YADEIN

308 72 90
                                    

Zindagi ka dastoor

Na mera na hi isme tera kasoor.

Alag hone dard aisa

Ki dil k zakhm ban jate hain nasoor..

Meri ishwar se hai ek guzarish,

Ki puri ho teri har khwahish.

Agar mere ansuon ko tum padh sako,

To bas hum hi ho tumhari sifarish..

Rota hai dil teri yadon mein,

Mera har dard hai meri baton me.

Kash fir se aa jayein wo din,

Ki hm tumhare aur tum humari bahon me..

Pyar ehsas nahi dhund hai,

Ye dhund bhi tabtak,jabtak ankhein band hain.

Jab ankein khuli to pata chala,

Ki ye to tha sirf dhokhe ka silsila..

Kabhi yakin tha tumpar khud se jyada,

Lekin sach tumhara pata chala.

Ki tumhari sari batein jhoothi thi aur jhootha tha tumhara Wada,

Aur is duniya me tumhara pyar tha ek chalawa..

Rote rote ansun sookh gaye,

Ankhon aur dil k aas bhi tut gaye.

Na tumko aana tha aur na hi tum aai,

Lekin tumhare jane k baad kyu peecha nahi chorti tumhare yadon ki parchai....

DIL KI BAATEINजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें