Chapter 16

2.5K 98 1
                                    

Continued from chapter 15 - Dev promises to agree to Ishwari's terms and asks for her forgiveness. He meets Sona and tells her the details and also asks something from her. What will Sona decide?

Dev had breakfast with Ishwari and his family the next morning. Ishwari seemed to be getting back to her own self and Dev didn't let any emotions cross his face. 

"Do dinon se Sona di ko nahin dekha. Wo chhutti pe hain kya?", Nikki asked.

Ishwari looked at Dev, who replied, "Dr. Bose ka contract khatam ho gaya Nikki. Wo aur nahin aayengi. Wo hospital mein kaam karengi ab jahan pehle karti thi."

"WHAT?! Aise kaise bhaiyya? Wo bina bataye chali gayi? Aur aapne bhi kuchh nahin kaha. Main unse mili bhi nahin", Nikki seemed distressed.

"Arre isme pareshan hone wali kya baat hai? baat karne ka man ho to phone kar lena. Ya hospital jaake mil lena.. bas?", Dev smiled at her.

Ishwari also nodded her head and smiled and then watched as her son left for work. He seemed fine outwardly, but somehow she could feel his pain. She told herself that her decision was for the best and things would only get better with time. 

Dev was on his way to work when Sona called him. 

"Dev, aap office pahunch gaye kya?"

"Nahin, raste mein hoon, bas 10-15 minute mein pahunchoonga. Kya hua?"

"Kuchh nahin, main aapse milne aa rahi hoon office mein, wahin baat karte hain. Okay?"

"Okay. See you."

Sona was waiting in his office when Dev arrived. Tina had already showed her in. She let Dev settle down and then said, "Dev, maine kal raat bahut socha.."

"Sona, kuchh kehne se pehle.."

"Shh Dev, kal raat ko aapne baat ki. Aaj mujhe bolne dijiye aur aap suniye please. Aapne jo kiya wo kyun kiya main shayad poori tarah na samajh paoon. But I want to trust ki aapke apne reasons hongey aur wo legitimate reasons hongey.

Aapko pata hai how I feel about you and about us. Maine aap se kabhi kuchh chhupaya nahin hai. Aap jo keh rahe hain main samajhti hoon kyunki main bhi aap se utna hi pyar karti hoon aur main aapko chhod ke ji nahin sakti.

Par Dev, main bhi apne parents aur apne family se bahut pyar karti hoon aur unki taraf bhi meri responsibilities hain. Kal ko agar unke liye mujhe koi decision lena pade to main bhi difficult choices make karoon aisa ho sakta hai. Par main bi aapse pyar karna band nahin kar sakti." Sona smiled, and she came across to Dev and sat down in front of him.

"Dev, aapse pyar karna meri choice nahin thi, bas ho gaya. Mujhe to pata bhi nahin chala kab! Ab is feeling ko kaise rokoon, ye mujhe pata nahin aur ye main kar bi nahin sakti. Ab main aapse door bi nahin reh sakti aur aap hi ki tarah main bhi give up nahin kar sakti.

Aapne auntyji se jo vada kiya wo main nibhaoongi. Main us ghar pe tab tak kadam nahin rakhoongi jab tak auntyji khud mujhse nahin kehti. Lekin main sapne dekhna nahin chhod sakti...ummeed rakhna nahin chhod sakti.. try karte rehna nahin chhod sakti. 

Main aapke saath chaloongi aur aapke har decision mein aapke saath rahoongi Dev. Hamesha. Ye raah aasan nahin hogi, bahut mushkilein hongi, par hum milke sab sort out karenge. Aapne apni maa se ek vada kiya. Ab aap mujhse ek vaada karenge.

Aap mujhse vaada karenge ki aapke aur mere beech kuchh bi ankaha nahin rahega. Aap apni zindagi khushi se jiyenge aur apna har gham mujhse share karenge. Aur hum dono hamesha present mein jiyenge. Future mein jo hoga, we will take it as it comes and solve every problem together. Aisa koi bi decision jisme hum dono ki life affect hoti ho, hum akele nahin lenge, balki saath mein lenge. 

Dev Sona FanfictionWhere stories live. Discover now