FARIYAD

106 26 43
                                    

Koi fariyad ye karta hai
Kisi ko pane ko tadpta hai,
Koi fariyad ye karta
Jiske sath hai wo kyu kuch nahi samajhta hai.

Asal zindagi me koi khush nahi hai
Dil k sath dimag bhi kuch nahi samajhta hai.
Kayi dafa dil ko dimag samjhata hai
Par dil aisa badtameez jo kuch bhi samajhna nahi chahta hai.

Ek bar ki fariyad us khuda se dimag ne dil k liye
Kuch bhi ho aur dil ho jaye door us gham se.
Tab khuda ne kaha dimag se ki kuch nahi ho sakta is dil ka
Jab tak khud na chahe dil aur mil jaye use koi apna sa.

Dimag ne fir ki fariyad us khuda se
Ki de do koi use wo insan jo lage use apne se,
To kaha us khuda ne
Ki dil khud hi samjhega jo honge uske apne.

Akhir kab tak tute hue dil ko dimag samjhaye ga
Ek waqt k baad us dil ko khud hi samajh aayega,
Bas karta hoon dua us upar wale se
Ki kahi ho na jaye der aur mil jaye us dil ko ho uske apne se.

DIL KI BAATEINजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें