Chapter 2.1

5 1 0
                                    


Subah college ke liye wo bench ki taraf aayi toh zehen abhi bhi wahi uljha hua tha.

Bench par baithte hue usne sarsari sa dekha, woh siyah faam ladki usi tarah baithi thi. goad mein rakhi kitaab ke kinaro pe mazbuti se haath jamaye khamoshi se samne dekh rahi thi.

woh jamai rokti baith hi gayi aur be dili se buss ka intzaar karne lagi. Usne wohi kal wala ajrak ka kurta jeans ke upar pahen rakha tha aur baal unchi pony mein bandhe the. soch whi Fawad ke ird gird ghoom rahi thi. subah woh jaldi nikli thi, tab tak woh neeche nahi aaya hota tha.

uska kamra dusri manzil pe tha, jo thi toh Ghufran chacha, Fiza chachi ki rehne ki, magar woh kinare wala kamra Fawad ka pasandida tha, so woh us ko arsa pehle de diya gaya tha. Fiza chachi ki do betiyan aur aik beta hasan hi the, so woh kamra un ki zaroorat se zyada tha. aur yeh toh mehmil ka dil hi jaanta tha ke woh kamra to abba ne banwaya hi uske liye tha magar....

siyah faam ladki usi khamoshi se samne dekh rahi thi. woh bore hone lagi toh idhar udhar gardan ghumayi. Black cover wali kitaab dekh kar kal ka waqia yaad aaya.

"yeh kitaab kab mili thi aap ko?" baghair tehmeed ke achanak sawal. Us ladki ne itminan se gardan uski taraf morhi.

"do saal pehle"

"yeh kisne aap ke liye secretly chodi thi?"

"hai koi." woh zara sa muskurayi. moti aankhon ki chamak badh gayi.

"aap ko acha lagta hai woh?" Usne ghaur se us chamak ko dekh kar kaha.

"Bahut zyada"

"aap usey kaisay janti thi? mera matlab yeh toh sadiiyo purani kitaab hai."

"bas, mein janti hon."

"aur yeh kitaab...... yeh aap ko aap ka maazi, haal aur future kaise dikhati hai?"

"Is mein sab likha hai. guzre waqiat aur woh jo mere sath hone wala hai aur mujhe aise mauqa pe kya karna hai, sab likha hai."

mehmil ka dil zor se dhadka. woh siyah faam ladki usey bahut ajeeb ajeeb baat bata rahi thi.

jane kaisi pur israar, bhaid bhari kitaab thi woh.

"aap ko isse kitna faida hota hai?"

"jitna tumhari soch se bhi upar hai."

"phir aap ke toh bahut maze honge. aap isko padh kar sab kuch jaan jati hongi."

"haan, magar is mein kuch amal hain, pehle woh perform karne hote hain, phir har cheez waise hi hoti hai, jaise is mein likha aata hai."

"amal......amliyaat? woh chaunki. andar koi alarm sa baja. yeh to koi safli ilm ki maahir baithi thi, isse zara ehtiyat baratna chahiye.

"haan" siyah faam ladki muskurayi. "jo woh amliyat karle, woh is kitaab ke zariye duniya par raaj karta hai. sab log uski muthi mein aajate hain aur har shayy uske liye asaan ho jati hai. sirf mein nahi, agar tum bhi is kitaab ka khaas ilm sikho toh tumhe iske alfaaz mein apna maazi, haal aur mustaqil nazar aane lage ga."

"aur....aur uske baad?" woh sehar zada si sawal kiye ja rahi thi.

"iske baad tum is kitaab ko chod nahi sakti, tumhe apni zindagi isse baandh kar hi guzaarni hogi."

"aur agar mein usey chod du toh?"

"toh tum tabah ho jao gi. tumhari har cheez, har mohabbat, sab tabah ho jaye ga. isko le kar tum chod nahi sakti. yeh sab itna aasaan nahi hai."

mehmil ghabra kar uth khadi hui. "meri buss" usi pal buss qareeb aati nazar aayi, woh daud kar buss ki taraf jane lag.

"tum aik din zarur aaogi mere paas." siyah faam ladki muskarayi thi "tum aik din zarur gidgida kar yeh kitaab mangne aaogi. mein janti hon, tum logo ki satayi hui ho. tumhara dil zakhmi aur haath khaali hain. aur jis din yeh dil puri tarah toot jayega, mein tumhe yeh kitaab de dungi. jao tumhari buss aagai hai."

woh khauf zada si bas ki taraf lapki thi. Rodd pakar kar andar chadhte usey piche dekhne ki himmat nahi hui thi.

____________________

shaam ko usne bahut mehnat se chocolate souffle banaya. aur jab woh khoob thanda ho gaya to tray mein saja kar upar seedhiyan chadhne lagi. abhi dusri seedhi pe hi thi ke arzoo neeche aati dikhayi di.

"yeh kis ke liye hai?" woh maathe par bal daale lamhe bhar ko ruki. "Faadi ke liye hai?"

"Jii, unhone kal kaha toh tha, mere paas time kaha tha. aaj bhi kisi ko yaad nah aaya toh bana hi diya." Usne be niyazi se shaane jhatke. woh dusri seedhi pe tray uthae khadi muntazir thi ke arzoo neeche utre aur woh upar ja sake.

"aur dinner ki tayari kar li tum ne?" arzoo zeene se utar kar uske bilkul samnay aa khadi hui.

"Amma bana rahi hain."

"qorma bana liya hai? maine kaha bhi tha. tum ne check kya?"

"Aap seedhe seedhe keh dein ke mein chali jau aur aap yeh tray Fawad bhai ko de kar –apne number bana le toh lein, pakde."  Usne tray zor se usey thamai. "mujhe aur bhi kaam karne hain." woh khat khat seedhiyan utar kar kitchen ki taraf chala gayi.

"bad tameez "woh badbadayi

magar mehmil ko maloom tha ke uski tez aawaz fawad sun chuka hoga aur ab arzoo jo chahe kar le, woh jaanta tha ke kaam kisne kiya tha aur number kon banana chah raha tha.

aur phir yahi hua .

raat khane pe jab musarrat ne chocolate souffle laa kar rakha toh Fawad ne sab se pehle dala.

"yeh tum ne banaya hai mehmil?"

"Jii" mehmil saadgi se boli.

arzoo ne jaldi se baat badli.

"bahut tasty hai, tum hi roz meetha kyun nahi banati?"

"itni farigh nahi hoon mein, so kaam hote hain mujhe. exam ho rahe hain mere. Dil karega toh bana diya karungi, warna sab jante hain, mehmil se yeh jii huzooriya nahi hoti. amma! aik phulka mujhe uttha de." woh masroof si amma ke haath se phulka lene lagi, jaise usay Fawad ke tasurat ki parwahi nah ho.

woh bhi sir hila kar souffle khane laga magar baar baar nigah bhatak kar uske masumi chehre pe ja rahi thi, jo bahut magan si abhi tak khana hi kha rahi thi. Souffle ko usne haath bhi nhi lagaya tha.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by Nimra Ahmed)Where stories live. Discover now