welcoming the "X"

118 5 9
                                    

"Baji Aap zara phele yahah ruke , mei aese he andar Jane nhi de sakta aapko"
Chokeedar ne koi panchwi dafa USS larki ko yeh baat jatai thi.
"Kia matlab nhi jane de sakte, Rohail ki dost hou mei, Aap kaise rook sakte hai mujhe"
Wo bhi kuch dheet qism ki he thi, Apni baat se nhi hili
"Hn tou bajii Aap ruko na , hum Rohail saaeen ko yaha bula deta hai, lekin mei Aap ko andar Jane nhi de sakta, aap ke pass to dawat nama bhi nhi" chookedaar ne phr wazahat ki

"Jee farmai Kis se milna hai aapko" misha ne sadar darwaze pe phnch kar, chookeedar se musalsal ulajhti hui USS larki se sawal kia
"Ohh!! Hi , me zuhab hou, Rohail's friend, I am here to meet him, but this guy is constantly stopping me"
Khalis British accent mei usne apna masla misha ke gosh guzar kia. Misha ne ek nazar USS larki pe Aur dosri nazar chookeedar pe dali....
"Inka kaam hai yeh, kisi bhi ajnabi ko beghair tasali ke andar tou nhi bhej sakte Naa, Aap btai Aap ko kia kaam hai Rohail Bhai se" misha ne usse upper se neche tak tanqeedi nazro se ghoora
"Btaya tou mene, I'm a friend of Rohail's , ussi se Milne aai hou"
Zuhab ke awaaz mei ab jhunjhalahat numaia thi
"Naii!! Rohail Bhai tou nhi mil sakte Aap se, wo buhat busy hai Iss waqt"
Misha ne saaf inkar kia
" Aap USS ko jakar btai ke zuhab aai hai, Zuhab Aslam!!, wo khud ajai Ge"
Samne khari larki ne pur aitemad lehje mei kaha.
Misha ko uska andaz sakht chira gaya
"Mene kaha ne masroof hai wo, Nikah horaha unka aaj, wo nhi asakte, Aap ko Jo kaam hai mujhe btade"
USS ne bhi LA parwai se jhoot garh dia, phr Zuhab ke chehre ke taasurat dekh kar uske andar tak thandh parh Gai
" whaaat...???? Nikaaahh!! Par, par nikah to parso nhi tha....??, aaj kaise..??,matlab mujhe to parso ki date pt......
" han hona tou parso he tha , lekin kuch emergency hogai, ISSI liye aaj he karna parha" chehre pe muskrahat saja kar usne zuhab ke jale pe mazeed namak chirka, khud usne apne Aap ko dil he dil me shabashi de
"Kia MATLAB, how is this even possible....??, mujhe tou...., Aap , Aap please Rohail ko bula de , mujhe USS ss buhat important baat karne hai " zuhab ne sakht bechaini ke alam mei Jaise USS se iltaja ki thi
"Areyyyy!! Ajeeb Aurat hai Aap, apko abhi btaya tou k nikah horaha hai unka ,aese kaise bula dou Bhai" Iss bar tou misha ko uski dhittai par sakht ghussa ayaa
"Mei khud he baat karlo gi Rohail se" zuhab ne misha ko ek taraf dhakka dia, Aur khud andar chalti bani
Misho ko jhatka laga, usse zuhab se kam as kam aesi umeed  nhi thi
"Oiiii...." Misha zuhab ke peche bhagi
"Zaheer baba Iski pakro" usne bahar khare chookeedar ko bhi awaz de
Wo dono he taizi se zuhab ke peche bhage, Jo apne char inch ke heel mei tak tak karti lawn ki taraf barh rahi thi
Koi aadha minute laga misha ko us tak phnchne mei, phr usne ek hath se kheench kar zuhab ko apne muqabil kia
"Kia Bhai ,kia smajh rakha hai, koi machli bazaar hai ke jise dekho mun uthaa kar andar chalta bane"
Misha ne uska bazo kheech kar usse darwaze ke taraf ghassetna shuru kardi
"Choro mujhe, I need to talk to rohail"
Zuhab ne por zurr ihtejaj kia
"Beta buhat pyar se paish arahi thi mei tumse, lekin Bhaiii majal hai Jo izzat raaz ajai logo ko, beghartiaa karna nhi chore Ge Bhai log"
Misha usse musalsal gate ke taraf kheench rahi thi, Aur jitna zuhab ka wazan tha, USS ke liye usse ziada mehnat bhi nhi karni pari
"I said , stop it!!, I need to talk to Rohaiiil, leave me....!!!"
Phr ihtijaj kia gaya
"Han jani Teri sab se bat karwao gi mai, lekin abhi niklo Chalo"
Ihtijaj ko mukammal nazar andaz Kardia gaya
"I said LEAAAVEEEE MEEEE!!!!"
zuhab ab pure zorr se chillai thi, wo tou acha tha ke lawn se le kar sadar darwaze ke darmiyan acha khasa fasla tha, Warna ab tak tou uski awaaz sab ke kaano mei Parh chuki Hoti
"Meri baat suno larki, sharafat se yaha se chalti bano, Warna meine police me tumhare khilaf dehshat gardi ke shikayat darj karwa deni hai, waise he rangers aaj Kal buhat active hui we dehshat gardo ko dhundhne mei, tumhe bhi khushi khushi utha ke lajai Ge, hou bhi tum bahar ki nationality , shak aur pakka hojai ga ,phr wo log tumhe CIA ka agent bhi khud he khud saabit karde Ge, tumhare paanch, saat mashkook harkatei bhi khud he dhondh Lai Ge, shehr mei hui ek do dehshat gardi ke karwaio mei bhi Kahin na Kahin tumhe fit kar ke khud he khud saboot bhi bna le Ge , phr waha beth kar unko deti rehnaaa safiyaan ke " MEI TOU ROHAIL SE MILNE GAII THI , ACHANAK USKI MUHABBAT JAG GAI THI MERE DIL MEI, ISS LIYE SHADI TURWANE PHNCH GAII MEI.....!!"
misha ne baat khtm kar ke sans kharij ki
"WHAT RUBBISH....?? YOU CANT DO THAT!!"
"Ohh!! Sweetheart I can!!! " misha ne uska accent copy karke usse jawab dia
"Mujhe under estimate har gizz mat karo, waise bhi mujhe tumhare yeh zabardasti ghar mei ghusne wali harkat bilkul pasand nhi aai, Chalo shabash ab chalti bano yaha se"
"Okay ,just once , let me talk to him, and I'll just leave after that"
" arey bhaiii, ajeeb dheet chamri ki bani hou tum Yaar, MATLAB abhi mene itn.......
"Zuhab!!, tum yaha kia kar rahi hou.....??"
Misha ke baat ko shazel ke awaaz ne kaat dia tha,
"Ab yeh kaha se agyaaa" misha ne dil he dil mei usse kosa.
"OH GOD!!! Shaz Yaar, Oh Thank God" zuhab shahzel ko dekh kar ekdum Jaise khushi se cheekhi thi, uski aankhei shahzel ko dekh kar aese chamki Jaise pyase ko Pani mil gaya hou.
Usne foran aagey barh kar shahzel ko hug
" mujhe nhi pta tha tum bhi yahin rehte, hou Warna I would have called you "
Wo abhi bhi shazel ka hath pakre he khari thi
"Uhh, haan wo sab to theek hai, lekin tum, yahan, matlab, tum yaha kaise agai, ekdum achanak, is everything OK....??"
Shahzel ne misha Aur uske darmayan bari bari dekh kar sawal kia
"Mei Rohail se Milne aai thi, I wanted to talk to him, lekin yeh larki Aur guard mujhe andar Jane he nhi de rahe"
Shahzel ne misha ko uljhi nazron se dekha, phr dobara zuhab ke taraf mutawajja hogia. London mei parhai ke Duran Rohail shahzel ka university mei senior tha, isliye uski zuhab se bhi achi khasi jaan pehchan thi, Jan pehchan he kia achi khasi dosti he thi, academic year different hone ke bawajood wo log ziada tar sath he kuch Aur dosto ke sath ek group ke surat mei PAYE jate the, kam as kam misha ne tou unko har tasveer mei sath he dekha tha.
"Yeh actually janti nhi hai na tumhe, phele kabhi mile Jo nhi tum log, Iss liyee, tum aao andar aao..." Shahzel ne zuhab ko safai dena zaroori samjhi
"Areyyy, shahzel!! " misha ne puri ankhei khol kar usse ghora, Jaise tanbeeh kar rahi hou
, jawab me shahzel ne usse sawalia nigaho se dekha
" umm, ek minute, idhr aao" wo zuhab se thora door jakar khari hogai, shahzel ko bhi majbooran uski taraf Jana parha
"Kiaa....??"
Shahzel ne qareeb aate he pucha
"Kia MATLAB KIAAA...?? usko ander kaha le kar ja rahe hou, dimagh set hai kya...??
Misha ne Dant kachkachate hue usse halki awaaz mei jhirka
" Mehman hai mish wo, usko darwaze pe tou khara nhi  raksakte Naa ab"
Shahzel ne Apni taraf se daleel di
" tumhare "MEHMAN" rohail Bhai ki ex bhi hai, uski ander le ja kar tamasha lagwana hai tumne, pta hai na yumna ka tumhe, usko bhanak bhi Parh Gai uske aane ke tou wo tamasha lage ga, wo tamasha lage ga ka sari zindagi nhi bhoile ge rohail bhaiii" Misha ne aese puri baat bayan ki Jaise common sense ko shahzel ke dimagh mei fit karna chah rahi hou
"Haan...!!" Shahzel ko bhi mamle ki sangeeni ka andaza hua
"Kiaa haaa, chalta karo Isko Bhai, qasam se intehai koi dheet qism ki haii" shazel ne usse tanbeeh nazro se ghoora phr kuch soch kar zuhab ke taraf murr gaya
10 minute mei usne zuhab ko na Jane konsi patti parhai ke wo haste hue gate se bahar nikal Gai, nikalte nikalte hue bhi ek "goodbye hug" se shahzel ko nawaza Aur phr gari mei sawar hokar chalti bani.

                    *_*_*_*_*_*
"Arey kahah thi Bhai tum, koi adhe ghante se ghayab hou lawn se" Misha ko shahzel samait lawn mei dakhil Hote dekh kar Rohail in ki taraf chala ayaa
"Mene kaha hona hai, yahin thi, Apka phelaia hua raita saaf kar rahi thi"
Misha ne tanz se bharpoor jawab dia
"Mera phelia hua raitaa....???" Rohail ne kuch na samjhne wale andaz mei bari bari shahzel aur misha ko dekha, phr ek dum uske chehre ke tassurat badle

"Ohh shit Yaar!!!"

Baat shayad ab Rohail ki smajh mei Agai thi.

                    *_*_*_*_*_*

Rasmo Aur khane waghaira se farigh hokar wo sab ab hawelli ke hall mei jama the,  Rohail ko shahzel Aur misha ne Apni taraf se kisi hadh tak mutmain Kardia tha Aur yumna se bhi sab kuch chupane mei wo log kamyab rahe the.
Sardion ke raatei thi, Iss liye kuch dair baad coffee ka dour shuru hogia. Bare apne baatoon mei masroof the Aur sari young generation mukhtalif khail khelne, aik dusri ke bezati karne Aur sabse ziada shor machane mei masroof the.
Kisi baat pe haste hue misha ke nazar ek dum door Bethe Dada jaan pe parhi tou unhei Apni taraf he mutwajja paya, pure taqreeb mei yeh chothi dafa tha ke usne dada jaan ke nazrein apne upper mehsoos ki thi lekin unki nazrein sirf uss tak mehdood nhi thi wo uske aur shahzel ke darmaian bari bari dekhte, misha ne unki nazro mei kuch uljhan mehsoos ki thi, Jaise kuch soch rahe hou, kisi kashmakash mei hou, Jaise kisi nateeja pe puhanchne ki koshish kar rahe hou. USS waqt na wo un nazro ka mafhoom smajh pai Aur na usne ziada koshish ki, lekin aane wale kal ne usse yaqeenan sab kuch ache se samjha dena tha.......
                
                    *_*_*_*_*_*_*

Do click that star down there, would mean alot❤

Love,
NOVILISTIC

LA FAMILIAWhere stories live. Discover now