Chapter 9

2.9K 110 5
                                    

Continued from chapter 8 - Ishwari gets suspicious about Dev and Sona. Dev and Sona get closer.

On the way back Sona told Dev about his antics the other night. 

"Aapko pata hai aapne mujeh kis mushkil mein daal diya? Kal aapko room mein sula kar laut rahithi to Nikki ne dekh liya!"

"What?!"

"Haan, wo to neend mein thi aur maine kuch auntyji ke urgent reports ka bahana kar liya aur wo chali gayi. Kitne bure phas jaate hum warna. Sab aapki galti hai!"

"Hmm, chalo koi nahin. Bas maa ko na batade. Waise pata hai aajkal maa bhi itne sawal poochhne lagi hain. Unko shayad meri sehat ki chinta ho rahi hogi aur main ghar pe zada time bhi nahin spend kar pata hoon na aajkal."

"Hum auntyji ko bata kyun nahin dete Dev? Aapko kisi cheez ka darr hai kya?"

"Nahin Sona. Pehli baar aisa kuchh hua hai meri life mein. I want to experience it to the fullest. Aur phir I need to work up to how to say it to her. Aise bina soche samjhe kuchh bhi kehke unko hurt nahin karna chahta"

"Aapko lagta hai ki Auntyji ye sunke hurt hongi?"

"Pata nahin. Meri khushi mein Maa khush to hogi par Maa thodi possessive hain mujhe leke. To be fair mujhe pata nahin kya expect karoon main. In any case main unhe stressed ya hurt nahin dekhna chahta to maybe ye meri hi insecurities hain aur actually mein aisa na ho."

"Aap jo bhi sochenge thik hi sochenge waise. Appse better auntyji ko koi nahin samajh sakta. Whatever you decide I'll support you." 

Dev reached out and held Sona's hand. It was so easy to be with her and have conversations. He was missing this all his life. This unconditional support and companionship. He felt blessed.

"Dev, bahut der ho gayi hai. Koi poochhega to main kya kahoongi? Ki main kahan thi?"

"Umm keh dena ki tumhare ghar se phone aa gaya tha kisi relative ko pick karne jana tha. Aur main keh doonga ki main koi meeting pe chala gaya tha. Thik hai?"

"Ek saath gaye? Aur ek hi time pe dono ka kaam khatam ho gaya? kya aap bhi na Dev. Jhooth bolna aata hi nahin aapko to."

"Aur aapko bada aata hai jhooth bolna. Shakal pe dikh jata hai saaf jab aap babababa main wo main main karti hain to."

Both laughed as they reached Dev's house. They were still laughing when they entered and both of them stopped in their tracks. Ishwari was standing staring at them with a deep frown on her forehead.

"Kahan se aa rahe ho?", she asked in an ice cold voice.

"Auntyji main wo ..wo ghar se phone aa gaya tha bhaiya ka.. sab mere maashi ko pick karne airport chale gaye the aur dadi akeli thi aur unhe kuch..umm..umm ..kuch chahiye tha...", she stopped explaining further when Dev slightly nudged her.

"Achha, aur Dev?"

"Maa main to meeting karne gaya tha aur Miss Bose nikal rahi thi to maine unko drop kar diya bas."

"Aur pick up bhi kiya hoga hai na?", Ishwari seethed.

"Haan..umm.. nahin! wo to bahar hi mil gayi mujhe.. co-incidence tha .. wo. Tu itne sawal kyun kar rahi hai? tujhe kya hua?"

"Kyun main poochh nahin sakti ki mera beta kahan hai? pehle to bata ke jata tha isiliye sawal nahin karti thi. ab pata nahin hota isiliye kar rahi hoon."

Sona went quietly into the kitchen.

Dev took Ishwari by his arms and tried to change the topic by asking her how her day was and telling her about this new company they were thinking of buying and all that and led her slowly back to her room. Sona sent juice and snacks up to Ishwari's room and hoped that after the chit-chat with her son she would have calmed down. She felt horrible seeing her angry and hurt.

Dev Sona FanfictionWhere stories live. Discover now