Chapter 14

5 2 0
                                    

Akshita aur Aditya ki baatein train ke corridor mein ab bhi hawa mein ghoom rahi thi. Aditya ne apne dil ki baat bol di thi, "Kya tum meri girlfriend banogi?"

par Akshita ka dimaag us pal mein kuch aur hi tha. Usne ek deep breath li aur aankhon mein confusion chhupa kar jawab diya, "Mujhe thoda waqt do... sochne ke liye."

Aditya ne bhi uski baat samajh kar sirf ek muskurahat di. "Thik hai," usne calmly kaha, "Main intezaar karunga!!"

Akshita ne apni seat ki taraf kadam badhaye, aur woh dono apne apne thoughts mein kho gaye. Akshita apne mann mein adhi bahut si cheezein soch rahi thi, "Kya maine sahi jawab diya..? Kya Aditya ko mere na kehne se bura to nhi laga hoga? Ab main kya hi kehti use ...sab itni achanak se hua tha ki ..

---

Thodi der baad, dono apni seats par jakar baith gaye. Akshita apne phone mein kuch check kar rahi thi jab uski nazar ek chori karte hue uncle aur aunties par padi..Un logon ke haath mein kuch jewelry thi, aur woh secretly doosron ke saman ko chhupane ki koshish kar rahe the..

Akshita ka mann gussa se bhar gaya. "Aditya, yeh dekho! Kya yeh log chori kar rahe hain?" usne quietly Aditya se kaha ..

Aditya ne un logon ko dekha aur kaha, "Haan, tum bilkul sahi keh rahi ho.. Hum kuch karte hain..."

Akshita apni seat se utkar un auntie ke paas gayi or kaha. "Kya kar rahe ho aap log? Humne dekha aap log kaise chori kr rahe the..." usne unhe pakad liya aur chhupane ki koshish karte hue unke chori ke saman ko unse cheen liya.

Lekin un aunties ne Akshita ke upar gussa ho kar usse humla karne ki koshish ki.. Ek auntie ne piche se Akshita ko daba kar uske gardan ke paas knife le aayi.. Akshita ka chehra pale ho gaya, aur woh dar ke mare hil gayi.

Tabhi, Aditya ne hero ki tarah action liya. Woh bina kisi darr ke aage badha, aur us auntie ka haath pakad ke piche kheech kar unhe zordar dhakka maara. "Akshita ko chhodo!" Aditya ne shaiddat se kaha.

Dono mil kar un choro aur aunties se ladte gaye, aur thodi der mein police aa gayi. Lekin, jaise hi police ko dekha, woh gunde aur aunties apna game samajh gaye aur Akshita ko apni hostages bana liya!!

"Chup ho jao tum sab,"isbar unmain se ek aadmi ne Akshita ki gale ke paas firse chaku rakha aur dhamki di, "Agar kisi ne hume pakadne ki koshish bhi ki.., toh is ladki ka gala kaat denge!!

---

Akshita ka chehra bohot dara hua tha. Usne apni aankhon mein aansu bhar liye the.. Tabhi Aditya ne apni fighting skills dikhate hue un dono aadmiyon se ladne lga ..usne unke upper kisi hero ki tarha hath pr apne per se war kiya or unke hatho se voh chaku fekwa diya ..

Chupke se ek dum jald se unhone Akshita ko unke haath se chhuda liya!!

Aur Aditya ne use apni baho main bhar liya..Jaise hi Akshita Aditya ki baahon mein aai, woh usse apne aap ko safe mehsoos kar rahi thi!!

Uske kandho pr Rote hue woh Aditya se apna ghabrahat aur darr ko khatam karne ki koshish kar rahi thi..Aditya ne usse apni baahon mein liya hua tha, dheere se uske baal sambhalte hue, "Shhh...kuch nhi hua.. sab kuch theek hai. Tum safe ho, Akshita."

Akshita ka dil thoda thehra. Uske liye Aditya ka yeh pyaar bhara gesture sabse bada sahara tha..vo apni badi badi aankhon se Aditya ki aankhon main dekhne lagi..

Jab police ne woh choro ko le jaakar arrest kar liya, tab Akshita thodi der tak apne aansu apne gaalo se aache se safai karne lagi,
lekin use ab yeh samj rahi aaraha tha ki voh apni feelings ko kis tarah se express kare.. Tabhi, jaise hi woh apni seat par jaane laga, usne piche se Aditya ka haath pakad liya.

Akshita: "Aditya... aaj tumne mujhe bachaya... Isliye tumhara bohot bohot shukriya..Aaj pta nhi pr tumhare bina main shyad aaj yahan nahi hoti...

Aditya ne pyaar bhari nazron se usse dekha or kaha "dekho Tum ab meri dost ho, aur main tumhe tab or kabhi bhi aise hurt hote hue nahi dekh sakta!!

Akshita ka dil dhadak raha tha. Usne apne rone ki feeling ko chhupane ki koshish ki, phir sab kuch dekhte hue, usne apne dil ki baat keh hi di: "Aditya...
I.. I love you.

Aditya ka chehra ekdum surprised ho gaya, lekin phir woh bhi muskurate hue, Akshita ko ek pyara sa hug de diya.



___________________________________________

Aage Kya Hoga?
Ab jab Akshita aur Aditya ka rishte ka ek naya mod shuru ho raha tha, unhone apne beech ke dard, dar, aur sab kuch apne pyaar se chhupane ka faisla kiya. Kya yeh dono saath rahenge? Akshita apne feelings ko kaise handle karegi?

Next chapters main Jane ke liye padhte rahe "Akshita".

Akshita Where stories live. Discover now