagi se muskura kar cupp badhaya.
"Aapi? mein tumhari aapi lagti hu?" sidra ne cupp lete lete zor se phenk diya. garam ubalti hui chaii mehmil ke upar giri. woh bilbila kar khadi hui, cupp ghaas pe ja gira.
"yu logo ke samne aapi keh kar tum yeh zahir karti ho ke mein boodhi hogayi hu, haan?" sidra ekdum chillane lagi thi. "mummy!......mummy! is ko dekhe, yeh hamesha yahi karti hai. yeh hamesha logo ke samne mujhe be izzat karti hai." sidra ne zor zor se rona shuru kar diya.
"arrey inki toh aadat hai, yeh maa beti toh is ghar ki khushi dekh nahi sakti. nah meri beti! tu gham nah kar, aur ab khadi kya ho? jao apni nahusat le jao mere samne se" taayi mehtaab ne bhi bahut dino ka gussa ekdam nikala.
woh, jo shocked thi, bhaagti hui andar aayi. musarrat bhi pareshan si kitchen mein khadi thi. unhone bhi sun liya tha. mehmil kuch kahe baghair andar kamre mein band ho gayi.
andaza to usey tha hi ke taayi ka mood us roz se begum Noman ki baato pe kharab hai magar woh kuch keh bhi nah rahi thi, chup hi thi. shayad is baat pe ke ab woh mehmil ki hone wali sasural thi, unse kya panga lena.
magar raat mein uski yeh khushfehmi bhi dur hogayi, jab usne kitchen mein taayi mehtaab ko musarrat se kehte suna.
"hum ne toh us roz Noman bhai logo ko inkaar kar diya tha. mehmil ki konsi shadi ki Umar hai, abhi ghar ki badi betiya hain, pehle un ki hogi, phir hi mehmil ka sochenge, chaii agha sahib ke kamre mein pouncha do. woh raat ka khana nahi khayenge. aur table laga do." woh hukum chala kar ke be niyazi se bahar nikal gayi. kitchen ke darwaze pe dhuwan dhuwan chehra liye khadi mehmil pe bas aik nigah chhai thi. jabke andar nidhaal si baa-mushkil khadi musarrat ko dekhna bhi gawara nah Kiya tha, jin ke dil pe unhon ne churi chala di thi.
___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by Nimra Ahmed)
EspiritualMushaf written by nimra ahmed. this novel about a helpless orphan girl (Mehmil) who discovers the real meaning of the holy Quran which helps her cope with the vagaries of her miserable life.