let the wedding began...👰

162 8 1
                                    

Well a bit late aren't we. Actually my university just got started unexpectedly , so I was little caught up in that+ I felt to lazy to type.
Anyways here we are with an update , soo enjoy

Also do vote, share and comment.

HAPPY READING📖📖
*_*_*_*_*

"Kaisa faisla phuphi maa...??" rohail ne Dada jaan Aur phuphi maa ko bari bari dekhte hue pucha
"Jab faisla sunai Ge tou pta chal jai gaa" phuphi maa ne Jaise baat he khtm kardi
Wo bhi sab nashte ki taraf mutawajja hogai, khandan ki young generation khas kar larkio mei ek halchal se mach Gai thi, lekin phr Iss waqt neend ka zorr itna tha ke sari curiosity background mei chali gaii.

*_*_*_*_*

"1,2,3,4... Start" yumna ne awaaz lagai Aur rahima ne phr se deck on kia
"Chunri, chunri....." Speaker pore zorr o shorr se phatne lage
"Ajana chole meri chunri sanam, kuch na pucho mujhe Teri kasam" gane ke bolo ke shuru Hote hi Yumna ek baar phr sari larkio ko guide karne lagai
" Bhai kiran seedhi khari houuu, bar bar tum peche hojati hou.... ,Aur tum Rabia ,idhr aao, samne aao, tum buhat kharab steps kar rahi hou"
Background mei chalte gane ke wajah se wo pura gala phaar ke chillai Aur Rabia kisi robot ke tarah pheli sif mei Akhri hui

" aai jawani sir pe mere...." Yumna ab gane ke sath steps match kar rahi thi

" youu, upper hath uthana hai hawa mei, Aise..." Apna hath Hawa mei lehra kar wo unhei demo dena lagi

Dopher ke 3 baje usne sab larkio ko pechle hall mei jama kia hua tha, wo Jo sab nashta halaq se utarte he apne kamro mei bhag Gai thi, tou phr zuhr ke baad he bahar aai, wo bhi majbooran. Lunch khtm karne ke baad misha ka tou plan phr se he bister pe neem daraz hojane ka tha,  lekin Jaise he wo apne bister pe akar leti, yumna sahiba ne unka darwaza peetna shuru Kardia
"Kiaa hai bhaii" usne jhunjhlati hue darwaza khila
" kia haiii... ?? ,kia MATLAB...???, dance practice karne hai muhtarma chalie mere sath" yumna ne intehai jitane wale andaz mei usse agah kiaa
" uhuuu!!! Yaar yumna, maghrib ke baad karte haii Naa, abhi sone do"
"Kitna bister toro gi, Chalo sharafat se mere sath"
" Yaar dekho pakka haan, pakka maghrib ke baad, I swear...!! Bas abhi neend puri karne doo"
" mei qabar mei utar dou gi tumhei, phir karti rehna neend puri..."
"Yaaaar....!!!" Or Iss se phele misha kuch Aur bolti yumna usse ghaset ti hui lounge mei le aai.
Lounge mei misha ke tarah he sab yumna ke ghusse se mutasirah log mujood the
" Bhai maghrib ke baad karne mei kia masla haii yumna apey" rahima ne aitraz kia
" Maghreb ke baad mix practice hogi, Larke Aur larkia dono ki, Aur abhi sirf larkio ki, dholki mei sab ki performance sath hai q k sirf khandan ke log hoge, Aur mehndi mei separation karwaia hai q k sari bradri ne aana hai, tou mehndi mei sirf larkio ke performance hogi" yumna tou jaise pura plan tayyar kar ke bethi hui thi
"Aur sab yeh apne dimagho mei baat bitha le rooz Iss timing pe shuru hogi practice aur sab ke asani ke liye  bech mei namaz, lunch, sham ki Chai Aur dinner ka break bhi miljai ga" usne Aise illan kia Jaise koi ihsan kar rahi hou
" Aur bathroom break...??" Kiran ne intehai masoomiat se sawal garha
" han haan wo bhi mil jai ga, magar 10 minute se ziada ka nahi"
Apne rules Aur regulations unke gosh guzaar kar ke usne Un sab ko practice per laga diaa. Aur ab adhe ghante baad jab kisi ke bhi dance steps ek dosre se match nhi kar rahe the tou Bas yumna ka para high hona shuru hogia
" mishaaaa....!!! Yeh kaha jaraha hai hath tumharaa, kamar se uthaao sir taak" misha ne aankhei ghuma kar uske hukm ke peervi ki
"Naveen kiaa, han kiaa kar rahi hou....??? Yeh tum sab kar kia rahe hou, yeh samne tutorial nazar nhi araha kiaaaa....???" Usne samne screen pe chal rahe youtube tutorial ke taraf ishara kia
"Allah...!!! Kitna chekhtii hai yeh Aurat, kitna cheekhi haii....??" Naveen ne intehai bezariat se misha se kaha
" Bhai buhat stamena haii isme" misha bhi dance steps follow karte hue boli.
*_*_*_*_*

"Ye...., ye kia haii...." Wo log dance se break le kar Bethe he the ke rahima apne mobile pe nazrein garei hue boli
"Kiaa hai Bhai...?, itne khatarnak expressions q de rahi hou..??"
Rabia ne bezariat se pucha
" ye raat ke  chaaaar baje, aaap sab... Bahar kheeto mei keenu kha rahe the..??" Rahima ne pakki aurtou ke tarah qamar pe hath kar unsab ko bari bari dekhte hue kaha
" WO BHII MERE BEGHAAAIR" wo sab ki sab ek jhatke se seedhi hui thi
" kia Bhai, kia bol rahi hou...??, konse keenu , konse khait, dimagh chal gia hai kiaa...?" Rabia apne ghabrahat pe parda dalne ki nakaam koshish karte hue boli
" acha jee , mera dimagh chal gia hai, tou yeh kia hai phr haan...!!!" Usne mobile ki screen unlogo ke samne ki jispe insta ki feed khuli hui thi Aur samne he kiran ke blog se update ki hui pictures thi. Thori dair ke tou wo sab sakit ho gaye phir ek sath sab ki gardenie kiran ke taraf ghomi
" kiaa hai yeh...???" Misha ne intahei sukoon se sawal kia
" Yaar, wo..."
" wo ki Bachi, aqal bech khai haii kiaa" ab ke wo cheekhi
" yeh dal he di thi tou hide Kis ne karni thi...??" Naveen ne zorr se uske sar ke pechle hisse pe thapar raseed kiaa. Kiran ka tou manu sir he ghoom gaya
" haan tou kia hogia, yeh mish aur rabia ne bhi to Snapchat pe dali thi tasveerain" apna sir sehlate hue kiran ne bachaao ka tareeqa dhondhna chaha
" O' hello!!...pagal nhi hou mei, logo se cheezein chupana aati hai mujhe, aai bari amma"
Misha ne jhat se ulta war kia
" ab tum bethi hui kia ho delete karo isse, Iss se phele ke larko mei se kisi ki nazar parhe" yumna ne foran hukm sadar Kardia
"Han Bhai...!! Warna larkoun ne dekh lia Naa tou puri hawelli mei baat phail jani haii, Aur phr phuphi maa ne shamat e amaal karni haii humare"
Naveen ne un sab ko mutawaqqa raad e amaal se agah kiaa
" kiaa Yaar, itne Sare likes Agai thee"roti Surat bna kar kiran ne shikwa kiaa
" amma ne dekh lia na tumhare, tou post karne ke qabil he nhi chore gi" misha ne saaf khabardar kiaa
Choti chachi insab mamlat mei kuch ziada he sakht fitrat ki thi. Amma Aur social media se hamesha ki chutti ke khof ne kiran ko post delete karne mei dair na karne di
"Un sab se tou bacha liaa haii, lekin mujhe tou sab pta hai Naa, nahi mtlb mujhe smajh nhi arahi ke mujhe peche chor ke jaane ke kia tuk bantii haii...!!" Rahima ka shikwa ek bar phir buland hua
" hayee meri jaan...!! Mei keh bhi rahi thi rahima ko le lo ,lekin yeh sab, sunta he nhi hai koi Bhai, bus Apni chalate haii..." Misha ne seconds mei apna bayaan badla tha jis ke nateeje mei larkio ke puri toli ne usse ghorna shura Kardia
"Tum choroo na inheii..." Wo uth ke rahima ke pass Agai
" hum dono chale Ge na ghumne, jaha tum kahoo, Bas tum kisi ko yeh baat mat btaana ,Thek haii....." Apne sath baaton mei laga kar wo usse kamre se bahar le gaii, jab ke ander bethi tamam larkio ne sukoon ka sans liaa
*_*_*_*_*

LA FAMILIAWhere stories live. Discover now