Heyaaaa... Beautifull people!!!
Sorry It's late, but it's a long one😁💆
Well before u proceed further, do follow my new instagram account , its :
"authorling" while user name is
" novilistic"*_*_*_*_*
"Uhooo tou muhtarma Akhr kar phnch he gaii" us ne kamre mei dakhil Hote hue misha ko dekh kar kaha
"Han Aur sath shaitaan bhi hazir hogae foran" mishna ne bezariat se aankhei ghumai
"Mm hmmmm.....'' Dada jaan ne halke se misha ko toka
" chalein aap aisa kare Chai tayyar karke lawn mei le aai, mei Aur shahzel bhi wahin arahe hai"
Muskrate hue Dada jaan ne usse takeed ki
"Jii, Dada jaan" wo bhi jawabi muskrahat dete hue uth Gai, ek nazar shahzel pe dali ,Jo usse he dekh raha tha, wohi bilkul halki se muskrahat chehre pe sajai.
"Ab inke liye bhi Chai bnao....huhhh" bezariat se sochte hue usne dil he dil mei uspe lanat bheji Aur bahar nikal aai.
*_*_*_*_*
"Chai tayyar hogai kia...." kitchen mei dakhil Hote hue shahzel ne USS se sawal kia
"Nhi....!!!" Bari mushkil se USS ne sedha jawab dia, wo hamesha se mix Chai he bnati thi, puri tarah paka kar, strong qisam ki, seperate Chai tou uske halaq se neche nhi utarti thi, aisa lagta kuch kacha se haii, Dada jaan ko bhi aesi he Chai pasand thi, karak qisam ki, tou zahir hai pakane mei time tou lagna tha.Shahzel ab fridge se botal nikal kar apna glass bhar raha tha,
" acha suno Chai ke sath ye nan khatai bhi le anaa" usne kitchen table pe rakhe jars ki taraf ishara kia
" jee bilkul le aao gi Aur kuch" misha ne Jitane wali muskrahat ke sath pucha
Shahzel ab Pani peene ke baad cabinet se cup Aur priches nikal rha tha,
" nhi, Bas itna kafi haii" usne cup priches ko slabe pe rakhte hu kaha,
" Aur Haan , wo Chai mei cheeni mat dalna plz"
Cheeni tou Chai mei waise he nhi dalni thi , Dada jaan ziada metha nhi lete the, isliye cheeni alag he rakhi jati han albatta ab jab shahzel ne MNA Kardia tha tou us ne intehai hairat ka muzahira karte hue usse dekha
"Acha.... Cheeni nhi daalo ....???
" naahi" shahzel ne cups ko try mei set karte hue garden nafi mei hillai
Chehre pe khubsoorat se muskrahat sajai wo counter tak aai, Aur pucha
"Tou... zehr daaldo kiaa....." shahzel ne nazar utha kar usse dekha,
"Qatal karne ki ijazat mang rahi ho..?" mehzoz hute hue sawal kia
"Yehi smajh lo..!! Woh....kia hain ne mei buhat usoolo se chalti hou, Aur peet peche waar karna mere usoolo ke sakht khilaf hai, iss liye puch rahi hou..... milado kiaa....???" Intehai masoomiyaat se pucha gia
wo apne dono hath counter pe rakh ke aage Ke taraf jhuka...."Usool parasti bhi mere dushman ki bemisaal haii....
Usse Mujhse, mere he qatal ki ijazat darkar hai...!!!
Mar mite hum tou aesi ba-usooli pe sahaab....
Ab tou mera dushman he mera Yaar haii.....!!!!!Misha ke aankhou mei ankhei dal kar shair arz kia Aur ek tapati hui muskrahat ke sath usse ankh mar kar chalta bna
Misha ne ghusse se hath mei pakri channi ko zor se patkha...
" BEGHAIRAT NA HOUU TOU....."Cup mei Chai undailte hue uss ka dil Chaha shahzel ke cup mei chai ke bajai pakka hua shira dalde, take methe ki ziatti se mouqe pe he Jan bahaq hojai
Phr apne Iss qatillana hamle ko sir anjam dene ka irada Kisi aur waqt pe daal kar wo tray uthae lawn ki taraf chaldi
Uska Sara dhayan ab Dada jaan ki taraf tha,
Lawn ki kursio pe wo Dono shayad kisi ehm masle pe baat cheet kar rahe the
" ......tum farooqi sahab se iss masle pe baat kar Lena, behter hai mamla qanooni tareeqe se nibat jaee"
Unho ne table pe rakhe kahghazat ke taraf ishara karte hue shahzel ko taqeed ki, wohi kahghazat Jo shahzel unhei dikhane ke liye laya tha.
" baat tou mei karlo ga Daja saein lekin yeh log qanoon ke rassi se jalne wale nhi,zaroor koi na koi fasaad khara kare Ge"
YOU ARE READING
LA FAMILIA
General Fiction*_*_*_*_*_*_* Misha Bijarani, a young girl in a city, currently doing her BBA, belongs to a family of landlords who unofficially rule their area. During her semester break she leaves for her grandparents house, where all her cousins had already arri...