"Agai meri jaan" misha gari se utri he thi k uske kano mei awaaz pari, muskrate hui muri tou naveen ko apne taraf aate hue paaya
"Tumhari jaan ka tou pta nhi, han mei zaroor Agai hou'' misha ne Iski taraf barhte hue jawab dia, itni dair mei baki cousins bhi bahar achuki thi, sab se bari bari gale mile gaye...
" musheer Bhai ye sab bags upper first floor ke Akhri wale kamre mei rakhwade" us ne murr kar takeed ki, Aur khud bama puri paltan ke andhar sudhar gaii
Maghrib ka waqt hochaka tha islye shayad sab bare apne apne kamro mei the
" Chalo aao yumna ke pas chalte hai" naveen ne usko apne sath ghaseeta,
" ruk jao bhaii, phele mei Dada jaan se tou mill lo" Misha ne apna bazo churwaiaa
" Dada jaan ghar pe nhi haii, zameeno pe Gai hue hai shahzel ke sath"
"Tch Yaar!! Acha Chalo phr mei Ammi abbu se mill ke aati hou, zra unhei Apni shakal dikha aao, baki sab se tou khair dinner pe mulaqat hojai ge"
Misha upper sirhio ke taraf barhi
'' areyyy haan!! Mei tou bilkul bhool he Gai thi, pura hafta akele rahi ne meri jaan, miss kar rahi hogi Apni mummy papa ko" naveen ne bacho se lehja bna kar masoomiyaat se kaha, jawab mei Misha ne usse Aise dekha Jaise uska dimagh chal gia hou
" pagal hai kiaa!!! Hat peche'' naveen ka hath hatate hue wo upper, kamro ke taraf barh gaii
*_*_*_*_*_*_*
" Haan bhai dulhan sahibaa..... Bara muskraia ja raha hai, khair tou haii"
Misha dhup se yumne ke bed pe bethi thi
Dinner se farigh hokar ab wo sab larkia yumna ke kamre mei mehfil sjai bethi thi
" koi naii, Bas ziada he fuzool ka nazar aane lag gaya hai tum logo ko" yumna ne baat ko ura dia
" waise intehai badtameez hai Aap, mujhe neche receive karne bhi nhi aai" misha ne ankhei sukair kar jataia
" lo bhaiii, tou Iss puri paltan ko Kis lie bjeja tha, Aur mei tou bhai " dulhan to be" hou naa, koi izzat hoti hai dulhan ki bhi, logo ko chahiye ke mujhe se akar mile na ke mei istaqbaal ke liye khari hou" yumne ne itrate hue baalo ko jhatka.
" oohoo hoo!! Bare nakhre arahe bhai logo ko, "" DULHAN TO BE..."" Misha ne uske naqal utari
"Chalo jee inka tou abhi se yeh haal hai, aage ka tou Allah he Jane" peche bethi twins mei se kisi ek ne kaha
" tumhare bari zaban chal rahi " yumna konsa peche rehne wali thi
" hayee Allah!! Dekho tou zra kuch dino mei shaadi hai Aur inke tou mizaaj he nhi mil rahe" jurwa behno mei se ab dosri boli
"Hayee Allah!! Kis ke sath phas gia mera bhai" naveen ne bhi Rona royaa
"Ab tou phas gaye hai bechare, Bas in se kahei ayatou ke wird karte raha kare, Aise balai asani se nhi talti" rahima ne apna mashwara dena zaruri samjha
"Achaa jee, ab Aap bhi bole Ge" yumna ne usko ghorte hue kaha, rahima un sab mei sab se choti thi isliye Bachi he samjhi jati
" bhai sach baat tou bolo Ge he Naa"
Foran se jawab bhi agiaa
" Allah Allah!! Dekho tou kaise ghoor rahi hai, Jaise nazron se he mare ge" Iss bar misha ke awaaz aai
" utaro mei joti" yumna ne sab ko khabardar kardene wali nazro se ghoraa
" ye dekho zra, jhansi ki raani, beta naveen tera bhai tou gaya"
" abhi se yeh haal hai, pta nhi shaadi ke baad mere bhai ke sath kia kare gi" Iss bar Rabia ko fikr satane lagi
" kia kare gi, kia MATLAB!! Bech khana hai isne tere bhai ko, mei tou kehti hou abhi bhi waqt hai nikal lo"
" sahi keh rhi misha api, Rabia Baji mei bhi kehti hou ek baar soch le"
" haan bhai baad mei hum par ilzam na dalna k khabadaar na kiaa"
Aur phr ek joti urti hui kiran ke sar se guzri thi
" ya Allah" sahi time wo jhukti Naa tou abhi uske sir pe acha khasa nishaan ban chuka hota,
" dekha dekha naveen,isne tere ghar akar bhi yehi karna"
Yumna ne ab dosri joti utar li thi Aur ab nishana Misha thi,
Thori dair mei he kamre ka manzar Badal gaya tha, sab aage Aur yumna hath mei chappal lie unke peche peche, misha ke sarr ka nishana lekar phr chappal phenki Gai, lekin afsos nishana chook gaya , kamre mei sab ka pur zor qehqaha goonja,
" beta Tum ruko zra" yumna ne Iss bar side table pe rakha crystal ka vase uthaia
" abey oo neche rakho isse, dimagh Thek hai "
" Yaar yumna iska mazak nhi Yaar"
" yumna Api kia kar rahi ,rakhde yeh, iss se tou sar phat jana haii"
"Arey yumna hum tou aese he Bas tafri mei keh rahe the, mazaq tha Naa Yaar, Chalo Yaar isse rakhdo...."
" Arey arey ab kia hogiaa, bari zabanei chal rahi thi Naa, Chup q hogai bolo Chalo shabash "
Yumna ne aisa bola jaise kisi bache ko pechkarta haii
" areey Yaar, mazaq tha Naa kaha touu"
" btaoo abhi!! mazaq tha...., nikal gayi na sari shokhi huhhh!!.. MAZAQ THA" usne un logo ki naqal utari Aur hath mei pakra vase Apni Jaga pe rakh dia
" chappal lakar do meri" bed pe bethte hue, Apni sans bahal karte hue usne misha se kaha
Misha ne bhi foran hukum ke peervi ki Aur fatafat Iski chappalein utha kar uske samne khari hogai
" konsi chaplain" misha ne uske samne wo sandals lehratein hue pucha, yumna ne na samajhi se usse dekha, Aur Apni snadals ke liye hat barhaii, misha ne bhi apne hath foran peche kia
" Yaar kia hai Naa.. Yeh chaplein buhat pyari hai istrah se phenkne ke liye , tou aisa hai k yeh ab meri hui"
"Areyyy, lalchi kahi ki, wapis karo inhei" yumna uspe jhapti thi, lekin misha itne dair mei waha se bhag Gai, darwaze pe ruk kar usne naveen aur Rabia ke taraf dekha, Jo baki sab ke sath scene enjoy kar rahi thi
" mei bta rahi hou tum dono ko, isne waqai bech khana hai Rohail bhai koo"
" Tu RUK BETAAA" yumna foran darwaze ke taraf doorhi, Aur misha kisi bijli ki se taizi se Apni kamre ke taraf bhag gaii, apne peche usne baki larkion ka goonjta hua qehqaha Suna.
*_*_*_*_*_*
Subah fajar ke baad jab wo soi tou 7 baje khud he aankh khul gaii, yeh bhi ajeeb he qissa hota hai jis din subah Jana hou tou neend khtm nhi hoti Aur chutti wale din tou Aise aankh khulti hai Jaise subah subah gharo mei akhbar dalne Jana hou.
Fresh hokar jab wo bahar aai tou hawelli khali thi, sab ghaaliban apne kamro mei araam farma rahe the.
Phr pehla khayal usse DAADA JAAN ka aaya, Kal raat bhi wo unn se mille beghair he sogai thi.
Ground floor pe sab se bara Aur Shandaar kamra unka tha, uski tawaqqa ke mutabik kamre ka darwaza bhi khula hua tha aur Dada jaan bhi jaag rahe the. Wo Apni makhsoos kursi pe Bethe kisi kitab mei mushghool the.
Misha ahista qadmo se chalte hue unki barabar wali kursi pe beth Gai, lekin Dada jaan ne nazar utha kar na dekha, wo ussi tarah Apni puri tawajjah kitab par makhsoos kie Bethe rahe
" Ehmmm...."
Misha ne gala khankhar kar unhei Apni taraf mutawajja kia, wo uski harkat par halka sa muskrae lekin kitab nhi band ki
" waise insan ko kisi bhi cheez mei itna ghum nhi hojana chahiye ke ird gird se bilkul he bekhaber hojai" usne masoomiyaat se kaha
Dada jaan ne kitab se nazrei utha kar usse dekha Aur kitab ko band kar ke samne table pe rakhdia
" bilkul itna bekhaber tou insan ko kabhi nhi hona chahiye, na ird gird se Aur na apne Aap se" unho ne hath aage kar ke misha ko qarib aane ka ishara dia, misha Apni Jaga se uth kar unke qadmo mei beth gaii,bare pyaar se unhou ne uska matha choom kar usse pyar kia
" Jaise Aap hoti hai neend mei" unhou ne Apni baat ko Wahi se jora
Misha ne na samjhi se unhei dekha, phir ek dum usse khayal aaya
" Aap raat ko kamre mei aaye the mere, kab Kis waqt..?? "
" jee!! Bilkul ayha tha, ussi waqt jab app istabal ke tamam ghore bech kar soo rahi thi" metha sa tanz kia gia,
" woo.. Mene kafi dair tak intezar kia Apka, phir thak kar sogaii, raste ke bhi thakan thi Naa buss Iss liye ziada bekhabar soo gai thi" usne foran safai pesh ki
" tha k kar sone Aur ""behosh hojane"" me buhat farq hota hai mere bache" Dada ne ainak utarte hue usse jataia, Misha ki bekhabar sone ki adaat par wo hamesha se usse tokte aaye the, neend bhi tou uski Aise he thi, ke sarr pe khare hokar koi dhool pe peet dale tou bhi na uthei
" Aap jalte hai meri pursukokn neend se, Aap ko itni bekhabri wali neend Jo nhi aati naa" misha ne naak charha kar kaha, Dada jaan ke routine se bhi wo puri tarah waqaf thi, yahan churia ne par Mara, Aur waha unki neend khulgai
" Naa bhaii!! Hume nhi chahiye yeh murdo wali neend" misha ke pas kehne ko kuch bacha na tou Bas mou bnalia...
" nashta tou nhi kia hogia Aap ne" unhou ne uske hath ko choomte hue kaha, misha ne muskra kar nafi mei sir hilaia
" bhai baki sab tou 9 baje tak uthe Ge .. Aap aisa kare ke Saahil ko MNA kare Aur khud Chai bnai apne Aur mere liye, aaj Dada, pooti lawn mei beth kar Chai pie Ge" Saahil Dada jaan ka zaati mulazim tha Jo sirf Dada jaan ke kaamo ke liye he hawelli mei tha, uski routine bhi Dada jaan ke routine ke se he thi, subah fajr se uth kar raat jab tak Dada jaan na sojai wo bhi jagtaa. Chauffer se lekar cook tak wo harfun maula tha, hawelli mei waise tou noukarou ke fouj paai jati thi ,lekin na Saahil bhai Jaise kisi ke izzat thi na in jitna koi kaam karta tha.
" chale Thek hai phir Aap janab lawn mei jakar tashreef rakhe ,mei Chalo ke sath hazir hoTiiii.....
" Dada Saein yeh kakhazaat Aap dekhle..."
Misha ke awaaz ko Kis mardana awaaz ne kataa tha, Dada jaan Aur misha dono ne sir ghuma kar dekha.........
Aur phr mishaa ka saraa josh thandha parh gaya,Usne aankhei ghuma kar thandhi aah bhari,
Andar aane wala shaks bhi rawani se kehte hue misha ko dekh kar ruk gaya
" Haan beta bolo kia huaaa...??" Dada jaan ab aane wale se mukhatib the
Misha ne murr kar dada jaan ko dekha unki sari tawajja ab misha se hat kar puri tarah darwaze pe khare shakhs pe thi.....
Aur ISSI liye MISHA BIJRANI ko darwaze pe khare uss shakhs se sakht chir thi, q k wo hamesha uske hisse ke tawajjah ,muhabbat Aur ahmiat ko bare araam se USS se cheen leta.....
*_*_*_*_*
The cousins FAM photo at the top👆Do VOTE and COMMENT
Be happy and Be your own person
*_* _*_*
YOU ARE READING
LA FAMILIA
General Fiction*_*_*_*_*_*_* Misha Bijarani, a young girl in a city, currently doing her BBA, belongs to a family of landlords who unofficially rule their area. During her semester break she leaves for her grandparents house, where all her cousins had already arri...