"Main Amit ko phone kar ke bulau.? " Aarushi asked.
"Kar toh rahi ho.. Ek mahina ho gya hai Aarushi.. " Randhir said.
"Kabhi kabhi lagta hai Dada ko sab sach bol doon.. Lagta hai usko bata doon ki Amit bhai hai hamara.. Sabse bada bhai. " Aarushi said.
"Aaru.. Wo tumhara bhai hai yeh sach hai.. Par yeh bhi sach hai ki wo jabse paida hua hai tabse tum logose alag hai.. Usko apni uss family se jyada pyaar aur laganv hoga.. Waha ke logoko chhod ke Amit tum logo ke pas aayega aisa sochna tum chhod do. " Randhir said.
Tears scrolled down on Aarushi's cheeks.
"Main usko phone karungi.. " Aarushi grabbed her phone.
Randhir slapped his forehead & jumped on bed.
"Dhire bolna.. Sumedh ghar me hi hai.. " Randhir advised.
Amit picked up the phone.
"Hi Aarushi. " Amit said.
"Amit dada.. " She said in a crying voice.
After hearing this Amit suddenly felt emotional.
"Kya hua Aarushi.? " He asked.
"Kabse bula rahi hoon .. Wapis aa jao wapis aa jao.. Mante kyu nai tum Dada..? " Aarushi asked.
"Main wapis nai aa sakta.. Tum sab logo ke bich wapis nai ana mujhe.. Plz.. " Amit said.
"Par hum sab tumhare apne hai na dada.. " Aarushi said.
"Aarushi.. Bhale hi mujhe janam dene wale log tumhare maa baap hai.. Par mere Aai baba.. Jinhone mujhe sambhala hai.. Wo jyada jaroori hai mere liye.. " Amit said.
"Dada.. Main behen hoon tumhari.. Agar thoda sa bhi pyar.. Apnapan hai na toh tum wapis aaoge.. Aur agar nai aaye toh main samajh jaungi ki tum apni behen se pyar nai karte.. " Aarushi cried & hung up the call.
Amit became serious.
"Tum kitna bhi deny kar lo Amit.. Tum un logose jude hue ho.. Tum logoka khoon ek hi hai.. Aur main janti hoon.. Aarushi ki baat nai taal paoge tum.. " He heard Nivi's voice.
"Main wapis Digvijay ke samne nai jana chahta.. Upar se tum bhi hogi waha.. Bahot awkward ho jayega.. " Amit said.
"Par kabhi na kabhi yeh face karna padega.. Baat maan lo Amit.. Abhi jake sab solve karoge toh hi thik rahega. " Nivi said.
"Nahi.. Tum samajh nai rahi Nivi.. " Amit turned around.
"Main ja hi rahi hoon.. Mere sath hi chalo.. " Nivi said.
"Main sochunga.. " Amit declared.
*******
"Hamne practice bahot pehle se shuru ki hai.. Ab toh festival shuru ho chuka hai.. " Digvijay said while looking towards camera.
"Toh aapke festival ke first day pe exactly kya hoga.? " Bandana asked.
"First day pe hamare Institute ke founder ka speech hoga.. Basically ek seminar type hoga.. Student leaders aur Festival co ordinators sab students ko address karenge.. Rules batayenge.. Request karenge ki students thik se enjoy kare aur kuch galat na kare.. " Digvijay answered.
"Ok.. Itni request kar ke students maan jate hai.? Rules nai todte.? " Bandana chuckled.
"Not exactly.. Har saal chhota sa kuch toh ho hi jata hai.. Par jyada serious aaj tak kuch hua nai hai.. " He told.
"That's impressive.. Matlab management utni acchi hoti hai.. " Bandana said. "Toh iss baar Student leader or Student president ban ke kaun address karega.? "

YOU ARE READING
The Royal Cousins
FanfictionCousins. More like siblings from different mothers. Have you ever lived in an orthodox royal family? Authority, riches, relationships...everything is there but where there should be true happens, there are problems instead. A normal person would thi...